Wednesday, 10 December 2014

Kabhi zindgi Mai - shikha

KABHI ZINDGI MAI..
Kabhi zindgi me aise mod bhi aate he,
Jo hote he apne vahi begane ho jate he,
Hoti baat sirf duriya ki to vo to mitayi ja skti he,
Par jab padti rishto me darare he,
To Dil ke saath vishwas bhi chaknachur ho jate he.


Shikha




Chili paneer - shikha


Humne ek sapna dekha - shikha




Humne ek sapna dekha....
Humne ek sapna dekha tha,
Sapne me aapko apna mana tha.

Jab paheli bar dekha aapko dil khush hua tha,
Jaise koi soya hua armaan jag utha tha.

Rah dekhte rahe, tadpate rahe,
Kab aap hume apna banaoge,
Par ye humara intezar kabhi khatam hi nahi hua tha.

Kuch samay baad jaise sab kuch tut gaya tha,
Rangin duniya se bharosa jaise uth gaya tha.

Andhero me akele pakar bahot ro diya tha,
Fir subah uthakar khud ko sameta bhi tha.

Yahi zindgi hai shikha ye dil ne kaha tha,
Fir se apne aapko ek bar sanjoya bhi tha.
 Shikha

Andekhi anjani si - shikha


Jane dil Mai - shikha


Ek ajanabi - shikha



Hume ek ajnabi acchha lagne laga,
Unki baato se dil dhadkane laga.
Dhire se vo dil ke karib aane laga,
Dosti to nahi thi par dost banne laga.
Unse baat karke Dil ko jaise sukun milne laga,
Sabse pyara saath unka hume achha lagne laga.
Zindgi ke safar mai unka haath thamna acchha laga.
Har pal sirf unke saath bitana achha laga.
Chaha hai humne khud se jyada tumhe,
Sari duniya ke samne ye ikrar karna acchha laga.

Shikha


Girl - shikha

Ladki - kanya - girl

Aaj hum ek ladki kaise apne sare rishte ko pyar se sanvarti hai...or kaise vo apne ghar me apni khas jagah banati hai uski chhoti si zalak dikhate hai...

Jis ghar me uska janam hota hai, phool ke jaise use bada kiya jata hai....pyar se uske jivan ko mahekaaya jata hai....par aakhir me use dusre ghar me hi bhejna hota hai..or tab uski family ko kitna dukh hota hai..fir bhi vo ladki ko itne acche sanskar ka sinchan karte hai ki dusre ghar jakar bhi vo pyar ki roshni failati hai...kaise aao dekhe......

Aghadh pyar ke samunder me humesha raheti huyi vo najuk si kali jab apne parivar ko chhodkar dusre ghar jati hai. kudrat ne uske dil me ajab si samarpanta bhari hai.....

Dudh me jaise sakar mil jati hai vaise vo sabke saath mil jati hai....anjan hone ke baad bhi vo sabko apna banati hai . Apni samparpan bhavna se vo apne mata pita ka naam roshan karti hai or apni sewa or apne pan se apne pati ke ghar ko swarg banati hai. or is tarah sewa ki sarita bahakar vo apne saans -sasur or nanad-diyar ke dil me mata-pita or bhai-bahen ke pyar se sabko hansati hai or sabki ladli ban jati hai.

Apne sukh ka khayal na karte huye vo in sabke sukh ka khyal rakhti hai to use saasu-sasra ke pyar ki chat milti hai...sab kuch sahekar bhi vo humesha muskurati hai to use sabne pyar se apnaya hai. or isi tarah vo sawamini sabke dilo me apna raj karne lagti hai...jise pura sansar kul laxmi ke roop me pahechanta hai..

or tab ye sab dekhkar khud bhagwan bhi fir se is dharti pe janam lena chahta hai..uske pyar ki mamta me rahena chahta hai....

I hope aap sabko humari ye chhoti si koshish pasand aayegi guys..........
koi bhi mistake dikhe to ple...hume batayiyega........

Shikha

Mane game chhe - shikha



Badhathi judi tamari aa prit mane game chhe,
Tamari aa pyari masum  hansi mane game chhe,
Mitro to dhana mali jay chhe zindgi ma,
Pan tame nibhavo chho e chahat mane game chhe.

Shikha

Mere humsafar - shikha


Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...