Hello Friends, Read my shayari collection.....and i promise ..you will all enjoy my creativity! Shayari Shikha me aap sabka swagat hai...Is site ke liye sabse pahele hum humare Raj ka shukriya ada karte hai..jinhone hume encourage kiya...saath diya...or humara honsla badhaya ki ab bhi hum kuch likh sakte hai.... Readers.....Shayari humare jivan se aise judi hai jaise ki saanse...Jo baat hum shabdo se baya nahi kar paate...use hum shayari se bakhubi baya kar dete hai.
Tuesday, 24 January 2017
Mum aap paas hote to - Shikha
Bahot thak gayi hu ab is zindagi se meri ,
Mum aap paas hote to tumhe gale laga lete.
Akele akele palke bhig jaati hai aansu se ,
Mum aap paas hote to tere aanchal mai so lete.
Sab kuchh bikhar raha hai zindagi mai meri ,
Mum aap paas hote to tere liye muskura bhi lete.
Thak chuki hai shikha khud ko bahelate bahelate ,
Mum aap paas hote to tere daman mai thoda ro lete.
Shikha
Vo kaisa hai - Shikha
Kisine puchha ,Vo kaisa hai,
Nahi bata payenge hum,
Vo jaise hai.
Pahele pyar ki nazar se
dekha tha unhe,
Ek ajib si halchal
jag uthi thi dil mai.
Zindagi mai meri
naye rang bhare the usne,
Sari duniya se door
khud ko uske sang
bandh chali thi mai.
Naye sapne sajaye,
Ud chali thi mai,
dil ne mujse puchha tha,
kaisa hota hai ye pyar,
Pyar ruh ka milan hota hai
ye maine jaana tha.
Vo kaisa hai,
Ab nahi bata payenge
Par vo jaisa bhi hai,
Aaj bhi utna hi pyara hai.
Shikha
Subscribe to:
Posts (Atom)
Palko ko maine - Shikha
Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai naina tere ...
-
Sukhe patto ki tarah bikharati chali gayi thi mai, Tumne aag lagayi to jaana kaun apna kaun begana. Shikha
-
Lekhak ki Ahemiyat Dosto, aapko lag raha hoga ki ye kaisa topic hai , right? Ek Lekhak apne zahen se alfazo ke zariye chun chun k...