Friday 16 January 2015

Itna pyar ho jata hai - shikha



Kyun kisi se itna pyar ho jata hai,
ek din jeena bhi dushwaar ho jata hai.
Lagne lagte hain apne bhi paraye,
aur ek ajnabi par itna aitbaar ho jata hai…

Unknown

Jo tumko ho pasand - shikha


Aa gale lag jaa - shikha


Tumhe na mange - shikha



Hum ye kabhi nahi chahenge ki koi tumhare liye dua na mange,
Hum to sirf yahi chahte hai ki koi dua mai tumhe na mange.

Shikha

Wada karo - shikha


Veg manchuriyan - shikha


Tera mujhse ye pahele ka - shikha


Yaar siwa tere - shikha



Jarurat nahi hume kisiki yaar siwa tere,
Huqumat nahi humpe kisiki yaar siwa tere.

Shikha

Vo kal humse mile - shikha



Vo kal humse mile the anjaan bankar,
Aaj vo hi rahe gaye hai humari jaan banakar.

Shikha

Tere bare Mai - shikha



Kuch lamhe jab free milte hai,
Tere bare Mai soch Liya karte hai.
 
Koi paas na hote Huye bhi muskura lete hai,
or aapke liye kuch to likh lete hai.
 
Har raste pe aap aaj saath ho ye Jante hai,
Fir bhi dil Mai ek dar as raheta hai.
 
waqt ke sheeshe se dhul ko saaf kar lete hai,
Fir usme vo saath gujare pal dekh lete hai.
 
Dil ke aangan Mai sapno ki duniya Saja lete hai,
Fir usme aapka saath bhi to chahte hai.

Shikha

Special shayari dedicated to narendra modiji - shikha




Ye us waqt likhi thi humne jab narendra modiji pm bane....

Aaj India ke liye ye badi khushi ki baat hai ki uske chahite Mr. Narendra Modiji PM bane hai......To kyo na unke liye Aaj kuch likhe ......

Jitte vo hi hai jinki baato mai dum hota hai,
Bolne se kuch nahi hota par karke dikhana jaruri hota hai.


Modiji kahete hai...
Humare virodhi se kahe do koi
Ab humari taqdir se jalna chhod de,
Hum to jab niklate hai ghar ke bahar,
To pure hindustan ki dua saath hoti hai.


Humare PM Shree Narendra Modiji ke liye chand shabd likhna bhi humare bas mai nahi hai...par sirf koshish kar rahe hai...galti maaf kijiyega...

Modiji ek aisi hasti hai Gujarat ki,
Jis dharti pe janme the shivaji.

Bachpan bita unka bahot hi sada sa,
Na jivan mai unke kabhi koi thath tha.

Sabki seva karne ka vichar bachpan se dil mai tha,
Desh ke liye kuch kar dikhana unke rag mai tha.

Chay ki chhoti si dukan se kam shuru kiya tha,
Vaktavay ka gynan unke rag rag mai tha.

Rasta dikhta gaya, karva banta gaya,
Logo ke dilo mai raj karna unka swabhav tha.

Kaha hai Modiji ne ki acchhe din aanevale hai,
To ye din bhi shayad aapka hi intezar kar rahe the.

Hindustan ke har ek manvi ki ummid aapse judi hai,
Us ummid or vishwas se khara aapko utarana hai.

Jis vishwas se is janta ne aapko chuna hai,
Us janta ke dukh ko aapko kisi bhi halat mai dur karna hai.


Aap aaj bane hai PM ye hindustan ke vikas ki or pahela kadam hai,
Sabke dilo mai raj karte ho aap ye virodhiyone  bhi man liya hai.

Hum sabko yakin hai itna ki ye kadam ab ruknevale nahi hai,
Har ek ki pareshani aapki khud ki pareshani jo aapko lagti hai.

Jab jab dharti pe paap ka boj badh gaya,
Bhagwan ne kisi na kisi roop mai janam liya,
Aise hi aaj hindustan mai faile bhrstachar ko door karne,


Hindustan ko sahi disha mai le jane ke liye,
Jisne hai kamar kasi...vo hai Gujarat mai or ab pure bharat mai sabke chahite....ek matra
MODIJI....

AB ACCHHE DIN AANEVALE HAI....AB KI BAAR MODI SARKAR...AAPKE YE SAB SLOGAN HINDUSTAN KE PYAR KA PRATIK HAI...

JAI HIND....VANDE MATRAM

Shree Narendra Modiji ....Hum Apne Hindustan se Door hai aaj fir bhi utne hi karib hai. Yaha bhi hindu community hai jo aapko behad chahti hai...So aapse humari namra vinanti hai ki apne shubh kadam yaha bhi rakhna kabhi ye is country ke liye gaurav ki baat hogi.


Shikha


Junun hai - shikha



Aapka humare khwabo mai aana ye humara mukdar hai,
Aapko paheli nazar mai dekhte hi dil fisal jana ye dil ka pagalpan hai,
Aap aaye ho zindgi mai humari humesha ke liye,
Aapko humari zindgi samajna ye humara junun hai.

Shikha

Mahesus kiya hai - shikha


MAHESUS KIYA HAI
Mahesus kiya he humne dil se,
Aap pyar hume karte ho dil se,
jab bhi chahe bula lo hume,
hum aa jayenge tumhare pass dil se.

Shikha

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...