Thursday 8 December 2016

Old Hindi superhit songs


Zindagi na milegi dubara - Shikha


Aaj aise hi zahen mai kuchh baat aa gayi or vahi baat aap sabke samne rakhne jaa rahe hai. vaise to ye baat sabko pata bhi hoti hai par fir bhi kuchh baat hai jo aap sabse share karna chahenge.

Zindagi na milegi dubara ...ji ha ye movie bhi hai jo sabne dekhi bhi  hogi. Isi topic pe aaj kuchh baat karenge...or ha aap sab bhi apne opinion rakh sakte hai...comments mai:)


Sabse pahele bhagwan ne hume ye jo zindagi di hai uske liye unka shukriya ada karte hai. Zindagi mai such dukh to aate hi rahete hai kyuki such dukh Zindagi ke hi do pahelu hai. Na sukh mai hume abhiman karna chahiye na hi dukh mai himmat harni chahiye. kabhi kabhi kuchh bura hota hai to uske pichhe bhi koi na koi achhi baat hogi hi jinhe hum nahi dekh paate.

Jaha tak humne dekha hai ki kai log apni purani baato ko hi yaad karte hai or usi mai jeete hai. ye galat nahi hai par isse aapka jo aaj hai vo beet jayega or fir kabhi lautke nahi aayega. to kyu na hum apne aaj ko jiye...utni hi khushi se jab koi purani baat yaad karke khush ho lete hai. Dosto ki baat kare to jo pal dosto ke saath bite ho vo kabhi lautkar nahi aate sirf vo yaad banakar humare zahen mai bas jaati hai. Par vahi pal hum apna waqt nikalkar fir se dosto ke saath enjoy kar sakte hai. Kyuki waqt to apni hi lay mai chalta raheta hai na kabhi ruka hai or na hi rukega. Apne aaj mai kuchh aisa kare ki vo humare liye purani yaade ki tarah sunahari yaad banakar rahe jaaye ..jinhe yaad karke hume dil se khushi mile.

Fir baat aati hai khud pe apne aatamvishwas ki...jo kai logo mai kum jyada hota hai. Hum jaise bhi hai best hai aisa ek confidence hona chahiye khud mai. Kai ladkiya aisi hoti hai jo dusri ladkiyo ko dekhkar sochti hai ki kash mai aisi hoti. par aisa kuchh bhi nahi hota. sab mai koi na koi baat hoti hai jisse vo apno ka beinteha pyar paati hai. kyuki humari nakaratmak soch kab humare zahen pe havi ho jaati hai or kab humare confidence ko chaknachur kar deti hai ye pata hi nahi chalta. Isiliye humesha aap jaise ho sabse best ho yahi sochna chahiye or khud pe is baat pe naaz hona chahiye.

Zindagi milegi na dubara iska matlab hai ki ye jo zindagi mili hai aapko vo fir se nahi milegi , aapko jo bhi karna ho abhi kar lo, par kai log iska matlab ye karte hai ki khud ki life ko enjoy kare kya pata kal ye zindagi rahe na rahe. or yahi sochkar vo aise kaam karte hai jo khud ke liye bhi sahi nahi hote. humari zindagi ka aim yahi hona chahiye ki aapki vajah se jyada se jyada logo ko khushi mile. Humara apna jab kabhi bimar hota hai or hospital mai hota hai to hum unhe ek ummid dete hai, uske man mai confidence late hai ki aap bilkul pareshan na ho , dekhna kal aap bilkul thik ho jaoge. humara sirf aisa kahena unhe khushi deta hai. or koi aise bhi hote hai jo dekhne to aate hai or fir unhi ko bolte hai ki oho aapko ye hua hai..mere ek rishtedar ko bhi aisa hi kuchh hua tha or vo do din mai hi is duniya se door chale gaye. Ab aap hi socho ki ise ek thappad marni chahiye ki nahi..aise insan ko dekhkar vo bimar insan bhi yahi sochta hoga ki Bhai tu yaha aaya hi kyu?

Zindagi mai aage badhne ke liye chahe kitni hi pareshaniya aaye par kabhi nirash nahi hona chahiye. Apne lakshy ko apne zahen mai aise utaro ki aapko khud pe ek din naaz ho. hum jab chhote the bahot sare sapne the jin mai se kai tutkar kahi bikhar bhi gaye. par ek lakhay humesha raha , ek sapna humesha raha ki hum apni baato ko , apni soch ko logo tak pahunchaye or kisi na kisi ka sahara bane, uski andhkar zindagi mai humari soch roshni failaye. or dekho aaj humara sapna sakar bhi hua hai. us waqt nahi janti thi ki ye sab kaise karenge , koi rasta bhi nahi dikhayi de raha tha par fir bhi himmat nahi hari thi or aaj humne apni vo manzil paa li hai. Humari sakaratmak soch hume bahot aage le jaa sakti hai or rahe bhi khud hume rah dikhati hai.

Zindagi mai aksar log apni taarif ko sunna pasand karte hai par apni jo chhoti si koi buri aadat hoti hai us se vo pareshan bhi rahete hai. Par sabki soch alag hoti hai isiliye jo aapki taarif kare unke saath saath jo aapki burai kare uske liye bhi humesha taiyar rahena chahiye. Zindagi mai sirf aise dost mat rakho jo sirf aapki taarif kare balki un dosto ko bhi importance do jo aapko sahi rah dikhaye, aapke andar ki kamiya dikhaye. jisse aapko khud ko jyada bahetar banane mai aasani rahegi.

Zindagi mai har kisiko kuchh na kuchh karne ki chah hoti hai or yahi chah aapko kamyabi tak pahunchati hai. par is rah mai bahot se log milenge aapko or har koi apni apni baat aapke samne rakhenge par aapko karna vahi chahiye jo aapka dil chahta ho.

Zindagi ko puri tarah se jiye, jante hai aajkal humari zindagi itni vaysat ho gayi hai ki har koi yahi kaheta hai ki samay hi nahi milta. par nahi, zindagi ko jeena aapke haath mai hai . Apni family ke liye waqt nikale, dosto ke liye waqt nikale, or saath mai apni health ka bhi utna hi khayal rakhe. To aapne sahi maine mai apni zindagi ko jiya hai or jee rahe ho.

Shikha





Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...