Thursday 20 October 2016

Ishq E Safar - Shikha

Ye Ishq E Safar bhi kuchh ajeeb sa lagta hai,
Manzil ke karib hote huye bhi door sa hota hai.

Kabhi labo pe hansi kabhi aankho mai ashq deta hai,
Har mausam ka lamha iska bahot hi khas hota hai.

Koi  khwab tutta hai to koi khwab pura bhi hota hai,
Har  khwabo ka apna apna mukmal ek jaha hota hai.

Kabhi kabhi judai mai ek lamha barso sa hota hai,
Fir bhi vo lamha bhi zindagi mai pyara hota hai.

Kabhi milan ka ek lamha anmol yaado sa hota hai,
Or us ek pal ki yaado se zindagi ka nata hota hai.

Ye Ishq E Safar bhi bahot ajeeb sa lagta hai yaaro,
Manzil ke karib hote huye bhi door sa hota hai.

Shikha

















Kajal bhariya nayan na kaman mane game chhe - gujarati ghazal


Janam janam


Channa mereya


Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...