Sunday, 14 June 2015

Zindgi kya hai - shikha


 
Zindgi kya hai.....
 
Zindgi kabhi khushi hai to kabhi gum hai,
Kabhi chahat hai to kabhi durd hai..
 
Zindgi kabhi rulati hai to kabhi hansati bhi hai,
Kabhi bin mange sab kuch de deti hai or kabhi mangne par bhi nahi deti.
 
Zindgi ek kitab ki tarah hoti hai,
Jitna bhi use suljane ki koshish karo vo ulaj hi jati hai.
 
Zindgi aasmaan ki tarah hoti hai ,
Jitna bhi use chhune ki koshish karo door hi raheti hai.
 
Zindgi samundar ki tarah hoti hai,
Jitna bhi aap usme se khajana nikalne ki koshish karoge aap dubte rahete hai.
 
Zindgi mai hum jo chahe vo kabhi nahi milta hai,
Or kisiko bina mange hi sabkuch mil jata hai.
 
Shikha

Khushiya ki bahar - Shikha

 
Phool hi phool khilte rahe aapki har rah mai,
Hansi yu hi chhalkati rahe aapke labo mai,
Har kadam pe mile aapko khushiya ki bahar aapko,
Dil de raha hai yahi dua ye aapki zindgi mai.
 
Shikha

Zindgi muskurane lagi - Shikha


 
Aap kya aaye zindgi mai zindgi muskurane lagi,
Dil ki kai ankahi baate zubaa pe aane lagi,
Ye humari muhobbat ki inteha hi to thi,
Ki har jagah sirf aap ki surat hi nazar aane lagi.
 
Shikha

Zindgi ka khubsurat ehesas - Shikha


 
Pyar zindgi ka khubsurat ehesas hai,
Pyar ke aage sare rishte fike hai,
Jinhe mil jata hai ye khubsurat tohfa,
Vo har lamhe mai khush hota hai.
 
Shikha

Chahera nazar aata hai - Shikha



Aaj shama badla hua sa nazar aata hai,
Dur dur se koi jaise bula raha hai.
Hum likhe to bhi kya likhe mere sanam,
Har pal aapka hi chahera nazar aata hai.
 
Shikha

Ek duje ke liye......


Tuje bhula diya....


Mahavir tara Sashan ne - Jain stavan


Veggie Burger -tarla dalal


Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...