Friday, 4 March 2016

Muje tumse muhobbat - ghazal


Nari tum hi ho sabki nirmal aasha - Shikha

 
 
Kaun se shabdo mai kare teri prashnsa,
Nari tum hi ho sabki nirmal aasha.
 
Jab tu hoti hai chhoti,
Pyari pari ka roop hai tu.
Ghar aangan ko hai mahekati,
Suraj ki roshni hai tu.
 
Ma saraswati ka roop hai tu,
Ma laxmi ka swaroop hai tu,
Badhta jaaye jab atyachar,
Ma durga ka avatar hai tu.
 
Kaun se shabdo mai kare teri prashansa,
Nari tum hi ho sabki nirmal aasha.
 
Mamta ki pahechan hai tu,
Sanskaro ki jaan hai tu.
Sneh pyar or tyag ki,
sirf or sirf  pahechan hai tu.
 
Kabhi najuk si komal phoolo si,
Kabhi Shakti ka bhandar hai tu.
Kabhi andhero mai diyo si roshni hai,
Nari tere roop anek or har roop mai hai tu sayani.
 
Kaun se shabdo mai kare teri prashnsa,
Nari tum hi ho sabki nirmal aasha.
 
Shikha


Humne chaha jisko dil se - Shikha


Humne chaha jisko dil se,
Kyu na vo hume jaan paya.
 
Humne jisko apna banaya,
Fir bhi vo humara ban na paya.
 
Hume apna banakar bhi usne,
Harpal hume begana hi bana diya.
 
Jo pal humare saath bitaye,
Vo pal vo aise hi bhul gaya.
 
Jitna pyar humne unko diya,
Vo pyar humara vo pahechan na paya.
 
Humne chaha jisko dil se,
Kyu na vo hume pahechan paya.
 
Shikha

Nahi hai tu nari bichari - Shikha- Womans day special creation

 
 
Nari ka jab janam hota hai tab se uske kai roop hote hai or har roop mai vo apne aap mai behad khubsurat hoti hai...womans day pe hum duniya ki sab womans pe kuch likhne ki koshish kar rahe hai...
 
 
Nahi hai tu nari bichari,
Shakti ka sawarup hai tu nari.
Har burai pe tu hai bhari,
Aisi hai tu nirbhay nari.
 
Ise pairo ki dhul na samjo
Pyar ki sundar murat hai nari.
Yamraj ko bhi jisne zukaya,
Vo satyavati bhi thi ek nari.
 
Angrejo ne jisse muh ki khayi
Vo Laxmibai bhi thi ek nari.
Bhatat ki jo paheli prime minister bani
Vo Indira Gandhi bhi thi ek nari.
 
Jisne buri nazar se is nari ko dekha,
Usne har baar hai muh ki khayi.
Hai komal si najuk si uski adaye,
Par jarurat padne par vo hai ma durga.
 
Aisi hai ye nari suno mere dosto,
Karti hu naman mai aaj un sabko.
Sada unka sanmaan karna, mere dosto
pyar ke siwa nahi kuch chahti aisi hai ye nari.
 
Shikha


Valida veer tane kahyu kahevay na - jain stavan


Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...