Saturday 8 November 2014

Baya nahi kar sakta-sad shayari

Aaina sirf jakham dikha sakta hai
Aaina jakham ka durd baya nahi kar sakta.

Unknown

Tab dil ka durd aansu Mai chhalak jata hai

hello readers......is page mai hum jo bhi likhenge vo humare bhai ko samarpit hai......
humara pyara sa bhai..hum char baheno ka ladla bhai , humare mum dad ki aankho ka tara ...ek pyari si ladki ka hasin khwab...chhoti chhoti masum princess ka sabkuch.....vo ab is duniya ko chhodkar chale gaye hai....par dil hai na..bahot hi pagal hai..vo aaj bhi kahi na kahi ye ummid lagaye baitha hai ki humara bhai ek din jarur lautkar aayega....
bhai se hi to bahen ki nirmal kahani hai....bhai se hi to bahen i suhani yaade hai....ab bhai ke bina hum kya karenge....aankho se ashq tham nahi rahe the...dil mai bas ek hi sawal tha or shikayat thi us rabse kyo usne humare bhai ko humse door kar diya....
readers....din bitte gaye...par yaade kabhi saath nahi chhodti...aaj humare bhai ko 10 din ho gaye hai or humne bhi unse baate karne ka naya tarika dhundh liya hai....hum yaha pe unke liye kuch na kuch likh diya karenge...

Ye tasvir humare pyare bhai ki hai...jinhone har mod par hume saath diya...kabhi roye to hume hansaya bhi, kabhi ruthe to hume manaya bhi, kabhi danta to pyar se samjaya bhi, kabhi dost banakar , to kabhi teacher banakar, har mod par humara saath nibhaya...


Jab bhai bahen se door ho jata hai
Tab dil ka durd aansu Mai chhalak jata hai
Jo humesha muskuraye raheta tha
kaise vo aaj sabko rulaye jata hai.

Ye nazar talash bhai aapko barbar karti hai
aapki aawaz sunne ko bekarar raheti hai.
kaise bahelaye khud ko ki bhai ab nahi is duniya mai
ye shikha aapse Milne ki aaj bhi ummid karti hai.

Bhai aapke chale jane se humara pyar kabhi kum nahi hoga,
aapko yaad na karu aisa to ek bhi pal nahi hoga.
Bhai -bahen ka rishta kitna atut hota hai ye hum dikhayenge,
aap jaha bhi gaye ho muskurate rahena yahi humara pyar hoga.

Prakash ki bahen kahekar kisike bulane par naaz hota hai hume,
Door hokar bhi aap aaj door nahi hai ye hota hai ehesas hume.
zindgi ke ab tak ka safar aise saath milkar humne jo bitaya tha,
aap kahi se bhi bas aa jao fir  raheti hai ye ummid hume.
Umarbhar saath nibhane ka wada aapne jo kabhi kiya tha,
par har aahat pe aaj sirf aapki hi aawaz sunayi deti hai hume.
Jis lok mai aap gaye ho vaha se aaj tak koi nahi vapas aaya hai,
fir bhi lagta hai ki aap aayenge or ye aash raheti hai aaj bhi hume.

Hum kabhi bhai se khafa ho nahi sakte,
bhai-bahen ke rishte bewafa ho nahi sakte,
aap bhale hi chhodkar chale gaye ho hume,
hum aapke bina bhai rahe nahi hai sakte.

Mat samjana bhai ki hum jee lenge aapke bin,
aapke intezar mai yu hi palke bichhaye baithenge hum.

Chand se jab mulakat hoti hai,
aapke hi baare mai baat hoti hai bhai.
vo kaheta hai humare paas bahot sunder sitara hai,
humne kaha , vo sitara hi to humara pyara bhai hai.

Jis din humari zindgi se yu ozal ho gaye ho bhai,
aapko khokar tanhaiyo mai kho gaye hai bhai,
aapki yaado se lipatkar ashq bahate rahete hai,
aapke intezar mai aaj bhi palke bichhaye baithe hai bhai.

Rishta hai humara bhai-bahen ka,
to ise har haal mai nibhayenge hum.
Har pal mai aapko yaad karenge,
yaad karke aapko vapas bulayenge hum.
Pata nahi kis lok mai aap baithe honge,
aankho se ashq bahate bahate yaad kiya karenge hum.

Chandni ko khud pe itna gurur na hota,
Agar chand uske sath na hota.
Hawa mai kabhi itna nikhar na hota,
Agar fiza ka mausam uske saath na hota.
Shikha ka bhi shayarana andaz na hota,
Agar aap jaisa bhai ab tak uske saath na hota.

Humari shayari ke jazbbat sirf jakham baya kar sakta hai,
Jo humne apne bhai ko khokar ke mila hai.
Humari shayari ke alfaaz sirf dil ka durd baya kar sakta hai,

Jo humne apne bhai ki judai se mila hai. 

Humare khwabo me aaj bhi ...

Humare khwabo me aaj bhi rahete ho aap,
Un khwabo me aakar aaj bhi rulate ho aap.
Kyo naraz ho gaye ho humse yu,

Humari Aankho se ashq aaj bhi bahate ho aap.

wah re aurat teri kahani

wah re aurat Teri hai Nyari kahani
Hotho pe muskan par aankho Mai hai pani.

Bhagwan ne kyo taqdir banayi hai aisi teri
Na kabhi kuch kaheti tu uff bhi nahi hai karti
Jo mile durd jivan ki rah Mai use tu hai pyar se jiti
wah re aurat Teri bhi hai badi Nyari kahani.

Beti banakar aati hai or bahu banakar maabap ke ghar se tu hai jati
Naye gharsansar Mai har kadam par Nayeli Naye impthan tu hai deti
Patni or maa banakar har furz apna tu hai bakhubi nibhati.
Wah re aurat Teri bhi hai badi Nyari kahani.

Na koi farmaish Teri na koi bhi khwaish teri
sabki khushiyo Mai hi dhundhe tu hai khushiya apni
Pathrili raho pe khud chalke phoolo ka bichhona tu hai sabko deti
Wah re aurat Teri bhi hai badi nyari kahani.

Part -2

Dukh apne tu sabse hai chhupati raheti,
Fir aankho se aansu ki dhara kyo na rahe baheti,
Khud hi roti khud hi himmat se Khadi bhi hoti raheti,
Wah re aurat Teri bhi hai badi Nayarit kahani.

Na koi tune hai sunta na kiwi ko tu hai batati,
ander hi ander ghuntkar sare gamo ko tu hai saheti,
Fir bhi sabko humesha khushiya hi bantti raheti
Wah re aurat teri bhi hai badi Nyari kahani.

Apni taklife tu sabse hai chhupti chhipati,
or isko Teri sahanshilta hai mani jati,
Na kisine kabhi ye Jana ki pareshani tuje bhi hogi hoti
Wah re aurat Teri bhi hai badi Nyari kahani.

Part-3
Kyo samja nahi kabhi koi Teri di sabhi kurbani
Kya soch ke usne tuje aansuo ki barsat thama di
Kyo nahi jaan pata hai vo ki aaj Jo hai Teri kahani
Kal ho sakti hai vo uski Beti ki hi kahani
Wah re aurat Teri bhi hai badi Nyari kahani.

Maabaap ka pyara ghar chhodkar tu hai aati
Naye rishto ko apne pyar se tu hai sanjoti
Kadar Teri na ki kisine fir bhi humesha tu hai muskurati
Wah re aurat Teri bhi hai badi Nyari kahani.

Chand par pahonchti to izzat afajayi Teri ho jati
Parvato ko chhuti to inaam se navazi tu hai jati
Zindgi ki Ladai laden pe kaun si tarif tu hai pati
Wah re aurat teri bhi hai badi  Nyari kahani.


Bahot hua ab bandh kar dena tu Apni kurbani
Yaha na Teri koi kimat hai honevali
Jee le Apni zindgi or kar sari khwaishe Apni puri
Badal de apne hi Haatho se aaj kismat ki lakire Apni.

Wah re aurat Teri bhi hai Nyari kahani
hotho pe hai muskan par aankho Mai hai pani.

Aapki aarzu e tamanna aaj bhi is dil Mai hai,
Jinki manzil  bahot hi kathin hai,
Mat dekhna humare dil Mai chhipe durd aap,
Humare dil ki har dhadkan Mai aap samil hai.

Hum to aaj bhi uske liye sab kuch kurban Karne ko taiyar hai
Hum to aaj bhi unhe beinteha muhobbat kiya karte hai
Sirf Uski khushi ke liye shikha ne zaher bhi pee Liya judai ka,
Par such to ye hai ki hum aaj bhi unki yaad Mai jiya karte hai.

Dil ne chaha tha kai baar apne pyar ka izhaar kare,
Par lafz na na kabhi saath diya hume is baat ke liye,
Zindgi ki dastaan hi badal gayi humari ek hi pal mai,

Umarbhar ki saja mil gayi hume pyar karne ke liye.

Tere gusse me bhi chhalkata pyar hai

Tere gusse me bhi chhalkata pyar hai,
Tere ikrar e ishq me bhi ada inkar ki hai.

 Teri muskan se saanse humari chalti hai

Teri har ada pe fida humari rooh hai,
kaise samjaye hum aapko e sanam,

Teri muskan se hi saanse humari chalti hai.
..... Shikha .....

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...