Tuesday, 18 September 2018

Itrakar chaloge to - shikha


Itrakar chaloge to vapas na aayenge,
Mana nakhre dikhana andaz hai tera,
Par pyar tumse beinteha karte hai,
Is baat se kaise muh fer loge tum.

Shikha

Kaha tha maine - Shikha


Kaha tha maine 
Muje le chalo tum bahot door sabse,
Par tumne mera kaha mana hi nahi,
Akhir duniya ki diwar aa hi gayi bich,
Ho gaye hum dono ekdusre se juda.

Shikha

Jyada to nahi manga- Shikha


Jyada to nahi manga maine tumse,
Sirf tere dil mai thodi si jagah chahi.

Shikha

Yu hi to nahi - shikha


Yu hi to nahi  jo ye dil tumhe beinteha pyar karta hai,
Kuchh to baat hai teri  hansi mai jo ye tumpe fana hai.

Shikha

Tumse milkar sikha maine - Shikha


Tumse milkar sikha maine ki pyar kya hota hai,
Pyar ke saath zindagi jina kitna pyara hota hai.

Tumse milkar sikha maine ki khwab kya hota hai,
Khwabo ko palko pe sajana kitna pyara hota hai.

Tumse milkar sikha maine ki hansna kya hota hai,
Hansi labo pe sajakar rakhna kitna pyara hota hai.

Tumse milkar sikha maine jine ka andaz kya hota hai,
Ekdusre ki saanso mai milkar jina kitna pyara hota hai.

Shikha

Saath tumhara - Shikha


Saath tumhara hai zindagi se bhi pyara,
Na door hona kabhi mujse tu yaara,
Andhero mai roshni sa saath tumhara,
Zindagi ki dhup mai chhav sa saath tumhara,
Pathrili raaho pe phoolo sa saath tumhara,
Shikha ki muskan ki vajah hai saath tumhara.

Shikha


Nayan ne bandh - jain stavan


Mahesus kiya - Shikha



Azmaya nahi hai maine pyar ko tere,
Zahen se mahesus kiya alfazo ko tere.

Shikha

Jaruri tha - Shikha


Jaruri tha tera mujse mile bina hi chale jana,
Kismat mai saath tha to vapas aana hi tha.

Shikha

Teri vo ek zalak - Shikha


Teri vo ek zalak kachhe rang ki tarah hi to thi,
Ek baar muskurake jo dekha dil pagal ho gaya.

Shikha

Tumhe yu satana - shikha


Tumhe yu satana hume achha lagta hai,
Teri yahi ada to hume sabse pyari lagti hai.

Shikha

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...