Hello Friends, Read my shayari collection.....and i promise ..you will all enjoy my creativity! Shayari Shikha me aap sabka swagat hai...Is site ke liye sabse pahele hum humare Raj ka shukriya ada karte hai..jinhone hume encourage kiya...saath diya...or humara honsla badhaya ki ab bhi hum kuch likh sakte hai.... Readers.....Shayari humare jivan se aise judi hai jaise ki saanse...Jo baat hum shabdo se baya nahi kar paate...use hum shayari se bakhubi baya kar dete hai.
Tuesday, 21 June 2016
Tuje ek nazar dekhne ke baad - Shikha
Kaise ab dil ko sukun mile tuje ek nazar dekhne ke baad,
Kaise ab koi shayari likhe tuje ek nazar dekhne ke baad.
Door door se pukar rahi hai meri zindagi ki manzil muje,
Manzil ki or jaau ki ruk jaau tuje ek nazar dekhne ke baad.
Rab ke samne har baar sir ko zukaya or manga maine tuje,
Ab ye sir kis or zukau mai tuje ek nazar dekhne ke baad.
Teri pyari si hansi ne majboor kar diya ishq karne pe Shikha,
Ab Ishq e izhaar kaise karu mai tuje ek nazar dekhne ke baad.
Shikha
Subscribe to:
Posts (Atom)
Palko ko maine - Shikha
Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai naina tere ...
-
Sukhe patto ki tarah bikharati chali gayi thi mai, Tumne aag lagayi to jaana kaun apna kaun begana. Shikha
-
Lekhak ki Ahemiyat Dosto, aapko lag raha hoga ki ye kaisa topic hai , right? Ek Lekhak apne zahen se alfazo ke zariye chun chun k...