Showing posts with label Pyar shayari. Show all posts
Showing posts with label Pyar shayari. Show all posts

Tuesday, 28 April 2015

Aapko yaad to hoga - Shikha



Hum kab mile the aapko yaad to hoga,
Ye dil kab jude the aapko yaad to hoga.
 
Bahot si ummido ko dil mai dabaye,
Kabhi koi aapse mila tha yaad to hoga.
 
Bahe raha tha aankho se pyar ka samunder,
Un aankho mai chhipaya aks yaad to hoga.
 
Pal do pal ki hasin mulakat ne humari
Zindgi badal di thi aapko yaad to hoga.
 
Zindgi ke safar mai fir se chale hai saath,
Vo pyar ka bichauna yaad to hoga.
 
Aankho se ozal ho raha hai aaj koi shikha
Fir bhi dil o jaan se chahnevala yaad to hoga.
 
Shikha



Sunday, 18 January 2015

Dua ye humari -Shikha



E khuda dua ye humari kabhi khali na jaye,
Aankho mai uski kabhi aansu na aaye,
Aansu jab bhi aaye sirf khushi ke hi aaye,
Gum ke sare aansu humari aankho mai aa jaye.
shikha

Wednesday, 26 November 2014

Pyar ki adbhut kahani-shikha


Pyar ki adbhut kahani ho tum,
koi nahi tumhare jaisa aise lajawab ho tum,
Pyar mai pyar ki ek alag pahechan ho tum,
Tumse baat karke dil ko sukun milta hai,
Jab jate ho door to hume bejan kar jate ho tum.
Pyar to dekha hai sab logo ka humne,
Par pyar mai dosti ki ek alag pahechan ho tum.
Nahi chuka payenge tere pyar ka karz,
Kitni khubsurti se nibhaya tune har ek furz.
Zindgi ki ek khubsurat dastan ho tum,
Shikha ke pyar ki masum kahani ho tum.

Shikha


Tuesday, 25 November 2014

Pahela Pyar - Shikha



Pahela Pyar...
Zindgi me pahele pyar ko kabhi bhulaya nahi jata,
Fir kyo vo hi pyar aksar sabka adhura hai rahe jata.
Ek suchha Pyar
Ek Sucha pyar barish ki tarah nahi hota,
Jo aaye or khatam ho jaye,
Sucha pyar to hawa ki tarah hai hota,
Jo dikhe nahi par har pal mahehus hai hota.
Duniya ki jannat hai ye pyar
Duniya ki jannat hai ye pyar,
Sunahari shaam ka nila aasman hai ye pyar,
Jinko mil jaye vo hai mala mal,
Varna  bilkul kangal hai insan bina pyar.
Shikha

Tuesday, 11 November 2014

Aapki chahat Mai hum-shikha


Ek pyara sa chahera.......

Ek pyara sa chahera jo dil pe chha jata hai,
Vo jo humare dil pe hukumat karta hai,
Unki aankho se dekhte hai hum ye duniya sari,
Tabhi to har jagah sirf vo hi nazar aata hai.
Shikha


Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...