Showing posts with label *story. Show all posts
Showing posts with label *story. Show all posts

Monday, 24 September 2018

Khoya hua pyar - Shikha


Shaam ka waqt tha. Mai apne kaam se vapas aa rahi thi. Aaj na jaane kyu par bahot thakan mahesus ho rahi thi. Aaj mai car lekar nahi aayi thi, socha tha office se vapas aate samay thodi der samunder ke kinare baithungi. Kuchh dhundhli yaado ko tarotaza karungi  jispe waqt ne marham laga diya tha. Kuchh hi der mai ek riksho aayi or mai baithkar chal di. Riksha driver ko bola samunder ki or le chal. Vo thoda shock hokar meri or dekhne laga. Fir bola madam abhi is waqt vaha jaana safe nahi rahega. Par maine uski nahi suni. Aaj dil kuchh or hi chahta tha. 

Dhire dhire riksha samunder ki or jaane lagi. Kuchh hi samay mai hum log vaha pahunch gaye. Riksha driver thoda achha tha, bola madam kitni der rahena hai aapko yaha? Agar aap chaho to mai wait kar sakta hu. Par maine use jaane ko kaha. Vo chala gaya. Or mai apni pyari si yaado mai khone lagi jise maine kai saalo se dil ke kisi kone mai kaid karke rakhi thi.

Takriban 12 saal pahele ki baat hai. Meri mulakat Aarav se huyi thi. Ek anjaane safar pe hum log mil gaye the. Pata nahi kyu par unka saath muje achha lagta tha. Hum log fir roj milne lage. Ghanto tak hum log baate karte the fir bhi baate puri nahi hoti thi. Ek din aise hi baate kar rahe the tab achanak se usne bataya ki vo kaam ke silsile mai UK jaa raha hai. Mai udas ho gayi. Par usne muje yakin dilaya ki vo bahot jald vapas aayega. Or maine hanste huye use bye kahe diya. 

UK jaane ke baad kuchh samay tak baato ka silsila vahi raha . Par fir dhire dhire uske call bahot kam aane lage. Maine socha shayad busy raheta hoga isiliye call nahi aata. Kuchh samay baad to jaise vo bhul hi gaya. Na call na baate hoti thi. Mai karti to bhi vo uthata nahi tha. Mai bahot udas rahene lagi. Papa se meri ye halat nahi dekhi jaati thi. Shadi ke liye mummy papa ne bahot samjaya par mainne saaf inkar kar diya.

Fir ek din papa ne mujse kaha kyu na tu kuchh kaam karna shuru kar de, Kaam mai tera man rahega to tuje hi taklif kam hogi. Or mai papa ki is baat ko nakar na saki. Ek mahine mai hi muje job mil gayi or mai bhi kaam mai apna man parone lagi. Aise hi waqt bhi bitne laga. Mai Aarav ko ab almost bhul chuki thi. Khud ko kaam mai itna busy rakhne lagi ki koi bhi yaad ko aane ki izazat hi nahi di maine.

Aaj itne saalo baad yaha samunder ke kinare unhi yaado ko taza karne ka khayal isiliye aaya ki aaj isi jagah itne saalo ke baad Aarav mujse milne aanevala tha. Suna to tha ki vo yaha India aaya hua hai. Par phone karne ka man nahi kiya tha. Fir achanak se ek call aaya. Uhaya to pata chala ki ye Aarav tha. Formality ke saath maine baat ki. Fir usne bilkul pahele ki tarah bina hichkichaye mujse puchha kab milogi?  Man mai kai sawal the , socha ki use puchhu ki aakhir usne aisa kyu kiya? Par fir rahene diya.

Tab achanak se  Aarav ne aakar pichhe se aawaz di to mai atit se bahar aayi. Vo bilkul pahele jaisa tha. kuchh bhi sharam uske chahere pe nahi dikhayi di thi. Maine aise hi just usse baate karna shuru kiya. Gussa to bahot tha par kuchh bol nahi paa rahi thi. Tab achanak se usne muje propose kiya, or mai sahem uthi. Mai avirat drashti se use nihar rahi thi. Or vo bolta jaa raha tha bolta jaa raha tha.

Usne bahot sari baate ki , or jaise jaise vo baate karta gaya mere sawal ke khudbkhud jawab milte gaye. Mai bahot khush ho gayi thi. Jis pyar pe mera vishwas kho chuka tha vo vapas laut aaya tha. Mera Aarav vapas laut aaya tha, mere paas , humesha ke liye. Maine khushi se uske samne dekha or shamakar kaha papa se milne kab aa rahe ho ghar. vo masti se bola chalo madam yaha se aap uthoge tabhi to papa se mil paunga na. Or mai ek hi pal mai khadi hokar usse lipat gayi. Mera Aarav aaj mere paas tha or mai uski baaho mai. Aaj sabkuchh vapas mil gaya tha muje or hum dono khushi se ghar ki or chal diye.

Shikha

Monday, 28 November 2016

Ek baar fir se aa jao - Shikha


Khud ko aaj vahi chhod aayi mai jaha tumhare vajud ki halki si khushbu payi maine, Aaj tumhari yaado ne fir se man pe dera jama diya or mai chal padi purani yaado ke safar mai....

Jab paheli baar aapse mili thi or aapne halka sa muskuraya tha. Na kabhi kuch aisi baate ki , na kabhi koi mulaqate huyi. par kuchh to aisa hua jinse aap humesha ke liye meri ruh mai sama gaye. Nahi janti thi ki pyar kaisa hota hai par kuchh to hua tha muje jise mai samaj nahi paa rahi thi. Dhire dhire door hokar bhi aap mere paas rahene lage the or chahkar bhi kabhi apni zindagi se aapko door nahi kar paayi.

Kya ab bhi utna hi pyar karti hu mai ? Kya aap bhi utna hi pyar karte ho ? kuchh bhi nahi janti mai  par fir bhi aaj bhi dil mai itni tadpan kyu hai? Kyu har waqt aapka intezar karti raheti hu? Kyu aaj bhi aapki aawaz sunne ko tarasti hu? Vaise ye dil bhi kitna pagal hota hai...chori chori aapko dekhna achha lagta tha. Akele mai ghanto tak aapki yaado mai khoyi raheti thi or waqt ka pata hi nahi chalta tha.

Dhire dhire waqt apni raftaar se aage badh raha tha or mai sirf intezar hi karti rahe gayi. ki kab aap aaoge or mere mum papa se mera haath mangoge. par aisa kuchh bhi nahi hua. meri shadi tay ho gayi. Kai baar apne mum papa se ye baat batani chahi par kaise batati or batati to bhi kya, yahi ki mai jise pyar karti hu vo bhi mujse pyar karta hai ki nahi ye bhi nahi janti . Ek din shadi karke humesha ke liye apne jivansaathi ke saath chali gayi.

Ha , harsh bahot hi achha insan hai , mujse bahot pyar bhi karta hai . mera bahot khayal rakhta hai. unki ek hansi ke liye mai baichain raheti hu. agar vo pareshan hota hai to muje bhi achha nahi lagta. Shayad pyar ko samjne lagi hu. Shayad pyar ko nibhana unse hi to sikha hai maine. Zindagi ki raaho mai mushkile to bahot aati hai par agar jivansaathi ka pyar sachha ho na to vo dagar bhi aasan ho jaati hai .

Harsh , aap aisa kyu karte ho? aap ye mat karo. muje apna kaam karna aata hai , aise shayad danti bhi hu unhe par unhe mera gussa hona achha lagta hai. kabhi kabhi dantkar khud pe hi gussa bhi aata hai ki maine harsh ko khamokhah danta. or fir sorry bolkar baat ko vahi pe khatam kar deti hu. Kitna pyar tha hum dono mai fir bhi dil ke kisi kone mai koi to tha jinki yaade bar bar dil pe dastak de rahi thi. par unhe andekha karke mai apne aashiyane ko pyar se saja rahi thi. sab kuchh thik tha. fir ek din koi aisa tufan aaya jinse mera aashiyana ek hi pal mai bikhar gaya.

Harsh, mana ki kuchh galti aapki to kuchh galti meri bhi thi. Par ego aapka tha to mera bhi tha. or jiski vajah se hum dono alag hote hi gaye. paas rahekar bhi dono ekdusre se door rahene lage, jaise koi do ajnabi mile ho. Tab achanak se angel ne aake mere haath ko pakda or bola , mumma mumma papa kab aayenge? or mai jaise purani yaado se vapas aa gayi. Angel hum dono ko jaan se bhi pyari hai. Itne saalo mai bahot kuchh khoya hai maine, or shayad hum dono ne. par ab nahi.

Harsh kaam se bahar gaye huye hai par dil chahta hai ki bas ab or nahi. Aaj se unki sari pasand meri pasand hogi. vo jaisa chahenge vaisa hi karungi . dil mai aaj ek faisla le liya hai maine ki bas ab jab harsh vapas aa jaayenge to unhe bolungi ki ek baar fir se meri zindagi mai aa jao plz....sabkuch vaisa hi hoga jaisa aap chahoge.
Fir badi besabri se mai bhi angel ke saath harsh ke aane ka intezar karne lagi. par dil mai ajib si bachaini thi. samaj nahi paa rahi thi ki kaise harsh ka samna karungi. par aakhir harsh ke aane ka waqt ho gaya. Doorbell baji or mai daudakar gayi or darwaja khola. Samne harsh khade the. unki manpasand dress paheni thi maine. Unhone angel ko gale lagaya or meri or dekhkar bola , Bahot sunder lag rahi ho tum.

mai muskurayi .

Fir achanak se Harsh ne hi humare bich ki chupki ko toda or vo bole, Priya mai baat ko bina ghumaye tumhe kuchh puchhna chahta hu. Tum bhi imandari se jawab dena.

Maine kaha puchho harsh.

Kya tum muje ab bhi pyar karti ho? kya itne dino mai tumne muje kabhi bhi miss kiya? kabhi man nahi kiya baat karne ka?

Maine pyar se uski or dekha or bola kya iska jawab dene ki jarurat hai? Rahi baat tumhe miss karne ki to itne din kaise kate hai aapke bin ye to mai hi janti hu. par aapne bhi to muje call nahi kiya?

Harsh ne kaha kar sakta tha par mera ego us waqt bich mai aa gaya. par tere pyar ne or angel ki pyari si muskan ne mere dil ko pigla diya or socha ki ab tum dono ke saath hi rahena hai.Priya , tere siva or koi nahi meri zindagi mai...kya hum dono fir se pahele ki tarah nahi rahe sakte ? or jawab mai maine khade hokar unke gale se lag gayi.

Mai harsh ki baaho mai thi or sare gum bahene lage the aankho ke ashq se. Ab jo aansu the vo to khushi ke the jinhe dekhkar angel bhi muskura rahi thi.

Harsh ne kaha rishto mai deri jaisi chheeze hoti hi nahi or honi bhi nahi chahiye. Rishte to bante hai pyar se or unhe nibhana bhi pyar se hi chahiye. or jawab mai maine bhi unki baat mai ha bolkar sahemati di.



Shikha

Tuesday, 16 December 2014

Love story - shikha



My real Love story in Hindi – meri galti kya thi

hii guys, i m Tamanna (change name) main aap sab logo se apni story share karna chahti hu.
main mehej 14 saal ki thi tab ek ladke se bahut nafrat kiya karti thi par wo mere papa ke friend ka beta tha isiliye wo hamare ghar aata rehta tha but hum dono mein 36 ka aakda tha par ek din uski cousin ki shadi pe use jab rote huye dekha oh bahut ajib feel hua main bhi nahi janti ki ki wo kaisi feeling thi,
wo uske nad kuch din ghar aaya nahi aaya m use miss karne lagi thi waha woh meri ladai meri shaitaniya miss kar raha tha fir wo ghar aaya ek ittefaq hi tha ki mai us waqt ghar mei akeli thi usne mujhe kaha ki pata nahi kyu par mai aaj tujse milne aaya hu hum dono hi ek alag ahsah mehsus kr rhe the, fir kuch dino bad achanak se hi usne mujhe purpose kiya main ha to kehna chahti thi par keh hi nahi payi m silent thi…. mujse ha builwane ke liye usne apni nakli gf banane ka natak kiya or fir to mne haa kehna hi tha sab kuch sapne jaisa tha..
jab hamari family ko pata chala to dono ne mana kar diya hum kya karte fir hum chup chup ke mine lage har pareshani ka samna sath sath kiya or ase hi 4 saal gujar gye main 12th mein jab mere papa hospital mei the wo mera or sabka bahut khyal rakhta tha papa ko blood bhi donate kiya roj mujhe hospital leke bhi jata tha thode din bad mere papa is duniya se chale gaye hum 3 behene or mumy bilkul akele ho gaye the tab bhi usne mera bahut sath diya
fir ek din uske papa ne humein kahhi bahar sath mein dekh liya or wo hmare ghar aa gye or un logo ne mujhe kaha ki wo jutha hai mujhe dhokha deraha hai par maine yakin nahi kiya unhone kaha agar tera or uska pyar sachha h to use bol hamare samne aake tujhe apna le mujhe yakin tha wo jarur aaega maine use phone kiya main bahut ro rahi thi use bas itna kaha jaha bhi ho mere paas aa jao wo bina kuch soche samjhe apna kaam chodke mere paas aa gaya or sabke samne mujhe gale se laga liya or apne ma baap se rishta todkar bahar rehne laga maine use samjhaya or wapis bhej diya wo mujse bahut pyar karta tha par….
3 mahine bad uske institute mei ek nayi ladki aayi jo use line deti thi or us ladki ke aage hamara pyaar chhota pad gaya wo us ladki ka ho gaya ab wo mujse hafto tak baat nahi karta tha main pareshan thi jo mujse baat kiye bina 1 din nahi reh sakta tha wo aaj itna badal gaya tha par main fir bhi sochti thi ek din sab thik hoga fir ek din maine use us ladki ke sath dekha meri to jaise duniya hi khatam ho gai thi tut gai thi main, maine usse baat karni chhod di ye sochkar ki mera pyar use mere paas wapis layega mujh laga wo mujh emanane aaega par aaj 2 saal ho gaye wo nahi aaya or jis ladki ki wajah se hum alag huye wo use 6 mahine bad hi chhod ke kisi or ke sath chali gai
main aaj bhi uska wait kar rahi hu main sirf usse ek bar puchne chahti hu ki meri galti kya thi mere pyar mei kya kami thi :-( :-(


Unknown

Monday, 24 November 2014

Love story-shikha


Author-pradeepji
Readers....hum sirf share kar rahe hai aap sabke saath becoz I love this story....

Hello friends, I’m pradeep . Me yaha apne dost karan ki One side love ki story share karne ja raha hu jisne apne pyar ka 11 saal tak intjar kiya , or anpe pyar ko aakhir paa hi liya ………
Karan or Mausam ke ghar paas me hi the. Karan use 10 saal ki umar se chahta tha.Dono ke gharbalo ka aapas me koi khas contact nahi tha. Mausam bahut hi khoobsurat or bindaas ladki thi. Dono ke school alag alag the . Karan ka padai me koi interest nahi tha to bahi Family problems ki bajah se mausam ki padai sirf 8th tak hi ho pai. Karan bas use dekhta tha , jab use Mausam dikh jati to use accha lagta.Bakt se sath dono bade hote gaye . Karan ki Mausam ko ek najar dekhne ki tamanna kab pyar me badal gayi pata hi nahi chala . Ab mausam ko bhi ehsaas hone laga ki karan muje dekhta hai , par mausam to bindaas thi apni duniya me khoyi hui thi..to bahi dusri taraf Karan use deewano ki tarah chahta tha. Dono ki aapas me kabhi bat nahi hui thi.
Mausam jaha bhi jati karan uske piche chala jata , din-rat , subah-sham bas mausam ke pyar me dooba rehta .Ab mausam ko karan ka is tarah picha karna , use dekhna ye sab achha nahi lagta tha. Ab use karan par gussa aane laga tha.Us bakt dono hi 16 years ke the.
Bakt gujarta ja raha tha , Karan ki mohobbat badti ja rahi thi to bahi mausam karan ko bilkul pasand nahi karti thi . Karan mausam ke pyar me Aashiq ban gaya tha . Par abhi tak usne apne pyar ka izhar nahi kiya tha. Karan agar usse normal bat bhi karta to Mausam thik se bat nahi karti thi , use to karan ko dekhkar hi gussa aa jata tha…
Saal 2009 jab dono hi 19 years ke the, tab karan ne mausam se apni beintihan mohobbat ka izhar kiya..par mausam ne koi jawab nahi diya. Ab karan ko jab bhi mauka milta bo mausam se bat karta , par mausam use koi jawab nahi deti…bo to karan ko bilkul bhi pasand nahi karti thi…
Jab hum kisi se had se jyada pyar kare , uski ibadat kare , har lamha har ghadi use chahe , har dua me use mange , Or bo shaks humse pyar na kare to kesa lagta hai??? ye sirf bahi samaj sakta hai jisne aisa pyar kiya ho, har lamha har ghadi uska intjar kiya ho…Bo aashiq to bas uski mohobbat me dooba tha. jamane se bekhabar bo shakhs jane konsi duniya me jeeta tha ..
Mohobbat bhi ab mukam par aane bali thi
Mausam bhi ab karan ke pyar se kaha bachne bali thi
2009 ke last me karan ne fir mausam se kaha
Deewano ki tarah chahta hu me tujhe sanam
bas ek bar ha kah de kam pad jayenge pyar ke liye saat janam
Ab mausam ne jawab de hi diya- Me teri is janam me kya agle saat janam me bhi nahi ho sakti….saal 2009 bhi gujar gaya . 2010 me bhi mohobbat ka ye silsila chalta raha , Ek taraf Karan ki mohobbat , Dusri taraf Mausam ki nafrat….
2010 me jab me 10th class me tha , Tab Karan se meri dosti hui..Me Karan or Mausam teeno ek hi colony me rehte the..
Dheere dheere usne apne dil ke raaj muje bataye , uske shabdo se jyada uski aankhe haal-e-dil bata rahi thi , mano kah rahi ho mujse – ab intjar nahi hota..ab intjar nahi hota..Tha sab kuch uski aankho me sibaye aansuo ke..Jab puchha mene usse aansuo ka haal . Kehta hai bo Aashiq mujse- Pradeep itna roye hain hum unke pyar me ki ab to aansuo ne bhi humse bhagabat karli hai….
Kuch to tha us Aashiq ki aankho me …kuch to tha…
Dheere dheere meri or Karan ki dosti badti gai . Apna haal e dil bo muje roj batata..Dusri taraf mausam ..me to usse bhi bat karta …Mano apni life me sab kuch pehle se hi paa liya ho usne..Ek dam bindaas ..jab mene mausam se karan ke bare me pucha to kahti hai – bo to paagal hai , or haskar chali jati hai….Nafrat karte karte shayad thak gayi thi bo
tabhi to uske andaaz kuch is tarah badalne lage…
Or ab to sab kuch meri aankho ke saamne ho raha tha… Me Karan se har bakt yahi kahta ki ek din ise tujse mohobbat ho hi jayegi,,Fir karan mujse kehta – bas ek tu hi hai jo muje himmat deta hai,..verna yaha to sab muje bhool jane ka bolte hain..Mene kaha- Sachha pyar hai to bo jarur aayegi, jaha sacchai hoti hai baha hamesha jeet hoti hai…
Dono ka silsila yun hi chalta raha ,, Udhar ab mera bhi padai ki bajah se Karan se contact kam ho gaya..Is tarah 2010 ka bhi end ho gaya
Ab 2011 ka gaya tha ..Me to school me busy tha or ab jyada karan se contact nahi ho pata tha…jab bhi milte the hum ..bas ek hi topic hota tha hamare paas…Pyar,Pyar ,Pyar
Ek din March me pata chala ki mausam ki shadi ho rahi hai…Ye sunkar karan ke pairo ke niche se to jese jameen hi khisak gayi ho…Us time mere board exams chal rahe the..ab to meri himmat bhi tutne lagi thi , 2 mahine baad May me mausam ki shadi honi thi…Mene karan se kaha – ab to ye ja rahi hai..Karan ki jubaan par ek lafz bhi nahi tha…Us time jese dono hi haar maan gaye ho. Par ab Mausam Karan se utni nafrat se bat nahi karti thi..Shayad use bhi kuch ehsaas hone laga tha
April ke mahine me jab navrate aate hain ..us time hamare yaha ladkiya kalash me pani lekar mata ke mandir jati hain or brat rakhti hain…Is bar mausam ne bhi brat rakhe the 9 din ke liye or Karan ne bhi..To subah suabh ghar se nikalkar jab mausam mandir jati karan bhi uske sath jata ..Karan khali hath jata tha or mausam pani ka kalash lekar…
Dono bich raste me thodi bahut bat kar lete. Fir jab maa ke mandir pahuche to mausam jal maa ko chadane lagi , to usne karan se kaha chalo ab mere kalash ko pakadkar hi jal chadalo , tum to kuch lekar aaye nahi..tab dono ne 4 hatho se kalash ko maa ke mandir me chadaya . Ab to roj ka yahi kam ho gaya .9 din tak aisa hi hua ..Is dauran dono me dosti bhi ho gayi…Mausam ke bhai ke pas ek mobile tha jiska number karan ko pata tha, fir kya karan ne phone laga diya or jyadatar bo mobile mausam ke paas rehta tha , to mausam ne hi uthaya…Mausam ne pucha – Kon
Karan- hum hain …aapke dost
Mausam- Dost ka koi naam to hoga..
Karan- Aap hume janti hain..
Mausam- Hum aapko nahi jante…
Karan- Ek chote se raste me hum aapke humsafar the, bhool gayin kya ??
Mausam- Achha…to aap ho karan…..
Or is tarah phone par unki bate shuru hui….jese jese april ka mahina bad raha tha mausam ki shadi najdeek aa rahi thi..6 May ko mausam ki shadi honi thi….
Ek din phone par bat karte karte Mausam ne karan se kaha- Ye pyar kya hota hai ?? Karan ne kaha – Ab tum rehne do …is pyar ke dariya me doob gayi to bahar nahi aa paogi..aag ka dariya hai ye..
Mausam- Muje doobna hai is dariya me …
Karan – Agar doob gayi to bapas nahi aa paogi…
Mausam- Kya tum muje le chaloge us dariya me…
Karan-pehle mere paas aaogi tabhi to le chalunga…
Mausam- Matlab ??
Karan-Kya tum mujse pyar karti ho ?
Mausam- …………haan……me tumse pyar karti hu….( ye sunkar karan jese hawa me udne laga…bo bahut khus hua..itna khus life me pehli baar use itni khusi mili jab mausam ne use ye kaha…Mano sadiyo ki winter ke baad summer aaya ho…Uski khusi ka to koi thikana hi nahi tha)
Fir dono ki mulakat hui ..shayad 21st april tha..Dono subah ke 4 baje mile the ..Karan ne us din pehli baar Mausam ko apne sine se lagaya ..mano bina rooh ke jism ko aaj rooh mil gayi ho. Fir usne apne 11 saal ka haal e dil mausam ko bataya…Ab bo roj milne lage . Karan har baar usse bolta mausam tum mere sath chalo kahi door …rooh ki gehrai se chahta hu me tumhe . .Par mausam koi jawab nahi deti..
Mausam ki shadi ko ab bas 6 din reh gaye the ..dono roj milte subah 4 baje..Mausam kehti karan me bas tumhe hi sochti rehti hu..tumse bahut pyar karne lagi hu me..tum agar muje kuch der tak nahi dikhte to mera bura haal ho jata hai..bahut pyar karne lagi hu me tumse karan..bahut pyar…
Ab mausam ki shadi ko bas kuch din hi bache the..Karan ki to mano jaan nikal rahi thi…1 may ki rat ke 11 baje karan ghar se door ek dukan par khada tha to mausam rat ke 11 baje hi baha pahuch gayi…Karan kehta hai – tum yaha itni rat ko…koi dekh lega to, …Or fir karan ne use ghar jane ka ishara kar diya ..
Friends ye sab dekhkar kuch pal ke liye to yakeen hi nahi ho raha tha…Muje yaad hai mene karan se kaha tha- Kya ye bahi ladki hai jo tumse itni nafrat karti thi…..
Agar kisi cheez ko dil se chaho to puri kaynad tumhe us tak mila hi deti hai.
Karan ne jitni siddat se Mausam se mohobbat ki thi aaj mausam bhi karan ke pyar me utni hi paagal thi…
.. Picture abhi baki hai mere dost…
Share This PostShare on Facebook37Share on Google+0Tweet about this on Twitter0

Tuesday, 18 November 2014

Story-shikha



Chandni rat he. Sitaare zagmaga rahe he. Chandni apne premi chand ki pratiksha karti huyi unki yaado ko lekar pal pal bita rahi he. par har pal unke liye saalo jaisa lag raha he. Chandni apne premi chand se milne ke liye tadap rahi he. Chand ki baaho me simatne ke liye betab he. Apne chand ke bina unki har saans jaise ruki ruki si he. Chand ki judai use pagal bana rahi he...........

.Dear Shayari readers.....Ye kahani Het or Harsh ki he. Un logo ke pyar ki he. Harsh chand he to Het uski chandni he. Dono ekdusre ke bina adhure he. Aap bhi janna chahenge ...in dono ke pyar ki kahani, vishwas ki kahani....Aakhir kaise mile ye dono..............
Agar chand na hota to

Aasman itna suhana na hota,

Agar Harsh ka saath na hota to

Het ke dil me pyar na hota.


Harsh vo ladka he jo pardesh me raheta he or shadi ke liye India aaya hua he. Bhot si ladki dekhi he usne par kisi par bhi uska dil nahi lagta. Tabhi ek din achanak se isi tarah Het se uski mulakat huyi.Het bahot hi sidhi sadi si ladki he. het ne jab paheli bar Harsh ko dekha to vo sochte hi rahe gayi. Use yakin hi nahi ho raha tha apni kismat pe ki Harsh jaisa ladka bhi uski zindgi me aa sakta he........Uski mulakat Is tarah se ho gayi ki Het to jaise apne ek alag hi jahaa me kho gayi....

.Het jab apne rajkumar ka intezar karte huye apne jivan se har chuki thi, use lag raha tha ki uske sapno ka rajkumar use kabhi nahi milega...kyoki sapno ke rajkumar se mulakat to sirf kahaniyo me hoti he..haqiqat me nahi....or tab achanak se Harsh se uski mulaqat huyi. Or Harsh ne dher sari khushiyo ke saath Het ki duniya me pravesh kiya. us din un dono ke bich bahot hi thodi si idhar udhar ki baate huyi.Het to kuch soch hi nahi paa rahi thi. jab uske parents ne use puchha ki vo kya chahti he, to use samaj me hi nahi aa raha tha ki vo kya kare......par fir usne apne dil se puchha or ek ahem faisla liya ki ab uske jivan me yahi aakhri ladka hoga jisne use dekha he. Ab zindgi jini he to sirf Harsh ke saath varna vo kabhi shadi nahi karegi........Ek hi pal me usne apna dil Harsh ko de diya....

Aapko lag raha hoga ki aisa kyo....par humare india me ladke or ladke ki jo milne ki rasam hoti he usme ladki ke dil ki kya haalat hoti he ye koi janne ki koshish hi nahi karta....Ladke valo ke samne vo sharmayi huyi si gabharayi huyi si sahem jati he........ek kathputli ki tarah use sabke samne bithaya jata he..sab ke sawal ke jawab dene hote he......aaj jamana badal gaya he...par aaj bhi aisi kai jagah he jaha pe ladki ki halat ko sab nazar andaz kar dete he....

.Do-Tin din ho gaye. Vo intezar kar rahi thi, par intezar nahi ho paa raha tha, usne socha kyo vo khud hi un raho se gujrane chali jaye. or Harsh ki ek zalak dekhne ke liye vo barish me bhigti huyi un raho pe chal di jaha vo raheta tha. par vo harsh ko nahi dekh payi. Mayus hokar vo ghar lauti or dusre hi din vo bimar ho gayi...check up karane par pata chala ki use malaria ho gaya tha. or uski sari ummid pe pani fir gaya....par het ki khwaish bhot jald puri huyi. Do din ke bad Harsh ne Het se milna chaha. Het bimar thi fir bhi usse mili. or jaise bhagvanne dono ko ekdusre ke liye hi banaya tha. Harsh ki pyari si muskan, bado ka aadar karna, unki pyari si baate, or gussa to jaise usse so mile door tha, inhi baato ne usko diwana bana diya. vo bhot hi khush thi. or ek din Harsh ne Het ko apne jivansaathi ke roop me swikar kar liya or use lekar saat samunder par aa gaya.....

Friends....ab yaha se hoti he Het ke jivan ki sandharsh ki kahani.....Kya harsh ne dil se Het ko apnaya tha....kya het ek naye desh me, ek alag ritrivaj, alag bhasha.....or ajnabee saathi ke saath adjust kar payegi..............

.Het ko vishwas tha apne aap par, apne jivansaathi par...ki uske saath milkar vo sabkuch bhot hi jald sikh jayegi....par yaha hi vo galat thi. Ha, uske Harsh ne jivan ke har kadam pe uska saath diya...par Het vo ladki nahi thi jise usne chaha tha, jiske sapne sajaye the. uske sapno ki rajkumari to koi or hi thi. Desh, ritrivaj, bhasha, ye sab to bahot door ki baate ho gayi...pahela sandharsh uske jivan ka yahi raha ki use har hal me apne jivansathi ke dil me thodi si apne liye jagah banani he.chahe uske liye use kuch bhi karna pade, vo pichhe nahi hategi. Harsh ke dil me khud ke liye pyar jagana hi jaise Het ki manzil ban gayi. Kabhi kabhi vo akeli bhot roti thi, apne vatan ko yaad karke, kabhi apne parivar ko yaad karke, kabhi apna bachpan yaad karke to kabhi apni dosto ke saath bite huye un lamho ko yaad karke.....ye yaade hi unke dil ko khush rakhti thi. use aisa lagta tha jaise har kadam pe uske samne ek imtahaan hota tha. kabhi jaise uska swabhiman tutta tha. par usne kabhi bhi har nahi mani. kyoki use pata tha ki yaha itni door apne parivar se door aane ka faisla usne khud kiya tha.......or ab jo bhi he yahi uski kismat he.

Harsh ..apne business ke saath saath padhai bhi karta tha. dhire dhire din gujrate chale gaye....Harsh ..Het se jo bhi kaheta..vo bilkul vaisa hi karti chahe uska dil mane ya na mane. uske saath vo ek saye ki tarah rahene lagi...jaise ki uske aaspaas hi uski sari duniya he. isi tarah pure 2 sal gujar gaye. par shayad Het ki yahi baato ne ...uski sabke saath pyar se baat karne ki ada ne shayad Harsh ke dil me apne liye pyar ka divy swaroop pagat kiya. Harsh ki har baato ka sanmaan karna, uski kahi huyi har baato pe gaur karna jaise uski aadat ban gayi. Vo sabkuch khushi se karti..dil se karti. Ab vo ekdusre ko samajne ki koshish karne lage...Harsh humesha....Het ki masti karta raheta.....Jab bhi het ke ghar se khat aaye to uski aankhe num ho jati...or harsh usi waqt unhe bahar le jata....or use hansata........Dhire dhire un dono ke bich pyar badhta gaya. Dono ekdusre ke itne karib aane lage ki jasie ab vo dono ekdusre ke liye hi bane he. Harsh .....har kam me het ka saath deta........chahe vo kam koi bhi ho...........rasoi banane se lekar bartan manjne tak........Vo uska bilkul ek bacchi ki tarah khayal rakhne laga. jab bhi vo dono ghar me akele hote the tab Harsh khana banata or vo baate karti ..or fir dono saath me dinner lete....Aise hi pyar badhta chala gaya ki yu samjo jism alag the par jaan ek....
Harsh ke pyar ne hi het ko samjaya ki pyar kya hota he, pyar kaise nibhaya jata he.kisiko apni jaan se badhkar pyar karna koi pap nahi he. Harpal ekdusre ke prati pyar ka ehesas rishte ko or gahera banata he. vo harpal use ye ehesas dilata ki uske bina to koi zindgi hi nahi he. 

Shadi ke waqt halat chahe jaise bhi rahe par usne kabhi bhi het ko shikayat ka mauka nahi diya. Kabhi kabhi to kuch kahe bina hi vo Het ke dil ki baat jan leta tha. Vo jab apne harsh ke pass ja rahi hoti thi to uske pahunchne se pahele hi usko unke paas aane ka ehesas ho jata tha. ekdusre ko jara sa bhi durd hota to vo hi durd dusra bhi mahesus karta......or ye pyar ki kashish hi to thi jo dono ko aise jude rakhti thi.

Aise hi pyar ke sahare zindgi haatho se sarti ret ki tarah gujrati gayi. Ab parivar ko nanhi si gudiya chahiye thi.....din bitte gaye or Harsh apni /het ko lekar itna possesive ho gaya ki kisi or ka het ki or dekhna bhi usse bardast nahi hota tha.....baate to bhot door ki baat he....Par het ko usse koi furk nahi padta tha.....use to yakin hi nahi hota tha apni kismat pe.....ki aaj unka harsh sirf unka he.......uska itna pyar, itni kashish Het ko khud bhi diwana banati gayi.

Ab....kya hota he aage....kya uski bagiya me bhi nanha sa gul khilega......kya hoga aage..........

Isi tarah tin Saal gujar Gaye. Het ne apne parivar ka dil jeet Liya. Apne harsh ka dil jeet Liya apne pyar or vishwas ke saath. Ab het apne mayke Jana chahti hai or vo bhi 3 mahine ke liye. harsh ka to jaise dil hi tut Gaya. Harsh barbar het ko Rockne laga, mat jaa Hume chhodkar par het harsh ko pyar se samjati Ki those Dino ki to Baat hai fir jaldi se vapas aa jaungi. 

Harsh ko isi tarah samjati thi or vo mayke chali gayi. Harsh 1 mahine ke baad India aanevala hi tha par ye 1 mahina us ke liye saalo ke saman tha. Het ke hate hi jaise uska sabkuch khatam ho Gaya. het ke bina jaise kuch tha hi nahi. Charo or het ki yaado ne use diwana bana Diya. Jab paheli baar harsh ne India phone kiya to het bhi rone lagi. Harsh ne mashes us kiya ki het bhi unhe utna hi pyar karti hai. Harsh ne apne badroom Mai bhi het ke liye Diwalo pe pyar ka paigam likha. Bahot bada pyar ka pratik heart drowing kiya. Or phone letter ye sab to chalta hi tha.


Part -2

Het ne paheli baar harsh ki diwangi dekhi. Hash jab bhi pyari si baate karte to uski aankho se ashq bahe jate. Use yakin nahi ho raha tha harsh such mai us se itna pyar karta hai. Fir 1 mahine mai hi harsh het ke paas aa gaya. Yaha 15 din un dono ne pyare se lamho ke saath pyar se bitaye. Par ha...yaha bhi harsh jab india aayato usne apne aapse ek wada kiya tha jo het ke liye uske pyar ka ek imptehaan tha. Usne apne aap se ye wada kiya tha ki jitna pyar mai het se karta hu utna hi pyar agar vo mujse such mai karti hai to vo muje airport pe lene jarur aayegi. Agar asa nahi hua to mai yahi se hi dusri flight leke vapas chala jaunga.

Het bhi to Harsh se shayad apni jaan se bhi jyada pyar karne lagi thi isiliye vo apne Bhai ke saath aayi ...apne Harsh ko lene ke liye or het ko dekhkar harsh ki ruki saanse jaise chalne lagi. Kya lamha tha jab dono ka aamna samna hua.....kudarat bhi jaise muskura uthi thi us din. Do dil jo thode pal ke liye bichhad gaye the vo fir se mil gaye. Yaha pyare se lamho ko apni zindgi ka hissa banaya. Het or Harsh ne saath mai jatra ki or har mandir mai bhagwan se yahi prarthna ki ki jiyenge sath- marenge saath. Yaha un dono ne paheli baar saath jine-marne ki kasam khayi....or khubsurat lamho ko lekar vapas Africa aa gaye.

Yaha se Harsh-Het ki zindgi ka dusra mod shuru hota hai. Jab un dono ke jivan mai nanha sa gul khilnevala hai. Het ki health thik nahi raheti hai...use kuch bhi acchha nahi lagta hai.Or Het ki aisi halat dekh Harsh bhi pareshan ho jata hai.

Harsh ka birthday 25 th april ko hai or usi din vo Zanzibar mai tha. Yaha pe Het ko lekar hospital gaye to pata chala ki harsh-het ke pyar ki nishani ne is duniya mai aane ke liye pahela kadam rakh diya hai. Het ne jab Harsh ko call karke ye baat sunayi to vo itna khush ho gaya ...itna khush ho gaya ki meeting mai baithe huye sabhi ko unhone ye khushi ki baat batayi. sabne use dher sari badhai di.  Ab het uske ghar aane ka besabrise intezar kar rahi thi. kitna pyara tha vo lamha jab vo ekdusre ke saath the..dono bahot hi khush the. Ghar mai bhi sab bahot hi khush the. sab het ka bahot hi khayal rakhte the. Din bitte gaye. Parivar ke sabhi nanhi si gudiya ka besabri se intezar kar  rahe the or aakhir vo din bhi aa hi gaya. Het ki tabiyat thik nahi thi. vo harpal harsh ko apni nazar ke samne dekhna chahti thi. Harsh ..pura samay uske paas hi raha or het ke sir pe apne pyar se haatho se sahelata raha...or bhagwan se prarthna karta raha.

Or nanhi si gudiya ne is duniya mai apna kadam rakh diya. Bilkul Harsh ki tasvir hai vo gudiya....Vo kitna khush tha us din....Sabhi bahot khush the. Gudiya ke aate hi Harsh ne community mai jo function chal raha tha usme dinner diclare karva diya. Kitna pyara din tha ...vo pal tha..jab het ne apne haatho mai us nanhe se gul ko lekar chuma tha....Harsh or Het ki jaan hai ye gudiya...Isi gudiya ke saath din bitte gaye...Het is nanhi si jaan ke saath busy rahene lagi or Harsh ko aisa lagne laga ki Het ab use bhul gayi hai...

Het ko aaj bhi yaad hai vo uska bachpana.....kitni masumiyat thi uski baato mai...Fir het ne bahot hi pyar se use kaheti or samjati ....Harsh aisa kabhi ho skta hai ki hum tumhe bhul jaye? par ye bhi to hum dono ki jaan hai, humare pyar ki nishani hai...or harsh fir khush ho jata. Waqt teji se gujarta chala gaya, gudiya badi hone lagi. Harsh use apni princess kaheta hai or Het use anjalu kaheti hai. Anjalu ke saath khelna ...uska hansna .....ek ek pal anmol tha het ke liye.....dekhte hi dekhte vo do saal ki ho gayi. Het ko kabhi kabhi lagta tha ki ab vo kabhi akeli ho jati hai...use apna ek saathi chahiye...jiske saath vo khel sake...

Het ne harsh se is bare mai baat ki to harsh ne to bilkul mana hi kar diya...fir het ke bahot samjane par vo mana...or pichhli baar ki tarah is baar bhi harsh ne het ka bahot khayal  rakha...or aakhri waqt tak vo uske paas raha. or ek pyari si gudiya ne is duniya mai apna kadam rakh diya. Harsh to bahot hi khush hua...kitni cute hai ye...or fir het se kaha........ab hume apni ye dono betiyo ka jivan savarna hai...uska bahot khayal rakhna hai hume or kuch bhi nahi chahiye. Tere jivan ke saath hum ab or koi risk nahi le sakte. harsh ki ye pyari si baate sunkar uski aankho mai se aansu nikal aaye. Itna pyar...kitni kismatvali hu mai....

Het harroj bhagwan se prarthna karti hai apne harsh ki raksha ke liye parivar ki raksha ke liye or apne harsh ki pragti ke liye...Vo khush hai apne jivan se ...apne pyar se, apne harsh se...uska harsh kabhi juth nahi bolta..vo het ka bahot hi khayal rakhta hai..baat baat mai usko manata raheta hai. het ko bhi unka manana acchha lagta hai. Shadi se pahele vo kabhi kabhi bhagwan se naraz ho jati thi par use kya pata tha ki bhagwan ne uske liye aisa jivansaathi chunke rakha hai jismai khushiyo ke siwa kuch bhi to nahi. Harsh bhi kabhi kabhi het se kaheta hai ki agle janam mai humne kuch aise punya kiye honge jisse tum hume jivansangni ke roop mai mili ho.

Samay bitta gaya par un dono ka pyar kabhi kum nahi hua...din v din pyar badhta hi chala gaya. zindgi mai tufan to aate rahete hai par kabhi in tufano ne harsh-het ke bich pyar ki doori nahi hone di. Het ne bhi apne jivan mai aaye huye har halat ka samna kiya or apne harsh ko kabhi bhi apne se door nahi hone diya. Vo humesha het ke dil ki baat uske bina bole hi jaan leta hai. uske kadmo ki aahat harsh ko ye ehesas dila deti hai ki vo aa rahi hai...harsh ka dil jab bhi use yaad karta hai usi waqt vo uske samne hoti hai....

Harsh-Het ka pyar to sirf is janam ka nahi raha janmojanam ka ho chukka hai....Harsh ne het ke jivan mai aakar pyar ki vo kashish dikhayi jismai het khud diwani ho gayi. harsh ke pyar ke aage use sabka pyar fika lagta hai....bahot khush hai het oe uska pyara sa parivar.

Yahi hai Harsh-Het ke pyar ki kashish.....Bhagwan kare in dono ka pyar aise hi bana rahe...


Khushbu tere pyar ki kagaj par utar aati hai,
Sochti hu ki ruk jau kalam badhti hi jati hai..

 Shikha





 
Sharing Story...but really it's heart touching...











 
एक बार एक लड़का था ! जो एक लड़की को अपनी जान से भी ज्यादा प्यार करता था !
उसके परिवार वालो ने भी उसका कभी साथ नहीं दिया ,फिर भी वो उस लड़की को प्यार करता रहा लेकिन लड़की कुछ देख नहीं सकती थी मतलब अंधी थी !
लड़की हमेशा लड़के से कहती रहती थी की तुम मुझे इतना प्यार क्यूँ करते हो !में
तुम्हारे किसी काम नहीं आ सकती में तुम्हे वो प्यार नहीं दे सकती जो कोई और
देगा लेकिन वो लड़का उसे हमेशा दिलाषा देता रहता की तुम ठीक हो जोगी
तुम्ही मेरा पहला प्यार हो और रहोगी फिर कुछ साल ये सिलसिला चलता रहता है
लड़का अपने पैसे से लड़की का ऑपरेशन करवाता है लड़की ऑपरेशन के बाद अब सब
कुछ देख सब सकती थी लेकिन उससे पता चलता है की लड़का भी अँधा था तब लड़की
कहती है की में तुमसे प्यार नहीं कर सकती तुम तोह अंधे हो.में किसी अंधे
आदमी को अपना जीवन साथी चुन सकती तुम्हारे साथ मेरा कोई future नहीं है
..तब लड़का मुस्कुराता है और जाने लगता है और उसके आखिरी बोल होते है take
care of my eyes. this is a real love....

Cute love story.......Sharing
Boy: Kya Main Tumhen Payara Lagta Hun?
Gal: Nahi
Boy: Kya Tum Mere Sath Rehna Chahti Ho?
Gal: Nai
Boy: Aagr Main Marr Jaun To Tm Ro Gi?
Gal: Nai

Larka Bohat Udas Ho Gya Use Boht Dukh Hua Or Woh Rone Lga

Larki Ne Use Apne Qareb Kiya Or Kha-
Tum Piyare Nai Bohat Khobsorat Ho
Me Tumhare Sath Rehna Nai Balke Jeena Chahti Hun
Agar Tumhe Kuch Ho Gya To Me Roun Gi Nai Mar Jaun Gi

Sweet Love Story





Ek ladka or ek ladki ekdusre ko bahot hi pyar karte the. Dono ka pyar jaise sare shaher mai fail chuka tha. Fir un dono ne tay kiya ki apne apne gharvalo ke saath vo baat kare. ladka or ladki dono hi acchhe ghar se the, cast same thi to kisike ghar mai se koi problem nahi thi. dono gharvale shadi ke liye man gaye. sagai huyi. dono bahot hi khush the. parivar ke log khush the. ki achanak ladki bimar huyi...or dawa karne par bhi kuch furk nahi ho raha tha. kitne doc. ko dikhaya..ladki ke mata pita pareshan ho gaye. fir ek acchhe se doctor ko dikhane le gaye. doc. ne kaha ab waqt nahi. ladki ki maa achanak hi kisiko bataye bina ladki ko lekar America chali gayi. Ladka or uske gharvale pareshan ho gaye. aisi kya baat ho gayi ki achanak vo chali gayi ...shadi najdik aa rahi hai..kya kare..kisiko kuch samaj nahi aa raha tha.
din bitte gaye..ladki cancer ke last stage mai thi. kuch aash nahi thi. uski maa ka bhi bahot bura haal tha. Doc. ne kaha ab koi ummid nahi...ye kuch dino ki maheman hai. ladki ki maa unhe khush rakhne ki koshish karti, unki har tamnna vo puri karti . ladki jab aakhri saase le rahi thi tab usne bahot sochkar apni maa se ek vada liya...ki vo ladke ko meri marne ki khabar nahi degi. vo nahi jee payega maa,  vo mar jayega. aap unse itne hi kahena ki America mai green card vale ladke se maine shadi kar li. kum se kum meri bewafai se use durd to bahot hi hoga par vo jeeyega to sahi. ladki ki mum ne use promise kiya.
Or sari vidhi karke apni beti ko alwida karke vo vapas aa gayi. ladkevalo se or ladke se news bhijva diye ki ladki ne vaha hi kisise shadi kar li hai. vo tumse pyar nahi karti thi. Sab ko shock ho gaye. ladke ne kaha aisa ho hi nahi skta. vo muje bahot hi pyar karti hai. situation bilkul badal gayi. shadi ki taiyariya ruk gayi. ladka paglo ki tarah firne laga. Ladki ki yaad mai pagal sa ho gaya. Din bitte gaye, par uska yakin nahi tuta. vo man hi man sochta tha ki vo aisa kar hi nahi skti. muje vishwas hai uske pyar par. par kisse baat kare.
Fir ek din achanak hi raste mai use ladki ki maa mil gayi. Ladke ne unse puchha ki plz. hume such batao ki aakhir kya hua hai...vo mere saath ais anahi kar skti. bahot rone laga...uski ye halat dekhkar ladki ki maa ne use kaha, beta..shant ho jaa. tera pyar succha hai, tera vishwas such hai. usne tuje koi dhoka nahi diya. par uski tabiyat thik nahi thi , or din b din bigadti jaa rahi thi..doctors ne nidan kiya ki vo cancer ke last stage pe hai..jald se jald uska ilaj karao. or mai use lekar America chali gayi. par vaha ke doctors ne bhi haar man li or vo bhagvan ko pyari ho gayi par usne jane se pahele mujse ye wada liya tha ki mai tuje ye baat na batau...jisse tu apni zindgi mai aage badh sake. Ladka bahot hi rone laga...vo bola ..ek baar bhi muje ye baat nahi batayi usne. mai uske bina nahi rahe sakta. ab vo nahi to uski yaade hi sahi...jiske sahare mai apni puri zindgi gujar lunga. ladki ki maa unse mafi mangti hai or chali jati hai....
Ladka us ladki ki yaado ke sahare apni zindgi gujar  ne ka nirnay leta hai.....par pyar dono ka kitna succha or pavitra tha ki dono ekdusre ki kitni parvah karte the. pyar ka ye roop bahot kum dikhne ko milta hai.
Readers, such to ye hai ki ye kahani likhte waqt humari aankho se bhi ashq bahe gaye ......pyar kya aisa bhi hota hai?
Shikha

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...