Jab paheli baar aapse mili thi or aapne halka sa muskuraya tha. Na kabhi kuch aisi baate ki , na kabhi koi mulaqate huyi. par kuchh to aisa hua jinse aap humesha ke liye meri ruh mai sama gaye. Nahi janti thi ki pyar kaisa hota hai par kuchh to hua tha muje jise mai samaj nahi paa rahi thi. Dhire dhire door hokar bhi aap mere paas rahene lage the or chahkar bhi kabhi apni zindagi se aapko door nahi kar paayi.
Kya ab bhi utna hi pyar karti hu mai ? Kya aap bhi utna hi pyar karte ho ? kuchh bhi nahi janti mai par fir bhi aaj bhi dil mai itni tadpan kyu hai? Kyu har waqt aapka intezar karti raheti hu? Kyu aaj bhi aapki aawaz sunne ko tarasti hu? Vaise ye dil bhi kitna pagal hota hai...chori chori aapko dekhna achha lagta tha. Akele mai ghanto tak aapki yaado mai khoyi raheti thi or waqt ka pata hi nahi chalta tha.
Dhire dhire waqt apni raftaar se aage badh raha tha or mai sirf intezar hi karti rahe gayi. ki kab aap aaoge or mere mum papa se mera haath mangoge. par aisa kuchh bhi nahi hua. meri shadi tay ho gayi. Kai baar apne mum papa se ye baat batani chahi par kaise batati or batati to bhi kya, yahi ki mai jise pyar karti hu vo bhi mujse pyar karta hai ki nahi ye bhi nahi janti . Ek din shadi karke humesha ke liye apne jivansaathi ke saath chali gayi.
Ha , harsh bahot hi achha insan hai , mujse bahot pyar bhi karta hai . mera bahot khayal rakhta hai. unki ek hansi ke liye mai baichain raheti hu. agar vo pareshan hota hai to muje bhi achha nahi lagta. Shayad pyar ko samjne lagi hu. Shayad pyar ko nibhana unse hi to sikha hai maine. Zindagi ki raaho mai mushkile to bahot aati hai par agar jivansaathi ka pyar sachha ho na to vo dagar bhi aasan ho jaati hai .
Harsh , aap aisa kyu karte ho? aap ye mat karo. muje apna kaam karna aata hai , aise shayad danti bhi hu unhe par unhe mera gussa hona achha lagta hai. kabhi kabhi dantkar khud pe hi gussa bhi aata hai ki maine harsh ko khamokhah danta. or fir sorry bolkar baat ko vahi pe khatam kar deti hu. Kitna pyar tha hum dono mai fir bhi dil ke kisi kone mai koi to tha jinki yaade bar bar dil pe dastak de rahi thi. par unhe andekha karke mai apne aashiyane ko pyar se saja rahi thi. sab kuchh thik tha. fir ek din koi aisa tufan aaya jinse mera aashiyana ek hi pal mai bikhar gaya.
Harsh, mana ki kuchh galti aapki to kuchh galti meri bhi thi. Par ego aapka tha to mera bhi tha. or jiski vajah se hum dono alag hote hi gaye. paas rahekar bhi dono ekdusre se door rahene lage, jaise koi do ajnabi mile ho. Tab achanak se angel ne aake mere haath ko pakda or bola , mumma mumma papa kab aayenge? or mai jaise purani yaado se vapas aa gayi. Angel hum dono ko jaan se bhi pyari hai. Itne saalo mai bahot kuchh khoya hai maine, or shayad hum dono ne. par ab nahi.
Harsh kaam se bahar gaye huye hai par dil chahta hai ki bas ab or nahi. Aaj se unki sari pasand meri pasand hogi. vo jaisa chahenge vaisa hi karungi . dil mai aaj ek faisla le liya hai maine ki bas ab jab harsh vapas aa jaayenge to unhe bolungi ki ek baar fir se meri zindagi mai aa jao plz....sabkuch vaisa hi hoga jaisa aap chahoge.
Fir badi besabri se mai bhi angel ke saath harsh ke aane ka intezar karne lagi. par dil mai ajib si bachaini thi. samaj nahi paa rahi thi ki kaise harsh ka samna karungi. par aakhir harsh ke aane ka waqt ho gaya. Doorbell baji or mai daudakar gayi or darwaja khola. Samne harsh khade the. unki manpasand dress paheni thi maine. Unhone angel ko gale lagaya or meri or dekhkar bola , Bahot sunder lag rahi ho tum.
mai muskurayi .
Fir achanak se Harsh ne hi humare bich ki chupki ko toda or vo bole, Priya mai baat ko bina ghumaye tumhe kuchh puchhna chahta hu. Tum bhi imandari se jawab dena.
Maine kaha puchho harsh.
Kya tum muje ab bhi pyar karti ho? kya itne dino mai tumne muje kabhi bhi miss kiya? kabhi man nahi kiya baat karne ka?
Maine pyar se uski or dekha or bola kya iska jawab dene ki jarurat hai? Rahi baat tumhe miss karne ki to itne din kaise kate hai aapke bin ye to mai hi janti hu. par aapne bhi to muje call nahi kiya?
Harsh ne kaha kar sakta tha par mera ego us waqt bich mai aa gaya. par tere pyar ne or angel ki pyari si muskan ne mere dil ko pigla diya or socha ki ab tum dono ke saath hi rahena hai.Priya , tere siva or koi nahi meri zindagi mai...kya hum dono fir se pahele ki tarah nahi rahe sakte ? or jawab mai maine khade hokar unke gale se lag gayi.
Mai harsh ki baaho mai thi or sare gum bahene lage the aankho ke ashq se. Ab jo aansu the vo to khushi ke the jinhe dekhkar angel bhi muskura rahi thi.
Harsh ne kaha rishto mai deri jaisi chheeze hoti hi nahi or honi bhi nahi chahiye. Rishte to bante hai pyar se or unhe nibhana bhi pyar se hi chahiye. or jawab mai maine bhi unki baat mai ha bolkar sahemati di.
Shikha
No comments:
Post a Comment