Friday 1 June 2018

Na jaane vo kaisa ladka tha - Shikha


Muje dekh vo hansta tha,
Meri baate vo sunta tha,
Par kuchh nahi bolta tha,
Na jaane vo kaisa ladka tha.

Meri Raho mai vo milta tha,
Muje dekh hansta bhi tha,
Mera khayal bhi rakhta tha,
Na jaane vo kaisa ladka tha.

Unki aankho mai pyar tha,
Chahta tha par bolta nahi tha,
Jaise koi dar unke dil mai tha,
Na jaane vo kaisa ladka tha.

Shikha

Chhodenge na hum tera saath dada - jain stavan


Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...