Hello Friends, Read my shayari collection.....and i promise ..you will all enjoy my creativity! Shayari Shikha me aap sabka swagat hai...Is site ke liye sabse pahele hum humare Raj ka shukriya ada karte hai..jinhone hume encourage kiya...saath diya...or humara honsla badhaya ki ab bhi hum kuch likh sakte hai.... Readers.....Shayari humare jivan se aise judi hai jaise ki saanse...Jo baat hum shabdo se baya nahi kar paate...use hum shayari se bakhubi baya kar dete hai.
Wednesday, 7 September 2016
Purani yaade yaad aa gayi - Shikha
Aaj door niharte huye kuchh purani yaade yaad aa gayi,
Ek ek karke vo zindagi ki kitab ke panne palatne lage.
Har baat mai tumhari koi na koi to baat hua karti thi,
Har khushi mai teri vo pyari si muskan saath hoti thi.
Tera vo muje pyar se dekhna teri diwangi dikhti thi,
Kuchh najuk se pal jab dono mai chupki hua karti thi.
Na jaana tha maine tumhe or na jaanna chahti kabhi thi,
Par zindagi saath tere bitane ki chahat har pal dil mai thi.
Nahi janti Kab kaha kaise tumhe apna manne lagi thi ,
Par chahat teri muje bhi diwani banake chalne lagi thi.
Sapne nahi bante muhobbat ke kabhi haqiqat mai bhul gayi thi,
Shikha yahi purani yaade hai jinko sang lekar harghadi chali thi.
Shikha
Dear readers, is creation mai ek premika kaise purani yaado ko aaj bhi dil mai sanjoye baithi hai uska nirdesh kiya gaya hai. or ye bataya hai ki pyar ki kasak kaisi hoti hai jo kabhi nahi bhul paate.
Aaj bhi hu mai teri hi dulari - shikha
E meri maa , aaj bhi hu mai teri hi dulari,
Hu pyari aaj bhi par kabhi na ban paayi dulari.
Beti thi tere aangan ki fir bhi rahi sada parayi,
Di thi tune maa puri aazadi fir bhi zanzir pairo mai thi.
Nahi bada hona tha muje or na tujse door jaana tha,
tere aanchal ki chhav mai humesha rahena chahti thi.
Ek din aaya pardesh se koi rajkumar or bhej diya tune tha,
Ek anjaane shaksh ke saath ab zindagi bitani muje thi.
Ek ajeeb sa dar tha dil mai , na koi bhi apna tha ,
yaha thi bahot sari jimmedariya , chup rahene ki lachari,
Sab kuch chupchap sunna tha or sahena bhi tha,
babul tere diye sansakar ko jo muje dipana tha.
Din bitte gaye or teri beti achanak se hi badi hoti gayi,
Sare parivar ko ek dhage mai bandhkar chalne lagi.
Kai sapne tute to kai naye sapno ke sang udti gayi,
Kabhi mili khushiya to kabhi aansu se zindagi chalti rahi.
Ye aaj bhi duniya ki har beti ki kahani hai shikha,
uski khud ki pahechan ko vo har pal dhundhti rahi.
Shikha
Subscribe to:
Posts (Atom)
Palko ko maine - Shikha
Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai naina tere ...
-
Sukhe patto ki tarah bikharati chali gayi thi mai, Tumne aag lagayi to jaana kaun apna kaun begana. Shikha
-
Lekhak ki Ahemiyat Dosto, aapko lag raha hoga ki ye kaisa topic hai , right? Ek Lekhak apne zahen se alfazo ke zariye chun chun k...