Thursday, 8 October 2015

Pyar kaha hai - Shikha

 
 
Pyar chand ki aneri roshni mai hai,
Pyar suraj ki paheli kiran mai hai.
 
Pyar phoolo ki khushboo mai hai,
Pyar barish ki bhini bundo mai hai.
 
Pyar sagar se milti nadiya mai hai,
Pyar saanso ki mahekti rawani mai hai.
 
Pyar mahekti har baharo mai hai,
Pyar barasti har ghataao mai hai.
 
Pyar chhote bachhe ki masumiyat mai hai,
Pyar aankho se chhalkti madhoshi mai hai.
 
Pyar rab se mangi har duao mai hai,
Pyar kudarat ke har karishme mai hai.
 
Pyar ek pyara sa sapna hai,
Pyar ek pyara sa geet hai.
 
Pyar har rishte ki buniyaad hai,
Pyar ek pyara sa ehesas hai.
 
Shikha


Muhobbat kya hai - Shikha




Muhobbat ek aisi najuk dor hai,
Jo ek dil ko dusre dil se jodti hai.
 
Muhobbat ek aisi khushi hai,
Jo ek ki khushi ko dekhkar khush hoti hai.
 
Muhobbat ek aisi kashish hai,
Jo saanso ko dusri saanso se jud jaati hai.
 
Muhobbat ka ek aansu bhi dil ko chhalni kar jata hai,
Muhobbat ka ek lamha bhi yaad banakar saath raheta hai.
 
Muhobbat mai kisiki duriya bhi najdikiya ban jati hai,
Aankho se shuru hokar dil tak pahunchti ye hai.
 
Muhobbat mai anjaan bhi aise jud jaate hai,
Jaise suron se sargam judi hoti hai.
 
Muhobbat sirf dhai akhar ki dastaan nahi hai Shikha,
Jitna bhi is ishq e samundar mai duboge utna hi dubte jaoge.
 
Shikha



Have na chhodu saath - jain stavan


Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...