Wednesday, 16 September 2015

Vo bhi kya din the - shikha

 
 
Vo bhi kya din the ,
Jab hum do anjane ek rah pe mile the,
Aapko dekhkar dil mai pyar ke phool khile the.
Jis pyar se anjaan hum the,
Usi pyar ke sagar mai dub chuke hum the.
 
Vo bhi kya din the...sanam jab hum
har pal aapko dekhne ko bekarar rahete the,
Aapki aawaz sunne ko tarste hum the.
Aapki ek nazar se hi dil mai tufan ho uthate the.
 
Vo bhi kya din the .....sanam
Jab hum chhoti chhoti baato pe aapse rutha karte the,
Aapka manane ke andaz e wafa se khush hote the.
Sari duniya se door ek alag hi duniya mai jee rahe the.
 
Vo bhi kya din the ...sanam
Jab hum pyar ko paheli baar mahesus kiye the,
Sapne ne pankh lagake nayi udan liye the,
Sari duniya se anjaan hum aapki or badhe jaa rahe the.
 
Ye bhi kya din hai....sanam jab
Humane aap mai ek suchhe dost ko paya hai,
Aapka saath hume rab ka nazrana banke mila hai,
Muhobbat ke sagar mai khud ko mila diya hai.
 
Ye bhi kya din hai...sanam
Jab aap door ho ya paas fir bhi khud ko aapke karib hum pate hai,
Aapki har baate humare liye patthar ki lakir jaisi hoti hai,
Pyar ke is Adbhut ehesas ko Shikha Aaj bhi  dil se jeeye jaa rahi hai.
 
Shikha






Aaj humtum o sanam


Ek bewafa - gazal


Uncha amber thi - jain stavan


Best Hindi songs


Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...