Hello Friends, Read my shayari collection.....and i promise ..you will all enjoy my creativity! Shayari Shikha me aap sabka swagat hai...Is site ke liye sabse pahele hum humare Raj ka shukriya ada karte hai..jinhone hume encourage kiya...saath diya...or humara honsla badhaya ki ab bhi hum kuch likh sakte hai.... Readers.....Shayari humare jivan se aise judi hai jaise ki saanse...Jo baat hum shabdo se baya nahi kar paate...use hum shayari se bakhubi baya kar dete hai.
Tuesday, 12 May 2015
Zindgi ki kitab - Shikha
Rimzim si barish ki bund ko dekha,
Or zindgi ko jaise palat ke dekha.
Dil ne socha kyo na kuch naya likha jaye,
Zindgi ke pahelu ko kuch naya roop diya jaye.
Aaj zindgi ko nazar mai rakhakr ek kitab likhenge,
Usme sari khushiya or gum bhi likhenge.
Pyar ka vo gujra sunhara waqt likhkar,
Chahat ke mausam ko bemishal likhenge.
Mile the hum tumko kis tarah se,
Zindgi kaise pal mai badal gayi thi ye likhenge.
Apni khawaisho ko naya aasman dekar,
Naam tumhara har jagah likhenge.
Tera pyar hai kitna anmol kaheti hai ye shikha aaj,
Tere har pahelu ko hum zindgi ki kitab mai likhenge.
Shikha
Subscribe to:
Posts (Atom)
Palko ko maine - Shikha
Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai naina tere ...
-
Sukhe patto ki tarah bikharati chali gayi thi mai, Tumne aag lagayi to jaana kaun apna kaun begana. Shikha
-
Lekhak ki Ahemiyat Dosto, aapko lag raha hoga ki ye kaisa topic hai , right? Ek Lekhak apne zahen se alfazo ke zariye chun chun k...