Tuesday, 8 May 2018

Dono ki baat adhuri huyi - Shikha


Barso baad ek din fir unse mulaqat huyi,
Aankho mai fir se khushi ki barish huyi.

Vahi unki pyari si muskuhat or pyar tha,
Mere dil ki dahelij pe fir se dastak huyi.

Na shikayate thi par kuchh khamosh tha,
Mere dil mai ajeeb si koi halchal huyi.

Baate ki par kuchh unki aankho mai tha,
Na jaane kyu us waqt usse bekhabar huyi.

Dono mile to sahi par waqt khamosh tha,
Chahte huye bhi dono ki baat adhuri huyi.

Shikha

Hello readers, is shayari mai maine ye dikhane ki koshish ki hai ki do log ekdusre ko chahte huye ekdusre ko dil ki baat bata nahi paate hai , or fir jab milte hai tab in logo ke dil ki halat kya hoti hai, kya vo dono bol pate hai ? bas aisi hi kuchh koshish ki hai.






Hoon ajeeb kash-mkash mai - ghazal


Teri aankho mai dekha hai - shikha


Teri aankho mai dekha hai aks mera,
Dhadkan mai meri ab tu hi hai  raheta.

Jee nahi paungi ek pal bhi tumhare bin,
Chala gaya jo agar tu muje karke rusva.

Fir dhundh na paoge duniya ki bhid mai,
Har jagah muje hi paoge o mere sanvra.

Tere masum chahere pe zalkta pyar hai,
Jo teri ye pyari hansi se hai chhalkata.

Ab to khwaish ye dil ki yahi hai sanam,
Baaho mai teri yu hi muje hai rahena.

Shikha




Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...