Muhobbat
Muhobbat kya hai..kaise hoti hai..kaha se shuru hoti hai.kaha khatam hoti hai..ye koi nahi janta or na hi jaan payega...
Muhobbat to rab ka diya vo tohfa hai jiski vajah se insan ki pahechan hai. Muhobbat ke kai rang hai, kai roop hai. muhobbat maa-bete, pita-putra, maa-beti,pita-putri, bhai-bahen, bahen-bahen, bhai-bhai, premi-premika, husband-wife.....is tarah sab alag alag rishte me usi tarah se hoti hai.
Muhobbat ek aisi dastan hai jo kabhi khatam hi nahi hoti. Muhobbat ke kai pahelu hai...or sabki nazar me muhobbat ke alag rang hai.
Muhobbat vo aag ka dariya hai jisme log jalkar bhasm ho jate hai.Apno ke liye apna sabkuch nyochhavar kar dete hai aisi hai ye muhobbat.
Dosto, aaj hum baat karenge aisi muhobbat ki jo ek ladka or ladki ke bich hoti hai..
Jab hum kisi ko har pal apni nazar ke samne pate hai, vo door hote huye bhi aapke dil pe raj karte hai, uski hi soch se aapke din ki shuruaat hoti hai or shaam bhi dhalti hai, uski ek khushi ke liye khud lakho gum zelne ko taiyar rahete hai, uski pyari si hansi ke liye apni jaan pe khel jate hai, uske har sapne ko pura karna uska maksad ban jata hai......to ise hum muhobbat kahete hai...
Muhobbat ki aisi kai kahaniya hoti hai, kisi ki muhobbat ko uski manzil mil jati hai, to kisi ki muhobbat adhuri hi rahe jati hai, kisi ki muhobbat ki dastan shuru hi nahi hoti to kisi ki muhobbat ki kahani sabse alag hoti hai...dono ki rahe alag hote huye bhi ekdusre ke dil me vahi muhobbat raheti hai...na milna, na bichhadna, na baate karna, na saath waqt bitana..par fir bhi muhobbat beinteha raheti hai...kya hua...? ajib lagta hai na ye baate sunkar...par hum such kahe rahe hai...
Muhobbat humari zindgi me roshni ki kirne lekar aati hai, ajib si shakti ka sanchar karti hai. Ek pal ke liye sochiye readers.....kya humare jivan me muhobbat na hoti to ye jivan jivan kahelata? nahi...humari life animals ki tarah hi hoti....ye pyar, tyag, sayam, samarpan ye sab ek insan hi kar sakta hai. Muhobbat sirf muhobbat hoti hai...or uske rang me har koi rang jata hai.