Mera bharat bahot bada or Mahan desh hai. jaha pe har vaykti ke astitav ko nayi pahechan milti hai. Jaha nari ko devi mankar uska sanmaan or puja ki jati hai aisa kahete huye suna hai maine sabko .
Bachpan se lekar badi hone tak yahi suna tha maine.Par aaj aap sabse yahi sawal mai bar bar puchhti hu. kya sach mai nari ki devi mankar puja ki jaati hai ? Janti hu kisike paas iska jawab nahi hai or na hi hoga. Kyoki aaj bhi kai jagah pe nari ki aisi halat hoti hai jinhe baya karna mere bas ki baat nahi. sirf aansu hi bahete hai. kyuki aaj bhi nari ko ek nirjiv vastu mana jaata hai. uski feelings ki koi kadar nahi ki jaati. Or aise Mahan desh mai sharifo ke libash mai hevan bhi rahete hai. Jo nari ke sanmaan , uske abhiman ko ek hi pal mai chur kar dete hai.
Ye creation mai aaj special women's day ke liye likh rahi hu to abhi isse jyada kuchh nahi bolungi. Aap sabse sirf itni request hai ki Ek aurat ke astitav , or uski mahanta , tyag or niswarth seva ki bhavna ko samjo.
Kuchh bhi manga nahi, or kuchh chaha bhi nahi,
Badla to khud ko ki rishta koi tut na jaaye kahi.
Apni aadto ko badla, apni pasand ko bhi badla,
Badla to khud ko ki kisi ko dukh ho na jaaye kahi.
Apne durd ko chhipaya, apne ashru ko chhipaya,
Badla to khud ko ki kisi or ko chot na pahunche kahi.
Sabko apna banaya par khud ko na kisi ne apnaya,
Fir bhi chah itni ki mera ghar mai vajud to rahe kahi.
Khud ke sapno ko bhulakar apno ke sapno ko sajaya,
Par kahi na kahi nari ke tyag ki chhavi ozal ho gayi kahi.
Shikha