Tuesday, 17 May 2016

Tumhe isse kya - Shikha


Tuta hai mera dil e sukun par tumhe isse kya,
Aankho se bahe ashq ki dhar par tumhe isse kya.

Tum kisi or ke sapno ko pankh diya karo,
Tut jaaye mere sapne idhar par tumhe isse kya.

Kisi or ka haath thamkar unhe rah dikhaya karo,
Mai bhul jauoo khud ko hi par tumhe isse kya.

Tum kisi or sang zindagi mai moj masti kiya karo,
Mai rahe jauoo akeli yaha par tumhe isse kya.

Shikha

Pyar ka meetha sa ehesas - Shikha


Pyar ka meetha sa ehesas jagane lage ho tum,
Ab to hum hi se hum ko churane lage ho tum.

Tere pyar ka nasha chhaaya hai is kadar muj par,
Ab to har ghadi, har jagah dikhne lage ho tum.

Tanha thi zindagi meri tere aane se pahele is tarah,
Khushiyo se daman mera ab sajane lage ho tum.

Nahi rahe paati ab ek pal bhi tumse door sanam,
Hokar door meri chahat ko kyu ajmaane lage to tum.

Kahi bhi jaati hu har pal yahi ehesaas hota hai muje,
Saaya banakar saath mere har kadam chalne lage ho tum.

Jaane chahat ki ye kaun so door hai jo teri or khinchi aati hu,
Dhire dhire Shikha ko tumhari diwani banane lage ho tum.

Shikha

Dukh sukh tha ek sabka - ghazal


Best of sad ghazals


chal diye...


Jaanu meri jaan


Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...