Hello Friends, Read my shayari collection.....and i promise ..you will all enjoy my creativity! Shayari Shikha me aap sabka swagat hai...Is site ke liye sabse pahele hum humare Raj ka shukriya ada karte hai..jinhone hume encourage kiya...saath diya...or humara honsla badhaya ki ab bhi hum kuch likh sakte hai.... Readers.....Shayari humare jivan se aise judi hai jaise ki saanse...Jo baat hum shabdo se baya nahi kar paate...use hum shayari se bakhubi baya kar dete hai.
Showing posts with label *zindgi shayari. Show all posts
Showing posts with label *zindgi shayari. Show all posts
Thursday, 27 December 2018
Thursday, 6 December 2018
Parindo vali zindagi -Shikha

Parindo vali zindagi hume bhi jeeni chahiye,
Parindo ki tarah jo mile khush rahena chahiye,
Khayalo ko alfaz mai dhalke likhna chahiye,
Or manzil ko parindo ki tarah hi pani chahiye.
Shikha
Tuesday, 12 April 2016
E Zindagi tera safar - Shikha
E zindagi tera safar bhi ye kitna suhana hai,
Kabhi khushi deta hai to kabhi gum ki bauchhar kar deta hai.
Kabhi bin mange sabkuch de deta hai
To kabhi kitni minnate karne ke baad bhi kuch nahi deta hai.
E zindagi tu ye kaisi ulzi huyi si paheli hai,
Jo har kadam par apne naye naye rang badlti raheti hai.
Kabhi ek pal mai hi koi apna ban jaata hai,
To kabhi ek pal mai hi apne begane bhi ban jaate hai.
Shikha
Wednesday, 30 March 2016
Kuch ajeeb sa khayal - Shikha
Aaj dil ne socha ki kuch alag sa likha jaaye..but I am sure ki aap sabko ye pasand aayegi.
Dil mai aaj ajeeb sa khayal hai aaya,
Zindagi ko jaise najdik se hai jaana.
Zindagi mai kya khoya or kya paya,
sab kuch jaise chhut sa gaya.
Ek pal mai hai milna or bichhad jaana,
Unki yaado se dil ko bahelana.
Dil ne chaha kuch aisa kar jaana,
Ki duniya se jaane ke baad bhi logo ki yaado mai rahena.
bahot socha samja par or kuch na dikhai diya,
Tab jaakar humne alfazo se apne pyar ko sajaya.
Zindagi ki bhid bhari duniya mai
Apne likhe huye alfazo ko hai jinda rakhna.
Shikha
Sunday, 10 January 2016
Tuesday, 6 October 2015
Zindagi bas chali jaa rahi hai - shikha
Sab kuchh to diya hai zindagi ne or zindagi bas chali jaa rahi hai,
Kuchh to chhut gaya hai pichhe or zindagi bas chali jaa rahi hai.
Muskura rahe hai hum sabke sang or zindagi bas chali jaa rahi hai,
chhup karke ponchh liya humne jo ashq ki barish hoti jaa rahi hai.
Vo na samaj paye kabhi pyar ko humare or zindagi bas chali jaa rahi hai,
Kaise samjaye unhe ki bina saath ke unke zindagi mai jo kami aa rahi hai.
Beinteha muhobbat ki jinse nahi samaj paye vo or zindagi bas chali jaa rahi hai,
Nahi samja payi Shikha khudko aaj bhi or zindagi bas chali jaa rahi hai.
Shikha
Ye ek aisi ladki ki dastaan hai jisne kabhi kisise muhobbat ki par vo uske pyar ko nahi samaj paya kabhi....
Sunday, 14 June 2015
Zindgi kya hai - shikha
Zindgi kya hai.....
Zindgi kabhi khushi hai to kabhi gum hai,
Kabhi chahat hai to kabhi durd hai..
Zindgi kabhi rulati hai to kabhi hansati bhi hai,
Kabhi bin mange sab kuch de deti hai or kabhi mangne par bhi nahi deti.
Zindgi ek kitab ki tarah hoti hai,
Jitna bhi use suljane ki koshish karo vo ulaj hi jati hai.
Zindgi aasmaan ki tarah hoti hai ,
Jitna bhi use chhune ki koshish karo door hi raheti hai.
Zindgi samundar ki tarah hoti hai,
Jitna bhi aap usme se khajana nikalne ki koshish karoge aap dubte rahete hai.
Zindgi mai hum jo chahe vo kabhi nahi milta hai,
Or kisiko bina mange hi sabkuch mil jata hai.
Shikha
Saturday, 21 March 2015
Wednesday, 21 January 2015
Sunday, 18 January 2015
Saturday, 17 January 2015
Hatho ki lakire - shikha
Ab zindgi ke jis mukam pe hum khade hai,
Hatho ki lakiro ko badalte dekha hai.
Pata nahi tha kismat ek din humari bhi badlani hai,
Shaam huyi thi to savera bhi hona hai.
Bas ab humara sitara bhi ek din chamkana hai,
Jo khwab kabhi humne dekha tha vo pura hona hai.
Kismat ab humari us rukh ki or mud gayi hai,
Jaha pe sirf or sirf humari unnati hi honi hai.
Shikha
Thursday, 8 January 2015
Monday, 15 December 2014
Monday, 24 November 2014
Thursday, 20 November 2014
Subscribe to:
Posts (Atom)
Palko ko maine - Shikha
Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai naina tere ...
-
Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai naina tere ...
-
dil hi to hai meraa, main isko manaaun kaise nasamajh hai yeh, main isko samjhaaun ka...
-
Sukhe patto ki tarah bikharati chali gayi thi mai, Tumne aag lagayi to jaana kaun apna kaun begana. Shikha