Saturday, 20 December 2014

Aapki chahat - shikha



Aapki chahat ko Apni chahat se sajayenge hum,
Jab tak hai zindgi aapka saath nibhayenge hum,
Agar kabhi bichhad bhi Gaye to har Hal Mai vapas milenge hum,
Aapki khatir bhagwan se bhi lad jayenge hum.

Shikha

Ibadat - shikha



 Aapke paas baithna bhi ibadat,
Aapse baate karna bhi ibadat,
Aapke liye rab se dua mangna bhi ibadat,
Aapke liye sabkuch kargujarna bhi ibadat,
Na mala, na jaap, na tap, na varat
Bas har ghadi aapke bare mai sochna bhi ibadat.
shikha

Nahi siwa tere - shikha




Muje Kisi Se Muhabbat Nahi Siwa Tere
Muje Kisi Ki Jarurat Nahi Siwa Tere….!


Meri Najar Ko Thi Talash Jiski Barso Se
Kisi Ke Paas Wo Surat Nahi Siwa Tere !


Jo Mere Dil, Meri Zindagi Se Khel Sake
Kisi Ko Itni Ijaazat Nahi Siwa Tere……..!!


Shikha

Dil hi to hai - shikha




dil   hi    to    hai   meraa,    main      isko     manaaun   kaise
nasamajh    hai     yeh,      main     isko    samjhaaun    kaise

khud   ki    hi     suntaa   hai,  yeh  khud  ki   hi   kartaa   hai
apni  pasand   ke   hisaab  se,  main    isko    chalaaun   kaise
  
kabhi   deewaano   saa    lagtaa   hai,   kabhi    paagal    saa
kehnaa   chaahtaa    hoon  kuch,  main  isko  bataaun  kaise

aashiqui  karne   mein  to  sabse   aage    chalaa   thaa   yeh
magar  kyaa   hai  aashiqui,   main   isko    samjhaaun   kaise

khud ke  deewaanepan se ab tak sambhal paayaa nahi main
behoshi  ke   mausam mein  hosh mein main isko laaun kaise

mohabbat  to  'Hriday'  ne   bhi  kiyaa  thaa   kisi haseen  se
daastaan apne  tute  mohabbat ki, main isko sunaaun  kaise

Hriday

Gumnaam rahe - shikha



Mohhbat bhale hi mari naaqaam rahe.
Par uske labo par sada mera naam rahe.

Dil jala denge hum bas is umeed main.
 Ke tari zindagi ki har roshan shaam rahe.

Intezaar karte hai akser us pal ka jab in.
Behti sabaao.n main tera paigaam rahe.

Bhool na jau.n kisi din tumeh sochta hu.
Ialiye raat hote hi mare hath jaam rahe.

Beyaan ho na jaye kahi mari ye dastaan.
Isliye har mahfil main hum goomnaam rahe.

Unknown

Har pal aapka saath - shikha



Har pal aapka saath nibhate hai hum,
Tere ek ishare pe apni jaan nyochhavar karte hai hum,
Zindgi ke safar me saath nibhana tum bhi ,
Teri har muskurahat pe jaan dete hai hum.

Shikha

Naseeb nahi hota - shikha



Har Sitara Chaand Ke Kareeb Nahi Hota,
Dil Ki Daulat Wala Gareeb Nahi Hota,
Dost Tum Jaisa Mila Hai Mukaddar Se,
Har Kisi Ka Aisa Naseeb Nahi Hota.
 Shikha

Duriya mitakar - shikha



DURIYA MITAKAR AAPSME PYAR RAKHNA,
DOSTI KA YE TOHFA NIBHAYE RAKHNA,
AAJ BHALE HI DOOR HE TUMSE HUM,
AANKHO ME APNI HUMESHA INTZAR RAKHNA.
Shikha

Janam ...ye pyar hai



Janam, ye pyar hai..
Janam, ye pyar he,
Is pyar ko, humne khud hi,
Kho diya  he, lekin ab kuch na kahena,
Jo hua so hua, muje jana hoga,
Mere janam, na puchho kuch or,
Taqdir ka likha ho juda,
Na badal payega use Pyar,
Hume jode huye the jo pal,
Hum dono ke thi vo sang,
Par yaro ke saye he dhere,
muje charo...
Janam, sacchai se,
hum door huye,
Muje bhul jao....
Shikha

Humne ek sapna dekha - shikha



Humne ek sapna dekha....
Humne ek sapna dekha tha,
Sapne me aapko apna mana tha.

Jab paheli bar dekha aapko dil khush hua tha,
Jaise koi soya hua armaan jag utha tha.

Rah dekhte rahe, tadpate rahe,
Kab aap hume apna banaoge,
Par ye humara intezar kabhi khatam hi nahi hua tha.

Kuch samay baad jaise sab kuch tut gaya tha,
Rangin duniya se bharosa jaise uth gaya tha.

Andhero me akele pakar bahot ro diya tha,
Fir subah uthakar khud ko sameta bhi tha.

Yahi zindgi hai shikha ye dil ne kaha tha,
Fir se apne aapko ek bar sanjoya bhi tha.
 Shikha

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...