Ek chhoti si..pyari si gudiya he hum mum,
Aapki hi ungli tham ke chalte he hum mum.
Jab aap humari nazro se door hote he mum,
Tab aankho se aansu ka samunder baheta he.
Kahete the har waqt hum ye apne dil se mum,
Nahi jana he kabhi aapse bhot door mum.
Ek din aaya humara Rajkumar pardesh se,
Sang chale aaye uske hum kuch bhi soche bina.
Kahete to the humko pardesh nahi jana he kabhi mum,
Ab yaad humari aayegi to kaise rahe paoge mum.
Jab humari dusri bahene aayegi ghar pe milne aapko,
Aap intezar humara karte hi rahe jaoge mum.
Sabse baate humari karte nahi thakoge aap mum
Or aapki palke bhi aansuo se bhig jaya karegi mum.
Biti huyi yaado ke sahare hi ab to jina he hume mum,
Jaisa aapka haal he vaisa hi humara bhi haal he mum.
Kyo hum aapse itni door chale aaye he mum,
Nahi samaj paye aaj bhi ki pyar kyo itna bebas hota he mum.
Harroj humare sapno me aap hi aate ho mum,
Jab nind nahi aati kabhi aapki loriya yaad karte he mum.
Kitne barso tak khayal rakha he aapne humara mum,
Jivan ki in raho ko samjte he hum aapki hi baato se mum.
Hum aaj bhi aapke pyar ko dil me sanjoye muskurate he mum,
Par dil se aaj bhi vo hi masum si gudiya yaado me ashq bahati he mum.
Shikha
Ho sakta he isme itni lay nahi hogi...par aaj hum apni mum ko bhot hi jyada miss kar rahe he to unhe dedicate karke kuch likh diya he......ummid he aap sab inhe pasand karenge...kyoki ye humari feelings he jo humne aap sabse share ki he........