Thursday 18 December 2014

Jaa rahe hai hum door - shikha





Jaa rahe hai hum door..
Jaa rahe hai hum door karke tumse wada,
Par jane se pahele kahenge tumhe alvida,
Kar liya hai tumne jab na milne ka wada,
Par itna batayenge jaa rahe hai teri duniya se sada.

Shikha

Hota hai - shikha



HOTA HAI......
Hota he chand jaha chandni hoti he,
Hota he pyar jaha vishwas hota he,
Hota he suraj jaha roshni hoti he,
Hota he hum jaha hum or tum saath hote he....

Shikha

Ek halke se ishare - shikha



EK HALKE SE ISHARE
Ek halke se Ishare ki jarurat hogi,
Dil ki kasti ko kinare ki jarurat hogi,
Hum har us mod pe milenge E Dost,
Jaha aapko sahare ki jarurat hogi. :rose
Shikha

Tumne pukara - shikha


Dosti kya hai - shikha



Dosti kya hai

Dosti ek saaz he jise gungunate he hum,
Dosti ek nasha he jisme dub jate he hum,
Dosti ek durd bhi he jise shete he hum,
Par in sabse bhi khubsurat he,
Dosti ek tohfa he jise nibhate he hum.
Shikha

Vo hi humari - shikha



 Dedicated to my sweet sisters...

Vo hi humari subah or sham hoti he,
 Garmiyo ki dhup me vo humari chhav hoti he.
 Humare liye vo harpal kuch bhi karne ko taiyar hoti he,
 Humari yaad me vo harpal aansu bahaya karti he.
 Satate to bhot he hum kabhi un sabko,
 Lekin fir bhi humesha unke labo pe muskan raheti he.
 Chale aaye he jab hum un logo se itni door,
 Intezar humara milne ka har waqt unhe raheta he.
 Yaado se tadpkar talash karte he jab bhi un logo ko,
 Humare hi dil me rahete huye hum pate unhe he.
 Zindgi ki mushkil raho se jab bhi gujrte he hum kabhi,
 Aankho me aansu liye saath hote he vo log aaj bhi..
 Kurban karte he vo hum par apna sabkuch,
 Humari khushi me hi unki khushiya raheti he.....
 Aisi hi he humari pyari si ..nyari si..sisters..
 Pyar hum bhi beshumar unhe karte he.

Shikha

Humne apni sisters me humesha ek achhi dost bhi payi he....jinhe hum har kadam pe bhot hi miss karte he...kuch log humari zindgi se is tarah se jude hote he ki unse kitna bhi door jao...par vo dil se humesha aapke paas hi rahete he...............

Hum bhi udte - shikha



Hum bhi udte chiriyo se jo ,
Hote pankh hamare ,
Nani ki vah kahi khani ,
hai pariyo ka desh ,
pari kumari , budha bona ,
kayse un ke vesh ?
hum pariyo ke sang rahte to ,
hote vare nyare ,
dur -dur tak apni bahay ,
amber h falay ,
apne peeche jane kitni ,
duniya nai chipay ,
us duniya se ,
le aate hum ,"Shikha "jaysi bahn


Anmolbhaiya

Readers."...ye shayari humare bhai ne Hume dedicate ki thi...Jo humne aap sabse share ki hai

E khuda - shikha



E khuda dua ye humari kabhi khali na jaye,
Aankho mai uski kabhi aansu na aaye,
Aansu jab bhi aaye sirf khushi ke hi aaye,
Gum ke sare aansu humari aankho mai aa jaye.
Shikha

Chahat humari - shikha



Bahot khubsurat hai ye dua humari,
chahat se yu hi mahekati rahe zindgi humari,
Hume aapke siwa or kuch nahi chahiye zindgi se,
Bas kabhi khatam na ho ye chahat humari.

Shikha

Mara dil ma - shikha


Mara dil ma faqt tari chhabi chhe...
Mara aa dil ma faqt taru j naam chhe,
E naam thi aa dil ma dhadkan chhe,
E dhadkan thi maru jivan chhe,
E jivan thi aapni zindgi chhe.
Shikha

Kon Jane Kevi rite - shikha







Kon jane kevi rite....
Kaun jane kevi rite aapne mali gaya,
Aapne mali gaya ne jane jivan jivi gaya.
Sapna je aa aankho ma hata te haqiqat ma mali gaya,
Dudh ma sakar ni jem ame tari saathe bhali gaya.
Shikha

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...