Showing posts with label * Nazam. Show all posts
Showing posts with label * Nazam. Show all posts

Thursday, 29 September 2016

College ka safar - Shikha


Waqt ko thoda palta to kuchh yaad aaya,
Vo masum si masti vo pyara sa bachpan,

Vo college ki galiya, kitabo ki baate,
Hansna hasana or bahot sari masti.

Na koi jimmedari na koi tension,
Life mai thi sirf or sirf dosti or masti.

College ke saath aayi thi vo  shararate bhi,
Class bank karna or friends ke saath baithna.

Kuchh kar dikhane ki umange thi kahi,
To kahi kuchh kar guzarne ka hansla.

Aakhir Aa hi gaya vo college ka aakhri din,
Koi sapno ki udan se aage badhnevala tha.

To kisika sapna koi or roop lenevala tha,
Achanak se jaise yuvani mai pravesh kiya tha.

Sabke chahere udas the bichhadna to tha hi,
Koi apni manzil ki or jaate huye kadam se khush tha.

Kisime jawani ka josh tha to koi dar raha tha,
Kisiko sapne tutne ka dar to kisike sakar hona tha.

College mai vo sabka  aakhri din tha or
Zindagi ka naya roop sabko dekhna tha.

Us din sab juda huye or zindagi mai ulazte gaye,
College ka vo safar sirf yaado mai hi rahe gaya.

Shikha





Sunday, 18 January 2015

Kabhi yoon bhi to - Shikha


Kabhi yoon bhi to ho,
Dariyaa ka sahil ho,
Poore chaand ki raat ho,
Aur tum aao,
Kabhi yoon bhi to ho,
Pariyon ki mehfil ho,
Koi tumhari baat ho,
Aur tum aao,
Yeh narm o mulaayam thandi hawayen,
Jab ghar se tumhare guzren,
Tumhari khushbuu churaaye,
Mere ghar le aayen,
Kabhi yoon bhi to ho,
Sooni har manzil ho,
Koi na mere sath ho,
Aur tum aao,
Yeh baadal toot ke barse,
Mere dil ki tarah milne ko,
Tumhara dil bhi tarse,
Tum niklo ghar se,
Kabhi yoon bhi to ho,
Tanhai ho, dil ho,
Boondain hon, barsatain hon,
Aur tum aao,
Kabhi yoon bhi to ho,
Kabhi yoon bhi to ho..

Unknown

Tuesday, 6 January 2015

Mulakat ho gayi - shikha



Yu hi anjane mai aapse mulaqat ho gayi,
Karni thi sirf dosti or muhobbat ho gayi.

Jab aap jate ho door to bhi aapko hi paas hai pate,
Kya kare aapke paas hone ki aadat si ho gayi.

Hum apne vajud mai bhi aapko hai talashte,
Kya kare aapse itni muhobbat jo ho gayi.

Humare paas aao jis do pal mai aap jee hai lete,
Kya kare humari har saanse aapki amanat jo ho gayi.

Kabhi sochte hai..aapke aage ye zindgi bhi kya hai,
Kya kare jab aapke saath jeene ke liye ye zindgi jaruri ho gayi.

Shikha

Friday, 5 December 2014

Tu pyar hai - shikha





Tu Pyar hai mera ya vafa meri hai,
Ya Tu hi vo manzil meri hai.


Tu khwab hai mera ya faisla mera hai,
Ya Tu hi mere ehesas ka aashiyana hai.


Tu pyas hai dil ki ya dariya hai,
Tu patazad hai ya sawan ki khushbu hai.


Tu dil ki kashish hai ya jahan mera hai,
Tu mera hi hai ya koi sapna hai.


Mai diwani hu teri ya ye tera diwanapan hai,
Jaise sanse meri tham si gayi hai.


Tu hi mera rat-din ka har lamha hai,
Ya unhi lamho ka maheman tu hai.


Tu bazigar hai ya manmeet mera hai,
Ya mere hi in alfazo ka sundar geet tu hai.


Shikha

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...