Monday 16 March 2015

Real success - author Rhea



Real Success
If reasoning is as the air we breathe-Universal;
When there are no hiccups in the lanes of thought
From the past, to now to the future,
And such reasoning so perfect-
Then i, as a being know what i want
And am constantly striving towards that;
And every rationality, every action I have taken
Is the best one, the one that I will cherish?
I will value, without regret-
When it occurs like always what I have wanted it to be
When the right choice is made
When what I believe is best for me-
Is the best:
Even if to be hated is better than to be loved
But when in the end what I think
What I do is what I want
And makes me who I am-
Then i have succeeded.

Rhea
My princess

Aap jaise yaar - Shikha


 
Har raste pe manzil nahi hoti,
Dil ke rishto ki kadar nahi hoti,
Dhundha hai aapko dil ki roshni se,
Aap jaise yaar ki chahat sabko hai hoti.
 
Shikha

babydoll video song


aap kya mile - Shikha

 
 
Bahot kuch chaha tha zindgi se humne,
Par aap kya mile jaise sabkuch mil gaya.
 
Shikha

me tenu samjava ki ...song


galliya ...song video


Mari aankhoma kanku na suraj aathamya - Gujarati gazal - Shikha


Aansu - Shikha



AANSU
 
Aansu aankho ki paribhasha hai. Zindgi mai kabhi kabhi aise halat aa jate hai jaha pe hum kuch bol nahi pate sirf aansu hi nikalte hai. ye jaruri nahi ki aansu sirf dukh mai hi saath dete hai....khushi mai bhi kabhi kabhi aansu aa jate hai par us waqt aapke chahere pe aansu ke saath smit hota hai par dukh ke samay mai sirf aansu hi bahete hai.
 
Aansu ka koi nirdharit samay nahi hota. Jab koi baat dil pe lag jati hai to aansu apne aap nikal jate hai. use bulane ki bhi jarurat nahi hoti.
 
Aansu ka rishta aankho ke saath bahot puarana hai. Manavsharir mai aankhe bahot important hai..kyoki aankho se hi prem or nafarat dikh jati hai. Jab hum kisise pyar karte hai to sirf aankho se hi apne pyar ko jata pate hai or nafarat karte hai to vo bhi aankho se hi bata pate hai.
 
Gujarati mai ek kavi ne khushi mai aanvale aansu ke liye kaha hai.....
khushi no divas chhe khushi na chhe aansu,
Amne to aansu ni aadat padi chhe.
 
Or dukh mai aanevale aansu ke liye kaha hai,
Manas ne evuy karvu pade chhe,
Ke koi na juve em ene radvu pade chhe.
 
Aansu jis tarah se ek ladki ya fir aurat bahati hai usi tarah ek ladka ya fir ek purush nahi bahata. vo apne aansu ko andar hi andar chhupa deta hai. vo apne aansu ko kabhi bahar nahi aane deta. or isiliye vo dukh vo apne ander hi pi jata hai jiska bhar uske rhaday pe aata hai. jis karan se heart attack ki sambhavna purusho mai jyada raheti hai...kya aapne kabhi ye suna ki is mahila ko heart attack aaya...nahi na...kyoki iska karan hai aansu...Aansu bahane se uska jee khud ko halka mahesus karta hai.
 
TV. vale serials or movie jo banate hai...usme bhi aansu ek ahem part hai. kalakar aise part ko is tarah se pesh karte hai ki koi bhi immotional ho jata hai or uski aankho se aansu bahene lagte hai.....or hum shayad unme se ek hai....kyoki hum bahot hi savedanshil hai...to aise hisse sidhe humare dil ko chhu jate hai....
 
Aansu ki apni alag alag paribhasha hai.
Jaise ki Aansu kisiki lachari-majburi ke bhi hote hai, Aansu sahanubhuti ke hote hai, Aansu apni chahi cheez pane ke liye bhi nikalte hai, Aansu khushi ki pal mai bhi hote hai.
Jab beti apne sasural jaa rahi hoti hai tab bhi pita ki aankho mai aansu aa hi jate hai. par ye aansu vatsalay ke hote hai. jab koi chhote bachhe ki cheez kho jati hai to uski aankho se bhi aansu bahete hai..par ye aansu sabse alag hote hai. Jab koi pyar kanevale ekdusre se door hote hai to judai ki pal ke liye unki aankho se bhi aansu bahete hai jo sirf pyar ka pratik hote hai.
 
Aansu ka koi rang nahi hota fir bhi vo pyar or vedna ki abhivyakti karne mai safal rahete hai.....

SHIKHA

 

 
 

housewife -Shikha



Housewife
 
Dear Readers, Housewife sunne mai kitna simple sa word hai par yahi ghar ki niv hai or ye use khud pata nahi hota hai ki uski kya ahemiyat hai. Aaj duniya mai jaha har jagah pe nari ne bhi apni shakti se, vishwas se ghar ke bahar jo apni pahechan banayi hai ....is waqt mai aaj agar kisi housewife ko puchha jaye ki aap kya karte ho...to unhe khud ko housewife batane mai sharmindgi mahesus hoti hai. kya ye sahi hai....bilkul nahi. Aaj hum housewife ka vo pahelu aap sabke samne rakhne jaa rahe hai jise harroj dekhne or samjne ke baad bhi hum nazarandaz kar dete hai.
 
Suraj ki kiran se din ki shuruaat hoti hai vaise hi housewife suraj ki kiran ki tarah hoti hai. usi se ghar ke sabhi sadsya ke kaam ki shuruaat hoti hai. housewife ghar ke sabhi sadsya se pahele uthti hai or ghar ke sabhi chhote mote kaam mai jud jati hai. jaise ki breakfast banana, kids ko jagana, use samay pe taiyar karke school bhejna, husband ko waqt pe uthakar office bhejna. bade bujurgo ka khyal rakhna, ghar ke sabhi sadsya ki chhoti chhoti jarurat ka khyal rakhna....ye sab baate vaise bahot chhoti lagti hai..par vo bahot badi hai. Agar ek din  vo bimar ho jaye to sabkuch ruk jata hai. Agar ek din vo der se uthe to sabko der ho jati hai....koi apna kaam waqt pe nahi kar pata hai. Housewife apne pyar se sare sadsya ko bandhe rakhti hai. uske bina to ghar ghar hi nahi lagta.
 
Ghar ke sabhi sadsya ke uthne se pahele vo uthti hai or rat ko sabke sone ke baad vo soti hai. Ek din ki chhutti bhi use nahi milti. or fir bhi Readers....khushi ki baat kya hai pata hai ki ye sare kaam vo apni khushi se , dil se karti hai. Kabhi bhi koi shikayat nahi karti or na hi shikayat ka mauka deti hai. .....AISI HOTI HAI HOUSEWIFE. Jo apne man ki malik hoti hai, apne ghar ki malkin hoti hai. Vo kisi pahechan ki mautaj nahi hai kyoki vo apne aap mai hi bahot badi pahechan hai.
 
Ghar ke sabhi sadsya ko vo bakhubi samaj pati hai, ghar ka koi jab bahar se ghar aata hai to unhe dekhkar hi uski pareshani samaj jati hai..uski khushi ho to use vo mahesus kar pati hai. baccho ko koi problem ho to use turant solve karne ki koshsish karti hai. sabki khushi mai vo apni khushi dhudhti hai or usi mai use khushi bhi milti hai. Aisi hoti hai housewife.
 
Readers.......I request u all....guys.,..ki Housewife hona hi uski khud ki pahechan hai. vo jo kaam karti hai vo shayad koi nahi kar pata hai. Housewife hone pe sabko unpe naaz hona chahiye na ki uska mazak udana chahiye.
 
Shikha
 

Nazar lag jati hai - Shikha

 
 
Muhobbat jaruri nahi bar bar jatane ki,
Humari saanso mai mahek hai tumhari.
Hum isiliye kam jatete hai chahat apni
Ki nazar lag jati hai aise rishte ko jamane ki.
 
Shikha

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...