Hello Friends, Read my shayari collection.....and i promise ..you will all enjoy my creativity! Shayari Shikha me aap sabka swagat hai...Is site ke liye sabse pahele hum humare Raj ka shukriya ada karte hai..jinhone hume encourage kiya...saath diya...or humara honsla badhaya ki ab bhi hum kuch likh sakte hai.... Readers.....Shayari humare jivan se aise judi hai jaise ki saanse...Jo baat hum shabdo se baya nahi kar paate...use hum shayari se bakhubi baya kar dete hai.
Sunday, 18 January 2015
Kabhi yoon bhi to - Shikha
Kabhi yoon bhi to ho,
Dariyaa ka sahil ho,
Poore chaand ki raat ho,
Aur tum aao,
Kabhi yoon bhi to ho,
Pariyon ki mehfil ho,
Koi tumhari baat ho,
Aur tum aao,
Yeh narm o mulaayam thandi hawayen,
Jab ghar se tumhare guzren,
Tumhari khushbuu churaaye,
Mere ghar le aayen,
Kabhi yoon bhi to ho,
Sooni har manzil ho,
Koi na mere sath ho,
Aur tum aao,
Yeh baadal toot ke barse,
Mere dil ki tarah milne ko,
Tumhara dil bhi tarse,
Tum niklo ghar se,
Kabhi yoon bhi to ho,
Tanhai ho, dil ho,
Boondain hon, barsatain hon,
Aur tum aao,
Kabhi yoon bhi to ho,
Kabhi yoon bhi to ho..
Unknown
Kuch lamhe -Shikha
Kuch lamhe jab free milte hai,
Tere bare Mai soch Liya karte hai.
Koi paas na hote Huye bhi muskura lete hai,
or aapke liye kuch to likh lete hai.
Har raste pe aap aaj saath ho ye Jante hai,
Fir bhi dil Mai ek dar as raheta hai.
waqt ke sheeshe se dhul ko saaf kar lete hai,
Fir usme vo saath gujare pal dekh lete hai.
Dil ke aangan Mai sapno ki duniya Saja lete hai,
Fir usme aapka saath bhi to chahte hai.
Shikha
Subscribe to:
Posts (Atom)
Palko ko maine - Shikha
Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai naina tere ...
-
Sukhe patto ki tarah bikharati chali gayi thi mai, Tumne aag lagayi to jaana kaun apna kaun begana. Shikha
-
Lekhak ki Ahemiyat Dosto, aapko lag raha hoga ki ye kaisa topic hai , right? Ek Lekhak apne zahen se alfazo ke zariye chun chun k...