Saturday 22 November 2014

Best songs of lata mangeshkar-Shikha


Kabhi kabhi mere dil mai-Shikha


Bollywood song video -Shikha





Pyar agar aap sa ho -Shikha


Pyar agar aap sa ho...
Pyar agar aap sa ho to ye pyar kabhi na tute,
Khwabo me agar aap ho to ye khwab kabhi na tute,
Dil ki najuk dor se bandha hai humara ye rishta,
Dekho ek dil se duje dil tak bandhe ye taar kabhi na tute.
Shikha

Bachpan ki yaade - Shikha


Bachpan ki yaade........
Bachpan ki yaade sathi badi suhani hoti thi,
Jaha sirf or sirf khushiya hi khushiya raheti thi.

Chahat thi sabkuch pane ki,
Chahat thi chand ko chhune ki.

Thakkar aate the school se,
Par School jane ki jaldi hoti thi.

Mumma ki loriya hoti thi,
Or rajkumar ki kahani hoti thi.

Saheliyo se pura din khelti thi,
Har baate nirali hoti thi.

Barish jab aaye to kashti kagaj ki banati thi,
Or pani me rakhkar khush hua karti thi.

Papa ka chhuti lekar humare saath khelna,
Vo pyari yaade badi suhani hoti thi.

Jab mum - papa jaye bahar to
Badi sis. khayal rakhti thi.

Ab na rahi vo zindgi jaisi pahele hua karti thi,
Bachpan ki yaade saathi badi suhani hoti thi.

Shikha

Maine to dekhi hai-Shikha



Maine to dekhi he ye zindgi tere hi aankho ke raste,
Kaha khoye baithe ho aap apne hi raste.
Shikha

Beti-Dikri-Daughter - Shikha



Beti-Dikri-Daughter
 
Nari ke jivan me kai roop hai..jaise ki Beti, bahen, preyasi, patni, maa, ...or har roop me vo bahot hi pyari hoti hai.......

Aaj hum yaha beti kya hoti hai..uspe kuch baate aapse share karna chahte hai.....

Jab pita ka besumar pyar or maa ki pyari nirmal mamta...saath me milkar neel gagan me jaye or vaha se badal banke besumar barish ke roop me barse uska naam beti......

Beti to tyag or samrpan ki murti hai. Beta khud ke ghar me diya jalata hai jab ki beti dusre ke ghar me diya jalati hai. Beti e sakshat divya roop hai, shakti hai.

Deep ki tarah khub jalti hai,
Duniya ko ujala deti hai,
Sukh me na kabhi abhiman kare,
Dukh me na mane har kabhi.....

or yahi beti hoti hai....Beta pita ka haath banta hai..par beti ..vo to pita ka dil hoti hai...Beta sirf khud ke ek parivar me dipak bankar ujala karta hai jab ki beti Do parivar me jyoti bankar ujala karti hai....Beta agar vishwas hai to Beti bhi shwas hai.

Jab aap bhot pareshan ho tab pyari si beti ke saath thoda time spend karo..dil kitna khush ho jayega....kyoki beti hoti hi itni sweet hai.

Jis pal beti mata-pita ke jivan me aati hai...vo uska dil ka tukda ban jati hai. use pata hota hai ki ek din to ise kisi or haatho me sopna hai...fir bhi vo use apne dil se lagakar badi karte hai...or jab vo apne dil ke tukde ko kisi or haatho me sonpte hai to uska dil kitna rota hoga.....

Beti Mata-Pita ki aankho ka noor hoti hai, uske saanso ki rawani hoti hai...
Beti hi is sansar me ujala karti hai...kabhi vo apne pita ki himmat banti hai, to kabhi apne bhai ki dost banti hai, kabhi apni maa ki sakhi banti hai, to kabhi vo apne premi ki preysi banti hai. har roop me vo sayani hai, nirali hai.

Aaj...jaha tak humne is duniya ko samja hai, jana hai, usse nari ka itna sanman nahi hai..aakhir kyo.....vo har furz ko bakhubi nibhati hai...fir bhi janam se lekar aakhri saanso tak vo kisi na kisi baat ke liye jamane se ladti raheti hai, kabhi insaf ke liye, to kabhi apne parivar ko khush rakhne ke liye, kabhi khud ki raksha ke liye to kabhi kisi or ke liye.....

Ye samaj kab beti ke pyar ko , nari ke durd ko mahesus karega...ye to huem pata nahi...par hum sab milkar koshish to kar hi skte hai....

Bhagvan har bacche ka khayal nahi rakh skte hai or tabhi usne maa ka nirman kiya......Is sansar ki sabhi beti ko humara bahot sara pyar.....



Shikha

Ab hume izazat de de - Shikha

 
 Ab hume izazat de de
 
Teri zindgi se ab hume door jana hai,
 bewafa nahi hum par majboor hokar jana hai.
 
E sanam, ab hume dil se izazat de de,
 Is janam me na sahi kisi or janam me milenge.
 
Yaad hai hume aaj bhi jab paheli baar hum mile the,
 Muskuraye the tum tab bhi jab mudkar humne dekha tha.
 
Dil hi dil me kab pyar palne laga pata hi nahi chala,
 Chaha tha humne tumhe dil se par tumne na samja.
 
Ek pal bhi na baithe the pass hum,
 Par dil pyar me udne laga tha.
 
Ek pal bhi na ki thi baat saath,
 Par dil sapne sanjone laga tha.
 
Teri galiyo se door jaa rahe hai aaj hum,
 Lautkar na aayenge kabhi vaaps hum.
 
Bhul jana tum bhi hume yahi kismat humari hai,
 Door hokar tadpakar jeena yahi kismat ab humari hai.
 J
eena bahot mushkil hoga ye jante hai hum bhi,
 Par yahi judai se ab preet karni hai hume bhi.
 
Shikha kaheti hai aaj apne dost se,
 Yaad karti hai vo aaj bhi tumhe dil se.
 
Shikha
 
Ye shayari us ladki ki kahani hai jo apne pyar se door jaa rahi hai...vo bewafa nahi hai..par majboori uski hai....

Ajnabi the aap-shikha

Ajnabi the aap........
 Ajanabi the aap humare liye,
Yu jivansathi banakar saath chalna pyara laga,
Beshaq sagar se bhi gahera he pyar aapka,
Tairna to nahi aata he par dubna pyara laga.
 
shikha

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...