Thursday 29 September 2016

New and top songs


Non stop fusion garba


New zarmar - jain stavan


College ka safar - Shikha


Waqt ko thoda palta to kuchh yaad aaya,
Vo masum si masti vo pyara sa bachpan,

Vo college ki galiya, kitabo ki baate,
Hansna hasana or bahot sari masti.

Na koi jimmedari na koi tension,
Life mai thi sirf or sirf dosti or masti.

College ke saath aayi thi vo  shararate bhi,
Class bank karna or friends ke saath baithna.

Kuchh kar dikhane ki umange thi kahi,
To kahi kuchh kar guzarne ka hansla.

Aakhir Aa hi gaya vo college ka aakhri din,
Koi sapno ki udan se aage badhnevala tha.

To kisika sapna koi or roop lenevala tha,
Achanak se jaise yuvani mai pravesh kiya tha.

Sabke chahere udas the bichhadna to tha hi,
Koi apni manzil ki or jaate huye kadam se khush tha.

Kisime jawani ka josh tha to koi dar raha tha,
Kisiko sapne tutne ka dar to kisike sakar hona tha.

College mai vo sabka  aakhri din tha or
Zindagi ka naya roop sabko dekhna tha.

Us din sab juda huye or zindagi mai ulazte gaye,
College ka vo safar sirf yaado mai hi rahe gaya.

Shikha





Ae dil hai mushkil


Bhai - Shikha


Humare Bhai se aksar baate karti raheti thi mai,
Aksar papa ki dant se bachaya karti thi use mai,

Ajeeb si mushkilo mai humesha ulza raheta vo tha,
Unki pyari muskurahat se khush hoti raheti thi mai.

Dil ka sachha bholapan unki nas nas mai baheta tha,
kyo vo vapas nahi aata humesha dhundhti raheti hu mai.

Humare Bhai se aaj bhi aksar baate karti raheti hu mai,
Aksar apni hansi mai unki hansi dhundhti raheti hu mai.

Shikha


Dedicated to my lovely brother
Jo is duniya se kahi door chala gaya hai.


Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...