Tuesday 6 February 2018

Aankho mai meri - Shikha


Aankho mai meri thodi si jo nami hai,
kaise kahu tumhe ki teri hi ye kami hai.

Suhane khwabo se aasma saja liya maine,
Kaise kahu tumhe ki ye duniya kaisi hai.

Subah sham sirf tera hi khayal teri aarzu,
Kaise kahu tumhe ki ye kaisi mushkil hai.

Pyar karta hai tumhe beinteha ye dil shikha,
kaise kahu tumhe ki ye kaisi tadapan hai.

Shikha

Apne dil se puchha - Shikha


Ek baar humne apne dil se puchha,
kya baat hai jo itna khoya raheta hai.
Jo na hua tha kabhi vo ehesas hua hai?
Muskurate ho tum roj koi to baat  hai.
Har din har pal achha lagne laga hai
Aakhir ye raaz kya hai?

Dil ne humse kuchh is tarah kaha,
Aankho mai aksar ab uska hi aks raheta hai,
khwabo ka jaha ab tera unke hi saath hai,
Saath raheta hai vo tere har pal har ghadi,
Unki ek muskan ke liye tum itna tadpati hai,
Na jaane kaisi masumiyat unke chahere pe hai,
Dekhte hi use tu sabkuchh bhul jaati hai.
Aakhir yahi to pyar hai Shikha.

Shikha



Non stop gujarati ghazal - 2017


Dada tara divdo kadi na bujay - jain stavan


Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...