Hello Friends, Read my shayari collection.....and i promise ..you will all enjoy my creativity! Shayari Shikha me aap sabka swagat hai...Is site ke liye sabse pahele hum humare Raj ka shukriya ada karte hai..jinhone hume encourage kiya...saath diya...or humara honsla badhaya ki ab bhi hum kuch likh sakte hai.... Readers.....Shayari humare jivan se aise judi hai jaise ki saanse...Jo baat hum shabdo se baya nahi kar paate...use hum shayari se bakhubi baya kar dete hai.
Monday, 9 March 2015
Ladki ka ghar - Shikha
Ladki ka ghar
Dear readers, Aaj hum jo article likhne jaa rahe hai vo ek ladki ka durd hai. Fir vo ladki koi bhi ho, housewife ho, job karti ho, ye fir uska khud koi business hi kyo na ho. ye ek succhai hai ladki ke jivan ki, jise aaj tak koi nahi sulja paya hai.
Ladki ka jab janam hota hai tab se mata pita uska bahot hi khayal rakhte hai, phoolo ki tarah use bade najo se badi karte hai. uski har khushi ka khayal rakhte hai. jab ladki badi ho jati hai to yahi mata pita apni beti ko kisi or ke haatho me sonp dete hai...jis parivar se vo anjani hai, jis saathi se vo anjani hai....fir bhi kudrat or samaj ke banaye gaye ritirivaj ke karan vo apne dil ko tasalli dete hai ki humari beti uske ghar me khush hi rahegi.
Ye ladki ek anjane parivar me , apne jivansaathi ke saath apni zindgi bitane kai sapne sajakar uske ghar jati hai...ab sawal ye hai ki kya ye sapne uske pure hote hai....? kya us ghar me use vo pyar or sanmaan milta hai? ye har ladki ki kismat me kaha? ye is duniya ki succhai hai jise koi jutla nahi sakta.
chalo ek baar ye maan bhi le ki yahi kudrat ka niyam hai to kya sasural me jakar vo khushi se rahe pati hai? vo uska khud ka ghar hota hai........nahi ..kyoki sasural vale use khud ka ghar manne hi nahi dete. vo lakh koshish kare sabko apna banane ki, us ghar ko apna mankar rahene ki, fir bhi use baar baar ye sunna padta hai ki ye tera ghar nahi hai. maa baap ke ghar me kya tha....? Are aise words ka istemal karte hai jo usne kabhi sune hi na ho. kya vo khud chalkar aapke ghar me bahu banke aayi thi.....nahi na...aap sabki sammati se, duniya ke samne aapne use swikara tha...fir aisa kyo? kya aisi baato se unka dil rota nahi hoga? par kaun samjega ye sari baate?
Itne saalo se jis ghar ko vo apna manti thi usi ghar ko chhodkar jab unhe sasural aana pada tab uske dil pe kya biti hogi? yaha aane ke baad jab unhe yahi sunne ko mile ki ye tera ghar nahi hai, uske saath parayo jaisa vartav ho, ghar ki baate usse chhupayi jaye, or uske pyar ke badle me use mile sirf or sirf taane.......kya vo tutke bikhar nahi jayegi? kaun sambhalega unhe? par ye sari baate janne ki kise parvah hai... is duniya me aisi kai ladkiya hai jise aaj bhi ye sab sahna padta hai...
Readers, is duniya ki ek ladki aisi nahi hogi jisne sasural me aakar kitna kuch nahi saha hoga...sabko kisi na kisi baat me adjust karna hota hai....par vahi ladki jab saans ban jati hai to vo bhi apni bahu ke saath vaisa hi karti hai. vo ek baar bhi ye nahi sochti ki jab mere saath ais ahota tha to muje kitni taklif hoti thi..or vahi mai apni bahu ke saath karne jaa rahi hu. tab uska saans ego uske samne hota hai. duniya me agar aaj ek ladki pareshan hoti hai to uski pareshani ki vajah bhi jyadatar ek ladki hi hoti hai....fir chahe vo koi bhi roop me ho.
ek pyari si ladki jab shadi karke sasural aati hai to saath me kai sapne bhi sajake lati hai or vahi sapne jab tutkar bikhar jate hai to use lagta hai zindgi jaise khtam hi ho gayi, jine ki koi vajah hi nahi raheti. or tab vo khudkushi karti hai ya fir ek mashin ki tarah apne kaam karti raheti hai..or vahi uski life ban jati hai.
Agar sabko vo pasand aa gayi to thik hai varna use ye bhi pata nahi hota ki uska basera us ghar me kab tak hai? saans ko kuch acchha nahi laga to suna diya, ghar se nikal diya, pati ko acchhi nahi lagi kuch problem huyi to usne ghar se bahar nikal diya, ye kaisa insaaf hai.................
Kai village mai aaj bhi dahej ke liye bahu ko pareshan karte hai, use jinda jala dete hai, or dahej ki baat to puchho hi mat. dahej to rich log bhi len den ke naam se karte hai. apni beti ko dena hai ..to itna to dena hi padega. Are jab beti ko uske mata pita ne jo bhi diya usme khush hai, koi pareshani nahi to fir aap log kaun hote hai....
Dear Readers, ye article jo bhi ladkiya padhe use shadi se bilkul darne ki jarurat nahi hai. ye padhkar usko apne man ko strong banana hai ki chahe kitni bhi mushkil aaye..vo galat baat ke liye kabhi nahi jukegi, dahej ki baat jis rishte me ho vo rishta hi nahi swikarna. or life me khudkushi to kabhi bhi nahi karna....khudkushi kisi bhi problem ka solution nahi hai balki kayarta hai. Hum sab aaj ki 21 vi sadi ki nari hai or hume har haal me nirbhay banna hai. Jis ghar me aapke sanskar dekhkar aapko pasand kiya jaye usi ghar me jana.........or apne pyar or niswarthta se sabko apna bana lena. shadi usi se karna jo sirf or sirf aapko pyar karta ho, aap jaise bhi ho use pasand ho bas.......tabhi vo rishta pavitra rishta ban pata hai.
ye article likhne me ho skta hai kai galtiya huyi ho...plz use nazarandaj kar dijiyega....
Shikha

Subscribe to:
Posts (Atom)
Palko ko maine - Shikha
Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai naina tere ...
-
Sukhe patto ki tarah bikharati chali gayi thi mai, Tumne aag lagayi to jaana kaun apna kaun begana. Shikha
-
Lekhak ki Ahemiyat Dosto, aapko lag raha hoga ki ye kaisa topic hai , right? Ek Lekhak apne zahen se alfazo ke zariye chun chun k...