Friday 3 July 2015

Sun saathiya....


Pyar ki ye kahani humari - Shikha

 
Aapse hi hai pyar ki ye kahani humari,
Aapse hi hai ye zindgani humari.
 
Kaise samjaye aapko ki saath aapka kitna lazmi hai,
Kaise bataye aapko ki pyar humara kitna nirmal hai.
 
Zustjuu bhi hai aapse, diwangi bhi hai aapse,
Dil ki har dhadkan ki ravani bhi hai aapse.
 
Har dhadkan chale sirf aapke hi naam se,
Zindgi ka har lamha bhi sirf juda hai aapse.
 
Ab sirf itni hi gujarish hai aapse humari,
Yu hi rahena humesha shamil zindgi mai humari.
 
Shikha

Aapse pyar kiya hai - Shikha



Humne apni had e inteha se bhi jyada aapse pyar kiya hai,
Humne apni wafa e muhobbat ko dil se nibhaya hai.
 
Bata do koi jakar humare yaar ko,
Muhobbat agar gunah hai to
Humne apni muhobbat ko bandgi banake use nibhaya hai.
 
Muhobbat ki raaho pe ek bar chal jane ke baad
Lautne ka rasta nahi milta hai to
Humne apni muhobbat  e raah mai dub jane ka safar tay kiya hai.
 
Shikha



Shayari likhna kuch is kadar man ko bha gaya - Shikha

 
Shayari likhna kuch is kadar man ko bha gaya,
Rooh ki khushi or durd ko jaise panno par dal diya.
 
Ashq ki barish se kabhi kya kuch likh diya,
To kabhi labo ki hansi se un lamho ko kaid kar diya.
 
Sanjone lagte hai alfaz yu humare zahen mai,
Jaise panchhi ko aasma mai udna sikha  diya.
 
Phool mahekne lagte hai bagiya mai,
Jaise shama ko parvane ne gale mila diya.
 
Pyar ke nashe  ko usne dil ke samundar mai dubo diya,
Alfazo ne khud b khud zahen se nikalke kalam bana diya.
 
Na jane kaha se ye hunar hum mai  aa gaya,
Rooh ko jaise humne lafzo mai utar diya.
 
Shikha
 
 
 
 

Image shayari - Shikha


Image shayari - Shikha


image shayari - Shikha


Image shayari - Shikha


vegetable soup - tarla dalal


Romatic collection album songs


Aakhir kya hu mai - Shikha

 
Kya hu mai.....
 
Aaj bahot hi ajib sa khayal aaya dil mai,
Ki aakhir kya hu mai.....
 
Mere dil ne kuch is tarah se jawab diya...
Mai vo roshni hu jo har subah
sabke dilo mai ujala karti hu...
 
Andheri raato mai mai hi sunahari
khwabo ki barsat karti hu...
 
Ghar mai sabke chahere par
Muskurahat lati hu....
 
Ghar mai sabke dilo pe
mai raj karti hu.....
 
Sab ke durd ko jo pal mai bhula de
Mai vo ummid hu...
 
Masum bachho ke sawalo ka,
Jawab mai hu....
 
Pyare se dosto ki hansi ka
Raaz mai hu...
 
Aap khush hote ho
Kyoki mai hansti hu....
 
Aap udas hote ho
To durd me mai tadapti hu...
 
Kabhi tanhayi mai jo socho
ki mai kaha hu...
 
To mai vahi hu...
aapke paas hi hu....
 
Jo kisiko jeena sikha de
mai vo bandgi hu...
 
Aakhir kya hu mai
Mai hi vo zindgi hu...
Mai hi vo zindgi hu......
 
Shikha
 

Bahot sukun deti hai -Shikha


Bahot sukun deti hai aapki pyari muskurahat hume..
 
Kai ankahi si baate hai aaj bhi rahe gayi ,
Kai baate hai jo aankho ne hi aankho se kahe di.
 
Kai lafz hai jo aaj bhi hotho pe thamkar rahe gaye hai,
Dil mai kuch ajib se tufan aaj bhi rahe gaye hai.
 
Aapka naam humne is dil pe likh diya hai,
Ek aapke liye hi dil se har pal dua bhi nikalti hai.
 
Shikha





Aapki har baate - Shikha

 
Aapki har baate itni kyo pyari lagti hai,
Humare hi dil mai jaise bas rahe aap hai.
 
Aapki chahat ka ye kaise surur hai,
Hum har pal Aapki or bikhar rahe hai.
 
Aap hi to ho jo humare dil mai baskar
Humari har dhadkano se gujar rahe hai.
 
Paas hokar bhi kyo aaj ek doori si hai,
Kya humara rishta itna kumjor hai.
 
Mana ki nadan the hum, bahot galtiya bhi ki hai,
Par iske liye har saja se gujrana bhi manzoor hai.
 
Ek pal mai diwana banakar kaha chal diye hai,
Aa jao ab na satao ek nazar ko aapki shikha tarsati hai.
 
Shikha






Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...