Sunday 22 February 2015

Dosti naam hai - Shikha



Dosti naam hai sukh-dukh ke afsaane ka.
Yeh raaz hai sada muskuraane ka.
Yeh pal do pal ki rishtedaari nahi.
Yeh to farz hai umr bhar nibhaane ka.

Zindagi mein aakar kabhi na vaapas jaane ka.
Najaane kyu ek ajeeb si dor mein bandh jaane ka.
Ismein hoti nahi hain shartein.
Yeh to naam hai khud ek shart mein bandh jaane ka.
Yeh to farz hai umr bhar nibhaane ka.

Dosti dard nahi rone rulane ka.
Yeh to armaan hai ek khushi ke ashiyaane ka.
Ise kaanta na samajhna koi.
Yeh to phool hai Zindagi ki raahon ko mehkaane ka.
Yeh to farz hai umr bhar nibhaane ka.

Dosti naam hai doston mein khushiya bikher jane ka.
Ankhon ke ansuon ko noor me badal jane ka.
Yeh to apni hi taqdeer mein likhi hoti hai.
Dheere-dheere khud afsaana ban jati hai zamaane ka.
Yeh to farz hai umr bhar nibhaane ka.

Dosti naam hai kuch khokar bhi sab kuch paane ka.
Khud rokar bhi apne dost ko hasane ka.
Ismein pyaar bhi hai aur taqraar bhi.
Dosti toh naam hai us taqraar mein bhi apne yaar ko manaane ka.
Yeh to farz hai umr bhar nibhaane ka.
Yeh to farz hai umr bhar nibhaane ka....

Unknown

Na tere huye hum - Shikha


 
Sari-Sari Raat Naa Soye Hum,
Raato Ko Uth-Uth Ke Khub Roye Hum,
Bas Ik Baar Mera Kasoor Bata De,
Itna Pyar Kar Ke Bhi Kyu Na Tere Huye Hum!!!
 
Unknown

Best gazal - Shikha


Latest hindi songs video - Shikha


Door gagan ki chhav mai - Shikha


 


Door gagan ki chhav mai...
 
Ye gagan bada hi vishal hai. jiski koi sima nahi hoti hai. Vo apni chhav mai sab logo ko sahara deta hai. Hum bhi jab hum bahot hi chhote the....takriban 11 sal ke the tab ek din isi gagan ki chhav mai bahot bahot hi door gaye the or apna kuch waqt gujara tha. kya uska saundray tha. Vais ebhi kudarat ka saudray nikharne ke liye to har koi utsuk raheta hai. Door gagan ki chhav mai humne kuch aise pal gujare jiska aaj bhi hume samran hai. Vo vishal rangin gagan, charo or hariyali, jaise Dharti ne hari sari paheni huyi thi. Solah srngar karke nikli huyi dulhan ki tarah dharti bhi zagmaga  rahi thi. Door kshitij mai surya asat hone jaa raha tha, ye saudray bada hi adbhut tha. hum isi gagan ki chhav mai bahot bahot khele, hansi majak kiya, geet gaye, or fir is lamhe ko man me bansaye daudte huye, khelte huye, ghar vapas aaye. Na koi khatpat, na koi hume roknevala, itni shant jagah thi vo. jo pal humne bitaye jiska aaj bhi hume aanad hai.
 
Shikha
 

Pyar kya hai - Shikha



Pyar kya hai....
Pyar sirf dhai akshr ka shabd he. Sadiyo se vo alag alag tarike se pahechana gaya he, fir bhi anjan hi he. Pyar ke saath har waqt ek pagalpan hota he. Pyar kiya nahi jata...vo to bus....ho jata he....Pyar to sahaj he. Saccha pyar kabhi marta nahi he. Pyar me koi bhi shart nahi hoti he or na hi apne pyar ke liye badle ki bhavna hoti he....Pyar jaha bhi hota he vaha sirf pyar hi hota he..or kuch nahi.

Pyar to ekdusre ke purak he. Pyar me ekdusre ke saath zindgi bitane ki zankhna he. Alag huye to ekdusre ke liye intezar karne ka aanad he. Ekdusre se door hote huye bhi jab dono ekdusre ka khayal rakhe, ekdusre ke hi baare me soche...vo pyar he. Pyar to do dil ki angat sammti he..jaha pyar hota he vaha dar nahi hota. Jab koi kisise saccha pyar karta he to vo usse darta nahi he. vo harwaqt us rishte ko nibhane ki koshish karta he..

Aisa kya he pyar me.....

Dono ekdusre ko dekhe..or dono ki chemistry aisi click ho jaye ki dono ekduje ke bina rahe hi na paye...Dono chahe ekdusre ka saath.
Dono ko aisa hi lage ki jaise janmo janam se vo dono ekdusre ko jante he, pahechante he.....unki har khushi usse judi he....uski saanso ki rawani unse he, unki aankho me tasvir unki he......or Vo hi PYAR he........

Sangeet - Shayari ka jaadu - Shikha


Sangeet-Shayari ka jaadu
 
Aaj hum yaha pe jo article likhne ja rahe he unka humare jivan se bhot gahera nata he..Ummid karte he aap sabko bhi pasand aayega.


Sangit or shayari humare durd ki sabse badi dawa he. Jiske liye hume kisi doctors ke pass ki kisi vaid ke pass nahi jana padta. Ye vo jadu he jisse manushy apne aap me itna dub jata he ki use khud pata nahi raheta. Isme ek aisi pavitra bhavna or sneh hota he jisse dil ko sukun sa mahesus hota he.


Such to ye he ki music or shayari ke bina to humara jivan hi adhura he. Jab hum bhot udas hote he, akele hote he, tab ye sangit or shayari hi humare man ko aanandit karta he. Jab hum kisise naraz hote he, ye duniya se nafarat si hone lagti he us waqt yahi humare dil me pyar ki divya jyot jalate he. Har durd ka ilaj he sirf geet or shayari. Yaha pe bhi humne jitne bhi shayaro ko jana he uski vajah he Tanhayi, bewafai, jisse dil tut sa gaya hota he par shayari likhne se unke dil ko sukun milta he. Ye sangeet or shayri ka jadu nahi to kya he........


Agar koi ek pal ke liye, sirf pal ke liye ye soche ki agar is duniya me music or shayari hi na hoti to............agar aisa hota to manushay ka jivan bhi pashu saman ho jata...jivan me koi rang nahi hota, koi khushi nahi hoti... Geet or shayari me vo jadu he jisse log apno ko dil ki baat kahene ke liye dil ka saaz chhedte he or apno ko khush karte he, ruthe ko manate he. Inme vo pavitra pyar he jisse hum ajib si khushi mahesus karte he. Dil ki har dhadkan, har saanso me pyar ki ragini geet or shayari ke roop me chhayi hoti he. Inke bina ye jivan , jivan nahi balki abhishaap ho jata...or Yahi he Sangit or Shayari ka jadu......


Jaha tak humari baat he hum inse itne jude huye he ki inke bina to saanse bhi nahi chalti...shayad yahi humari dhadkan he.
I hope u guys all like this article....give your opinion please...
 
Shikha

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...