Monday, 24 November 2014

Love story-shikha


Author-pradeepji
Readers....hum sirf share kar rahe hai aap sabke saath becoz I love this story....

Hello friends, I’m pradeep . Me yaha apne dost karan ki One side love ki story share karne ja raha hu jisne apne pyar ka 11 saal tak intjar kiya , or anpe pyar ko aakhir paa hi liya ………
Karan or Mausam ke ghar paas me hi the. Karan use 10 saal ki umar se chahta tha.Dono ke gharbalo ka aapas me koi khas contact nahi tha. Mausam bahut hi khoobsurat or bindaas ladki thi. Dono ke school alag alag the . Karan ka padai me koi interest nahi tha to bahi Family problems ki bajah se mausam ki padai sirf 8th tak hi ho pai. Karan bas use dekhta tha , jab use Mausam dikh jati to use accha lagta.Bakt se sath dono bade hote gaye . Karan ki Mausam ko ek najar dekhne ki tamanna kab pyar me badal gayi pata hi nahi chala . Ab mausam ko bhi ehsaas hone laga ki karan muje dekhta hai , par mausam to bindaas thi apni duniya me khoyi hui thi..to bahi dusri taraf Karan use deewano ki tarah chahta tha. Dono ki aapas me kabhi bat nahi hui thi.
Mausam jaha bhi jati karan uske piche chala jata , din-rat , subah-sham bas mausam ke pyar me dooba rehta .Ab mausam ko karan ka is tarah picha karna , use dekhna ye sab achha nahi lagta tha. Ab use karan par gussa aane laga tha.Us bakt dono hi 16 years ke the.
Bakt gujarta ja raha tha , Karan ki mohobbat badti ja rahi thi to bahi mausam karan ko bilkul pasand nahi karti thi . Karan mausam ke pyar me Aashiq ban gaya tha . Par abhi tak usne apne pyar ka izhar nahi kiya tha. Karan agar usse normal bat bhi karta to Mausam thik se bat nahi karti thi , use to karan ko dekhkar hi gussa aa jata tha…
Saal 2009 jab dono hi 19 years ke the, tab karan ne mausam se apni beintihan mohobbat ka izhar kiya..par mausam ne koi jawab nahi diya. Ab karan ko jab bhi mauka milta bo mausam se bat karta , par mausam use koi jawab nahi deti…bo to karan ko bilkul bhi pasand nahi karti thi…
Jab hum kisi se had se jyada pyar kare , uski ibadat kare , har lamha har ghadi use chahe , har dua me use mange , Or bo shaks humse pyar na kare to kesa lagta hai??? ye sirf bahi samaj sakta hai jisne aisa pyar kiya ho, har lamha har ghadi uska intjar kiya ho…Bo aashiq to bas uski mohobbat me dooba tha. jamane se bekhabar bo shakhs jane konsi duniya me jeeta tha ..
Mohobbat bhi ab mukam par aane bali thi
Mausam bhi ab karan ke pyar se kaha bachne bali thi
2009 ke last me karan ne fir mausam se kaha
Deewano ki tarah chahta hu me tujhe sanam
bas ek bar ha kah de kam pad jayenge pyar ke liye saat janam
Ab mausam ne jawab de hi diya- Me teri is janam me kya agle saat janam me bhi nahi ho sakti….saal 2009 bhi gujar gaya . 2010 me bhi mohobbat ka ye silsila chalta raha , Ek taraf Karan ki mohobbat , Dusri taraf Mausam ki nafrat….
2010 me jab me 10th class me tha , Tab Karan se meri dosti hui..Me Karan or Mausam teeno ek hi colony me rehte the..
Dheere dheere usne apne dil ke raaj muje bataye , uske shabdo se jyada uski aankhe haal-e-dil bata rahi thi , mano kah rahi ho mujse – ab intjar nahi hota..ab intjar nahi hota..Tha sab kuch uski aankho me sibaye aansuo ke..Jab puchha mene usse aansuo ka haal . Kehta hai bo Aashiq mujse- Pradeep itna roye hain hum unke pyar me ki ab to aansuo ne bhi humse bhagabat karli hai….
Kuch to tha us Aashiq ki aankho me …kuch to tha…
Dheere dheere meri or Karan ki dosti badti gai . Apna haal e dil bo muje roj batata..Dusri taraf mausam ..me to usse bhi bat karta …Mano apni life me sab kuch pehle se hi paa liya ho usne..Ek dam bindaas ..jab mene mausam se karan ke bare me pucha to kahti hai – bo to paagal hai , or haskar chali jati hai….Nafrat karte karte shayad thak gayi thi bo
tabhi to uske andaaz kuch is tarah badalne lage…
Or ab to sab kuch meri aankho ke saamne ho raha tha… Me Karan se har bakt yahi kahta ki ek din ise tujse mohobbat ho hi jayegi,,Fir karan mujse kehta – bas ek tu hi hai jo muje himmat deta hai,..verna yaha to sab muje bhool jane ka bolte hain..Mene kaha- Sachha pyar hai to bo jarur aayegi, jaha sacchai hoti hai baha hamesha jeet hoti hai…
Dono ka silsila yun hi chalta raha ,, Udhar ab mera bhi padai ki bajah se Karan se contact kam ho gaya..Is tarah 2010 ka bhi end ho gaya
Ab 2011 ka gaya tha ..Me to school me busy tha or ab jyada karan se contact nahi ho pata tha…jab bhi milte the hum ..bas ek hi topic hota tha hamare paas…Pyar,Pyar ,Pyar
Ek din March me pata chala ki mausam ki shadi ho rahi hai…Ye sunkar karan ke pairo ke niche se to jese jameen hi khisak gayi ho…Us time mere board exams chal rahe the..ab to meri himmat bhi tutne lagi thi , 2 mahine baad May me mausam ki shadi honi thi…Mene karan se kaha – ab to ye ja rahi hai..Karan ki jubaan par ek lafz bhi nahi tha…Us time jese dono hi haar maan gaye ho. Par ab Mausam Karan se utni nafrat se bat nahi karti thi..Shayad use bhi kuch ehsaas hone laga tha
April ke mahine me jab navrate aate hain ..us time hamare yaha ladkiya kalash me pani lekar mata ke mandir jati hain or brat rakhti hain…Is bar mausam ne bhi brat rakhe the 9 din ke liye or Karan ne bhi..To subah suabh ghar se nikalkar jab mausam mandir jati karan bhi uske sath jata ..Karan khali hath jata tha or mausam pani ka kalash lekar…
Dono bich raste me thodi bahut bat kar lete. Fir jab maa ke mandir pahuche to mausam jal maa ko chadane lagi , to usne karan se kaha chalo ab mere kalash ko pakadkar hi jal chadalo , tum to kuch lekar aaye nahi..tab dono ne 4 hatho se kalash ko maa ke mandir me chadaya . Ab to roj ka yahi kam ho gaya .9 din tak aisa hi hua ..Is dauran dono me dosti bhi ho gayi…Mausam ke bhai ke pas ek mobile tha jiska number karan ko pata tha, fir kya karan ne phone laga diya or jyadatar bo mobile mausam ke paas rehta tha , to mausam ne hi uthaya…Mausam ne pucha – Kon
Karan- hum hain …aapke dost
Mausam- Dost ka koi naam to hoga..
Karan- Aap hume janti hain..
Mausam- Hum aapko nahi jante…
Karan- Ek chote se raste me hum aapke humsafar the, bhool gayin kya ??
Mausam- Achha…to aap ho karan…..
Or is tarah phone par unki bate shuru hui….jese jese april ka mahina bad raha tha mausam ki shadi najdeek aa rahi thi..6 May ko mausam ki shadi honi thi….
Ek din phone par bat karte karte Mausam ne karan se kaha- Ye pyar kya hota hai ?? Karan ne kaha – Ab tum rehne do …is pyar ke dariya me doob gayi to bahar nahi aa paogi..aag ka dariya hai ye..
Mausam- Muje doobna hai is dariya me …
Karan – Agar doob gayi to bapas nahi aa paogi…
Mausam- Kya tum muje le chaloge us dariya me…
Karan-pehle mere paas aaogi tabhi to le chalunga…
Mausam- Matlab ??
Karan-Kya tum mujse pyar karti ho ?
Mausam- …………haan……me tumse pyar karti hu….( ye sunkar karan jese hawa me udne laga…bo bahut khus hua..itna khus life me pehli baar use itni khusi mili jab mausam ne use ye kaha…Mano sadiyo ki winter ke baad summer aaya ho…Uski khusi ka to koi thikana hi nahi tha)
Fir dono ki mulakat hui ..shayad 21st april tha..Dono subah ke 4 baje mile the ..Karan ne us din pehli baar Mausam ko apne sine se lagaya ..mano bina rooh ke jism ko aaj rooh mil gayi ho. Fir usne apne 11 saal ka haal e dil mausam ko bataya…Ab bo roj milne lage . Karan har baar usse bolta mausam tum mere sath chalo kahi door …rooh ki gehrai se chahta hu me tumhe . .Par mausam koi jawab nahi deti..
Mausam ki shadi ko ab bas 6 din reh gaye the ..dono roj milte subah 4 baje..Mausam kehti karan me bas tumhe hi sochti rehti hu..tumse bahut pyar karne lagi hu me..tum agar muje kuch der tak nahi dikhte to mera bura haal ho jata hai..bahut pyar karne lagi hu me tumse karan..bahut pyar…
Ab mausam ki shadi ko bas kuch din hi bache the..Karan ki to mano jaan nikal rahi thi…1 may ki rat ke 11 baje karan ghar se door ek dukan par khada tha to mausam rat ke 11 baje hi baha pahuch gayi…Karan kehta hai – tum yaha itni rat ko…koi dekh lega to, …Or fir karan ne use ghar jane ka ishara kar diya ..
Friends ye sab dekhkar kuch pal ke liye to yakeen hi nahi ho raha tha…Muje yaad hai mene karan se kaha tha- Kya ye bahi ladki hai jo tumse itni nafrat karti thi…..
Agar kisi cheez ko dil se chaho to puri kaynad tumhe us tak mila hi deti hai.
Karan ne jitni siddat se Mausam se mohobbat ki thi aaj mausam bhi karan ke pyar me utni hi paagal thi…
.. Picture abhi baki hai mere dost…
Share This PostShare on Facebook37Share on Google+0Tweet about this on Twitter0

No comments:

Post a Comment

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...