Wednesday, 21 January 2015

Kaun dega - Shikha

 
Mere Toote Hue Dil Ko, Sahara Kon Dega
Meri Toofaan Me Kashti, Kinara Kon Dega

Yeh Kese Mor Pe Laai Ha Mujko Zindigani
Adhoori See Likhi Gyee Ha Kyun Meri Kahani

Ha Ab Kis Raah Pe Chalna Ishara Kaun Dega
Mere Toote Hue Dil Ko Sahara Kaun Dega

Main Hoon Our Sath Mere Ab Meri Tanhaayan Hain
Meri Taqdeer Se Mujko Mili Ruswayian Hain

Meri Ankhon Ko Khushion Ka Nazara Kaun Dega
Mere Toote Hue Dil Ko Sahara Kaun Dega

Unknown

Jagmagta tarlanu derasar hojo - Shikha


Tame man mukine varasya - Shikha


prabhu mangu tari paas - Shikha


Chhod aayi thi mai - shikha


CHHOD AAYI THI MAI....
Chhod aayi thi mai tera vo shaher,
soch ke ye ki bhul jaungi tuje mai.

Par itni door aakar bhi na bhul payi mai tuje,
Soch ke ye ki tadpaungi tuje mai.

Par tadapati rahi mai khud itni,
jaise shama jalti hai parvane ke liye.

Kash samja hota tune pyar ko mere,
Na aaj hum tum dono is halat me hote.

Jeete hai na chain se na mar sakte hai,
Kyoki Wada jo kiya hai maine tujse.

Nahi yaha vo pyari si bahare hai,
Nahi yaha vo pyari si chahat hai,
Nahi yaha vo baheti nadiya hai,
Nahi yaha vo nila aasmaan hai.

Ye sab kuch bhi nahi hai tumhare bina,
Tujse hi to judi sari muskan meri hai.

Ab aakhri gujarish hai meri tujse,
Bhul ja tu mujko ki mera bhulna aasan ho jaye.

Shikha....

Vo mera koi to nahi tha - Shikha


VO MERA KOI TO NAHI THA
Aankhe num thi or dil bhi durd se ro raha tha,
Na jane kyo Chhodkar muje vo chala hi gaya tha.

Saza bhi to milni thi jab Dil lagaya maine tha,
Mere beinteha pyar ko usne na kabhi jana tha.

Vo khud ko kabhi mere kabil na samajta tha,
Tabhi to yu muje tanha chhodkar chal diya tha.

Vo gaya to gaya is kadar na kabhi fir use dekha tha,
Aise jaise chand bhi kabhi badlo me chhipta tha.

kal ko vo ek anjani rah par yu achanak se mila tha,
Par mila bhi to jaise vo mera koi to nahi tha.

Pyar ki kahani ka ajib sa aant mere yaaro tha,
Jise maine apna mana vo mera koi to nahi tha.

Aankhe hans di thi par dil roya mera tha,
kyoki aaj vo mere saath nahi tha jise maine apna mana tha.

Shikha


Ye us ladki ke dil ki kahani hai jiski pyar ki kahani adhuri hi rahe jati hai.......or zindgi aage badh jati hai.

Chhithhi aayi hai -Shikha


Pyar ki khushboo - Shikha



Pyar tumse beinteha karte hum hai,
tere liye bekarar hum aaj bhi hai,
Nahi mitegi ye pyar ki khushboo,
Pyar mai tere marna aaj bhi Kabul hai.


Shikha


Ye shaam mastani - shikha


Muskurahat na khona - shikha



Zindgi se kabhi bhi kisi Baat pe naraz na hona,
Zindgi kaanto ki sej hai kabhi na aansu bahana
Kai mod aise aayenge Jaha khudko Tanha payega,
par kabhi bhi hotho par se muskurahat na khona.

Shikha

Jain stavan - shikha


Mere hath Mai - shikha


Ye kaisi kasak hai - shikha





YE KAISI KASAK HAI
Ye kaisi kasak hai dil me jo satati raheti hai,
Na neend aati hai aankho me,
Na chain dil me humare hai, par
kaun si yaade hai jo dil ko jalati raheti hai.
Shikha

Usko jitna bhi chaha - shikha



USKO JITNA BHI CHAHA
Usko jitna bhi chaha bhulana par bhula na sake,
Uski yaado ko chaha chhupana par chhupa na sake,
Karni thi hume bahot si baate unse,
Usko jitna bhi chaha izhaar karna par izhaar na kar sake.

Shikha

Kyo Uski baate Hume - shikha



KYO USKI BAATE HUME.....
Kyo uski baate hume ek pyara sa ehesas dilati hai,
kyo har pal unse milne ki khwaish jagai jati hai,
kyo uski doori se dil me betabi jag jaya karti hai,
kyo usse milne ko bekarari badhti hi jati hai.
 
E Rab, aaj itni gujarish he meri,
Tu khayal rakhna mere dildar ka humesha,
Na ho vo udas ek bhi pal,
Rahe har pal hansi uske chahere par.
kyoki bhot hi pyara sa hai ye dildar mera.
 
Aaj dhundh rahi hu mai har jagah,
Ek cheeze meri kho gayi he kahi,
Kho gayi hai mere dildar ki hansi,
koi to bata de vo hai yahi kahi.
 
Jiske bhi paas hai mere dildar ki hansi,
Vo sirf itna bata de kyo chhini usne uski hansi.
Uski hansi se hi to chalti hai ye saanse meri,

Koi to lauta do vo uski pyari sweet si hansi.

Shikha

Aaje pan - shikha


Aaje pan ...
Aaje pan tamaro haath pakdi chalva mangu chhu,
Aaje pan tamari saathe mari pareshani ne share karva mangu chhu,
Tame beshaq mane chalta sikhdavyu chhe papa,
Pan aa sansar ni darek chhal thi hu ajani chhu.
Kayu tufan kyare mara jivan ma aavshe eni mane khabar nathi,
E pareshani ne hal karvama tamaro saath maangu chhu.
Aaje pan tamaro j haath pakdi hu aa sansar ma chalva mangu chhu.
Darek sabandh chhe matlabi aa duniya ma...
pan hu janu etlu ke mata pita no pyar asli aa duniya ma.
Sansar jeva sagar ma dubi na jav hu ethi tamara aashirwad mangu chhu.
Aaje pan maa-papa hu tamaro j haath pakdi chalva mangu chhu.
 
Shikha

Humari chahat - Shikha


Humari chahat ko kabhi bhi azmana nahi dost,
Humne vo jakham bhi khaye hai Jo kismat Mai nahi the.
 
Shikha

Kash muje - Shikha

 
Kash muje mil Jaye aisi dost ,
Jo bina bataye mere aansu ko pauchh le.
 
Shikha

Matlabi is duniya mai - Shikha

 
Matlabi is duniya Mai kisi ki help Karna bhi gunah hai,
JiskI help karte ho kabhi kabhi vo hi aapke khilaf Khade ho jate hai.
 
Shikha

Ghar se niklate hi - Shikha


Jinke pyar pe - Shikha

 
JINKE PYAR PE.....
Jinke pyar pe humne kiya tha khud se bhi jyada aitbaar,
Usne hi bina jijak tod diya humara ye aitbaar,
Kaise samajaye unhe ki kitna pyar kiya he humne usse,
Ek hi pal me bikharke rakh diya usne humara ye sansaar.

Saath nibhayenge - Shikha

 
Kya hua jo aaj humari rahe alag ho gayi hai agar,
Sabse alag yaado ka ek naya jaha hum banayenge.
 
Log kyo fana ho jate hai pyar mai aksar,
Hum apno ki khushi ke liye jikar dikhayenge.
 
Akasar logo ki muhobbat khatam ho jati hai juda hokar,
Hum ruh se chahat ka ek naya mukam de jayenge.
 
Muhobbat ki ek nayi mishal hum kayam karenge,
Saath na hote huye bhi aakhri saanso tak saath nibhayenge.
 
Shikha

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...