Saturday, 29 November 2014

Prem ki naiyya - shikha


Kisi din - shikha


Khud apne liye beth ke sochenge kisi din
Yun hai ke.. tujhe bhool ke dekhenge kisi din

*
Bhatke huwe phirte hain kaiN lafz jo dil mein
Duniya ne diya waqt to likkhenge kisi din

*
Aapas ki kisi baat ka miltaa hi nahiN waqt
Har baar ye kehte hain ke bethenge kisi din

*
Aey jaan teri yaad ke be-naam parinde
ShakhoN pe mere dard ki utrenge kisi din

*
Jaati hai kisi jheel ki gehraai kahan tak
AankhoN mein teri doob ke dekhenge kisi din

*
Khushboo se bhari shaam mein jugnu ke qalam se
Ek naz’m tere vaaste likkhenge kisi din

*
Soyenge teri aankh ki khalwat mein kisi raat
Saye mein teri zulf ke jaagenge kisi din

(Khalwat = tanhaai)

*
“Amjad” hai yahi ab ke kafan bhaandh ke sar se
Us sheher-e-sitamgaar mein jayenge kisi din

*
Shair : Amjad Islam Amjad


Kyo Rutha hai mera pyar -shikha



Kyon rutha hai mera pyar
ruthe ho kyon tum mujhse
puchun main kya tumse?
meri aankhon ke khayal tum ho
meri saanson ki pehchan tum ho
mere chahre ki muskurahat tum ho,
mere jeene ki wajah tum ho,
meri palkon pe basa hua khwab tum ho,
meri har dhadkan mein tum ho,
jab mere khwab tere the,
jab pyar itna karte the,
jab dur itna rahte the,
jab mil ke bichadte hi the,
jab itna pyar karte hi the ,
izhar se kyon darte the,
aaj phir main puchti hoon tumse,
ruthe ho kyon tum mujse..
-Kavitha Parmar

Chahat -shikha

Chahat
Apni hi chahat ko ham apna na bana paye
Unke khayalo ki duniya mein ham shamil na ho paye
Sirf unki khokhli yadon mein hamne na jane kitne diye jalaye
Fir bhi afsos apni muhabbat ki dastan apno ko suna na paye
Ab na koi ullas hai na koi umang
Sirf aur sirf hai to adhuri dastan ke sath jeene ki ek jung
Log kahte hain wo samajh nahi sakte hamein
Samajhna unki fitrat mein shamil nahin
Chodo samajhne ki bat
kabhi samay mile to samajh ke dekhna ki
Jab dil toot ta hai to awaz nahin aati
Sirf nikalte hain aankh se aansu
Sari duniya bahti huyi nazar aati
Aur duniya ke sath tum bhi
rokne ki koshish karte
tumhein magar rok na pate
Kyonki ham kabhi khud ko
tumhare khwabon mein na pate
Bas aise hi chalti hai zindagi
bas aise hi kat ta hai jindgi ka safar
Nikalti hai dil se awaz “Tum hi the,tum hi ho,tum hi rahoge”
Na sahi pyar bankar magar ek kasak bankar zaroor
ab chalte hain dost
chalna padega ye khudai ne kaha hai
tum bhi chaloge ham bhi chalenge hamesha alag alag
yahi to hai aaj ka tajurba aur is jindagi ka rutba
-Pratibha Singh

Nigahon ki galtiya -shikha

Nigahon Ki Galtiyan
Sab galtiyan nigahon ki hain,
kyon dikhati hain khwab,
kyon dilati hain ehsas jab
pure na ho payein wo khwab,
sab galtiyan nigahon ki hain,
ek pal main dekhta hoon
koi muskurake to deewani ho jati hain,
choti choti baton pe khushiyon ka
parwana ho jati hain,
bicha deti hain khud ko kisi ke pyar mein,
sab luta deti hain,
sab galtiyan nigahon ki hain,
kabhi sochti hain ho gaya pyar humko,
kabhi kisi ki ruswai mein ro deti hain,
milta nahin jise wo chahe to
kuch aur dekhna nahin chahti hain,
sab galtiyan nigahon ki hain,
har bat ka khud se matlab nikal leti hain,
bin jane kisi aur ki ho jati hain,
ghanto tak intazar karti hain
kisi ke aane ka palkon ko bicha ke,
jab nahin aata hai wo tab maan nahin pati hain
aur aas uske aane ki lagati hain,
sab galtiyan nigahon ki hain,
main puchta hoon
kyon dekhti ho khwab kisi ke,
kyon chahati ho bepanah kisi ko,
wo meri bat pe
thoda sa muskura deti hain,
bas kuch kah nahi pata unko
kyonki meri nigahein bhi ye
galti bar bar kiya karti hain,
sab galtiyan nigahon ki hain.
-Gaurav

Shreya goshal's songs -Shikha


Tune preet jo mujse jodi - Shikha


Hume pyara mila - Shikha


Unki Duao se hume vo sahara mila
Jo milta nahi kisiko hume vo kinara mila
Kaaun se lfzo mai hum baya kare unki ahemiyat
Jaane kitno ki bheed mai koi hume pyara mila.

Unknown

Balam Pichkari - Shikha


Din kuch mere - Shikha



Din kuch mere...
Din kuch mere aise gujarte hai ,
Jaise haatho se ret sarkati hai.

Aaine me jab dekhte hai khud ko,
Janta aaj har shaksh muje hai.

Nahi socha tha kal maine,
Ki khwab pure mere bhi ho skte hai.

Aaj khush hai pakar manzil ko,
Ki dil ab khushi se bekabu ho raha hai.

Fir bhi kahi pe gunjte sunnate hai,
Jaise koi apna pukar raha muje hai.

Shikha

Tera hi saath chahte hai- Shikha



Hum sari umar tera hi saath chahte hai,
Aankho mai kuch naye sapne sanjona chahte hai,
Pata hai ki tu hume bahot pyar karta hai Dost,
Par aaj ek baar fir tere pyar ka Izhaar chahte hai.
Shikha

Dosti ka rishta nibha diya - shikha

Kaun kaheta hai ki humne tumhe bhula diya,
 Dil ke kisi kone me tumhe hai chhupa diya.
 Hum bhi rahenge tere dil mai E Dost,
 Humne to apni or se dosti ka rishta nibha diya.
Shikha

Radha - shikha


Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...