Tuesday 18 November 2014

Story-shikha



Chandni rat he. Sitaare zagmaga rahe he. Chandni apne premi chand ki pratiksha karti huyi unki yaado ko lekar pal pal bita rahi he. par har pal unke liye saalo jaisa lag raha he. Chandni apne premi chand se milne ke liye tadap rahi he. Chand ki baaho me simatne ke liye betab he. Apne chand ke bina unki har saans jaise ruki ruki si he. Chand ki judai use pagal bana rahi he...........

.Dear Shayari readers.....Ye kahani Het or Harsh ki he. Un logo ke pyar ki he. Harsh chand he to Het uski chandni he. Dono ekdusre ke bina adhure he. Aap bhi janna chahenge ...in dono ke pyar ki kahani, vishwas ki kahani....Aakhir kaise mile ye dono..............
Agar chand na hota to

Aasman itna suhana na hota,

Agar Harsh ka saath na hota to

Het ke dil me pyar na hota.


Harsh vo ladka he jo pardesh me raheta he or shadi ke liye India aaya hua he. Bhot si ladki dekhi he usne par kisi par bhi uska dil nahi lagta. Tabhi ek din achanak se isi tarah Het se uski mulakat huyi.Het bahot hi sidhi sadi si ladki he. het ne jab paheli bar Harsh ko dekha to vo sochte hi rahe gayi. Use yakin hi nahi ho raha tha apni kismat pe ki Harsh jaisa ladka bhi uski zindgi me aa sakta he........Uski mulakat Is tarah se ho gayi ki Het to jaise apne ek alag hi jahaa me kho gayi....

.Het jab apne rajkumar ka intezar karte huye apne jivan se har chuki thi, use lag raha tha ki uske sapno ka rajkumar use kabhi nahi milega...kyoki sapno ke rajkumar se mulakat to sirf kahaniyo me hoti he..haqiqat me nahi....or tab achanak se Harsh se uski mulaqat huyi. Or Harsh ne dher sari khushiyo ke saath Het ki duniya me pravesh kiya. us din un dono ke bich bahot hi thodi si idhar udhar ki baate huyi.Het to kuch soch hi nahi paa rahi thi. jab uske parents ne use puchha ki vo kya chahti he, to use samaj me hi nahi aa raha tha ki vo kya kare......par fir usne apne dil se puchha or ek ahem faisla liya ki ab uske jivan me yahi aakhri ladka hoga jisne use dekha he. Ab zindgi jini he to sirf Harsh ke saath varna vo kabhi shadi nahi karegi........Ek hi pal me usne apna dil Harsh ko de diya....

Aapko lag raha hoga ki aisa kyo....par humare india me ladke or ladke ki jo milne ki rasam hoti he usme ladki ke dil ki kya haalat hoti he ye koi janne ki koshish hi nahi karta....Ladke valo ke samne vo sharmayi huyi si gabharayi huyi si sahem jati he........ek kathputli ki tarah use sabke samne bithaya jata he..sab ke sawal ke jawab dene hote he......aaj jamana badal gaya he...par aaj bhi aisi kai jagah he jaha pe ladki ki halat ko sab nazar andaz kar dete he....

.Do-Tin din ho gaye. Vo intezar kar rahi thi, par intezar nahi ho paa raha tha, usne socha kyo vo khud hi un raho se gujrane chali jaye. or Harsh ki ek zalak dekhne ke liye vo barish me bhigti huyi un raho pe chal di jaha vo raheta tha. par vo harsh ko nahi dekh payi. Mayus hokar vo ghar lauti or dusre hi din vo bimar ho gayi...check up karane par pata chala ki use malaria ho gaya tha. or uski sari ummid pe pani fir gaya....par het ki khwaish bhot jald puri huyi. Do din ke bad Harsh ne Het se milna chaha. Het bimar thi fir bhi usse mili. or jaise bhagvanne dono ko ekdusre ke liye hi banaya tha. Harsh ki pyari si muskan, bado ka aadar karna, unki pyari si baate, or gussa to jaise usse so mile door tha, inhi baato ne usko diwana bana diya. vo bhot hi khush thi. or ek din Harsh ne Het ko apne jivansaathi ke roop me swikar kar liya or use lekar saat samunder par aa gaya.....

Friends....ab yaha se hoti he Het ke jivan ki sandharsh ki kahani.....Kya harsh ne dil se Het ko apnaya tha....kya het ek naye desh me, ek alag ritrivaj, alag bhasha.....or ajnabee saathi ke saath adjust kar payegi..............

.Het ko vishwas tha apne aap par, apne jivansaathi par...ki uske saath milkar vo sabkuch bhot hi jald sikh jayegi....par yaha hi vo galat thi. Ha, uske Harsh ne jivan ke har kadam pe uska saath diya...par Het vo ladki nahi thi jise usne chaha tha, jiske sapne sajaye the. uske sapno ki rajkumari to koi or hi thi. Desh, ritrivaj, bhasha, ye sab to bahot door ki baate ho gayi...pahela sandharsh uske jivan ka yahi raha ki use har hal me apne jivansathi ke dil me thodi si apne liye jagah banani he.chahe uske liye use kuch bhi karna pade, vo pichhe nahi hategi. Harsh ke dil me khud ke liye pyar jagana hi jaise Het ki manzil ban gayi. Kabhi kabhi vo akeli bhot roti thi, apne vatan ko yaad karke, kabhi apne parivar ko yaad karke, kabhi apna bachpan yaad karke to kabhi apni dosto ke saath bite huye un lamho ko yaad karke.....ye yaade hi unke dil ko khush rakhti thi. use aisa lagta tha jaise har kadam pe uske samne ek imtahaan hota tha. kabhi jaise uska swabhiman tutta tha. par usne kabhi bhi har nahi mani. kyoki use pata tha ki yaha itni door apne parivar se door aane ka faisla usne khud kiya tha.......or ab jo bhi he yahi uski kismat he.

Harsh ..apne business ke saath saath padhai bhi karta tha. dhire dhire din gujrate chale gaye....Harsh ..Het se jo bhi kaheta..vo bilkul vaisa hi karti chahe uska dil mane ya na mane. uske saath vo ek saye ki tarah rahene lagi...jaise ki uske aaspaas hi uski sari duniya he. isi tarah pure 2 sal gujar gaye. par shayad Het ki yahi baato ne ...uski sabke saath pyar se baat karne ki ada ne shayad Harsh ke dil me apne liye pyar ka divy swaroop pagat kiya. Harsh ki har baato ka sanmaan karna, uski kahi huyi har baato pe gaur karna jaise uski aadat ban gayi. Vo sabkuch khushi se karti..dil se karti. Ab vo ekdusre ko samajne ki koshish karne lage...Harsh humesha....Het ki masti karta raheta.....Jab bhi het ke ghar se khat aaye to uski aankhe num ho jati...or harsh usi waqt unhe bahar le jata....or use hansata........Dhire dhire un dono ke bich pyar badhta gaya. Dono ekdusre ke itne karib aane lage ki jasie ab vo dono ekdusre ke liye hi bane he. Harsh .....har kam me het ka saath deta........chahe vo kam koi bhi ho...........rasoi banane se lekar bartan manjne tak........Vo uska bilkul ek bacchi ki tarah khayal rakhne laga. jab bhi vo dono ghar me akele hote the tab Harsh khana banata or vo baate karti ..or fir dono saath me dinner lete....Aise hi pyar badhta chala gaya ki yu samjo jism alag the par jaan ek....
Harsh ke pyar ne hi het ko samjaya ki pyar kya hota he, pyar kaise nibhaya jata he.kisiko apni jaan se badhkar pyar karna koi pap nahi he. Harpal ekdusre ke prati pyar ka ehesas rishte ko or gahera banata he. vo harpal use ye ehesas dilata ki uske bina to koi zindgi hi nahi he. 

Shadi ke waqt halat chahe jaise bhi rahe par usne kabhi bhi het ko shikayat ka mauka nahi diya. Kabhi kabhi to kuch kahe bina hi vo Het ke dil ki baat jan leta tha. Vo jab apne harsh ke pass ja rahi hoti thi to uske pahunchne se pahele hi usko unke paas aane ka ehesas ho jata tha. ekdusre ko jara sa bhi durd hota to vo hi durd dusra bhi mahesus karta......or ye pyar ki kashish hi to thi jo dono ko aise jude rakhti thi.

Aise hi pyar ke sahare zindgi haatho se sarti ret ki tarah gujrati gayi. Ab parivar ko nanhi si gudiya chahiye thi.....din bitte gaye or Harsh apni /het ko lekar itna possesive ho gaya ki kisi or ka het ki or dekhna bhi usse bardast nahi hota tha.....baate to bhot door ki baat he....Par het ko usse koi furk nahi padta tha.....use to yakin hi nahi hota tha apni kismat pe.....ki aaj unka harsh sirf unka he.......uska itna pyar, itni kashish Het ko khud bhi diwana banati gayi.

Ab....kya hota he aage....kya uski bagiya me bhi nanha sa gul khilega......kya hoga aage..........

Isi tarah tin Saal gujar Gaye. Het ne apne parivar ka dil jeet Liya. Apne harsh ka dil jeet Liya apne pyar or vishwas ke saath. Ab het apne mayke Jana chahti hai or vo bhi 3 mahine ke liye. harsh ka to jaise dil hi tut Gaya. Harsh barbar het ko Rockne laga, mat jaa Hume chhodkar par het harsh ko pyar se samjati Ki those Dino ki to Baat hai fir jaldi se vapas aa jaungi. 

Harsh ko isi tarah samjati thi or vo mayke chali gayi. Harsh 1 mahine ke baad India aanevala hi tha par ye 1 mahina us ke liye saalo ke saman tha. Het ke hate hi jaise uska sabkuch khatam ho Gaya. het ke bina jaise kuch tha hi nahi. Charo or het ki yaado ne use diwana bana Diya. Jab paheli baar harsh ne India phone kiya to het bhi rone lagi. Harsh ne mashes us kiya ki het bhi unhe utna hi pyar karti hai. Harsh ne apne badroom Mai bhi het ke liye Diwalo pe pyar ka paigam likha. Bahot bada pyar ka pratik heart drowing kiya. Or phone letter ye sab to chalta hi tha.


Part -2

Het ne paheli baar harsh ki diwangi dekhi. Hash jab bhi pyari si baate karte to uski aankho se ashq bahe jate. Use yakin nahi ho raha tha harsh such mai us se itna pyar karta hai. Fir 1 mahine mai hi harsh het ke paas aa gaya. Yaha 15 din un dono ne pyare se lamho ke saath pyar se bitaye. Par ha...yaha bhi harsh jab india aayato usne apne aapse ek wada kiya tha jo het ke liye uske pyar ka ek imptehaan tha. Usne apne aap se ye wada kiya tha ki jitna pyar mai het se karta hu utna hi pyar agar vo mujse such mai karti hai to vo muje airport pe lene jarur aayegi. Agar asa nahi hua to mai yahi se hi dusri flight leke vapas chala jaunga.

Het bhi to Harsh se shayad apni jaan se bhi jyada pyar karne lagi thi isiliye vo apne Bhai ke saath aayi ...apne Harsh ko lene ke liye or het ko dekhkar harsh ki ruki saanse jaise chalne lagi. Kya lamha tha jab dono ka aamna samna hua.....kudarat bhi jaise muskura uthi thi us din. Do dil jo thode pal ke liye bichhad gaye the vo fir se mil gaye. Yaha pyare se lamho ko apni zindgi ka hissa banaya. Het or Harsh ne saath mai jatra ki or har mandir mai bhagwan se yahi prarthna ki ki jiyenge sath- marenge saath. Yaha un dono ne paheli baar saath jine-marne ki kasam khayi....or khubsurat lamho ko lekar vapas Africa aa gaye.

Yaha se Harsh-Het ki zindgi ka dusra mod shuru hota hai. Jab un dono ke jivan mai nanha sa gul khilnevala hai. Het ki health thik nahi raheti hai...use kuch bhi acchha nahi lagta hai.Or Het ki aisi halat dekh Harsh bhi pareshan ho jata hai.

Harsh ka birthday 25 th april ko hai or usi din vo Zanzibar mai tha. Yaha pe Het ko lekar hospital gaye to pata chala ki harsh-het ke pyar ki nishani ne is duniya mai aane ke liye pahela kadam rakh diya hai. Het ne jab Harsh ko call karke ye baat sunayi to vo itna khush ho gaya ...itna khush ho gaya ki meeting mai baithe huye sabhi ko unhone ye khushi ki baat batayi. sabne use dher sari badhai di.  Ab het uske ghar aane ka besabrise intezar kar rahi thi. kitna pyara tha vo lamha jab vo ekdusre ke saath the..dono bahot hi khush the. Ghar mai bhi sab bahot hi khush the. sab het ka bahot hi khayal rakhte the. Din bitte gaye. Parivar ke sabhi nanhi si gudiya ka besabri se intezar kar  rahe the or aakhir vo din bhi aa hi gaya. Het ki tabiyat thik nahi thi. vo harpal harsh ko apni nazar ke samne dekhna chahti thi. Harsh ..pura samay uske paas hi raha or het ke sir pe apne pyar se haatho se sahelata raha...or bhagwan se prarthna karta raha.

Or nanhi si gudiya ne is duniya mai apna kadam rakh diya. Bilkul Harsh ki tasvir hai vo gudiya....Vo kitna khush tha us din....Sabhi bahot khush the. Gudiya ke aate hi Harsh ne community mai jo function chal raha tha usme dinner diclare karva diya. Kitna pyara din tha ...vo pal tha..jab het ne apne haatho mai us nanhe se gul ko lekar chuma tha....Harsh or Het ki jaan hai ye gudiya...Isi gudiya ke saath din bitte gaye...Het is nanhi si jaan ke saath busy rahene lagi or Harsh ko aisa lagne laga ki Het ab use bhul gayi hai...

Het ko aaj bhi yaad hai vo uska bachpana.....kitni masumiyat thi uski baato mai...Fir het ne bahot hi pyar se use kaheti or samjati ....Harsh aisa kabhi ho skta hai ki hum tumhe bhul jaye? par ye bhi to hum dono ki jaan hai, humare pyar ki nishani hai...or harsh fir khush ho jata. Waqt teji se gujarta chala gaya, gudiya badi hone lagi. Harsh use apni princess kaheta hai or Het use anjalu kaheti hai. Anjalu ke saath khelna ...uska hansna .....ek ek pal anmol tha het ke liye.....dekhte hi dekhte vo do saal ki ho gayi. Het ko kabhi kabhi lagta tha ki ab vo kabhi akeli ho jati hai...use apna ek saathi chahiye...jiske saath vo khel sake...

Het ne harsh se is bare mai baat ki to harsh ne to bilkul mana hi kar diya...fir het ke bahot samjane par vo mana...or pichhli baar ki tarah is baar bhi harsh ne het ka bahot khayal  rakha...or aakhri waqt tak vo uske paas raha. or ek pyari si gudiya ne is duniya mai apna kadam rakh diya. Harsh to bahot hi khush hua...kitni cute hai ye...or fir het se kaha........ab hume apni ye dono betiyo ka jivan savarna hai...uska bahot khayal rakhna hai hume or kuch bhi nahi chahiye. Tere jivan ke saath hum ab or koi risk nahi le sakte. harsh ki ye pyari si baate sunkar uski aankho mai se aansu nikal aaye. Itna pyar...kitni kismatvali hu mai....

Het harroj bhagwan se prarthna karti hai apne harsh ki raksha ke liye parivar ki raksha ke liye or apne harsh ki pragti ke liye...Vo khush hai apne jivan se ...apne pyar se, apne harsh se...uska harsh kabhi juth nahi bolta..vo het ka bahot hi khayal rakhta hai..baat baat mai usko manata raheta hai. het ko bhi unka manana acchha lagta hai. Shadi se pahele vo kabhi kabhi bhagwan se naraz ho jati thi par use kya pata tha ki bhagwan ne uske liye aisa jivansaathi chunke rakha hai jismai khushiyo ke siwa kuch bhi to nahi. Harsh bhi kabhi kabhi het se kaheta hai ki agle janam mai humne kuch aise punya kiye honge jisse tum hume jivansangni ke roop mai mili ho.

Samay bitta gaya par un dono ka pyar kabhi kum nahi hua...din v din pyar badhta hi chala gaya. zindgi mai tufan to aate rahete hai par kabhi in tufano ne harsh-het ke bich pyar ki doori nahi hone di. Het ne bhi apne jivan mai aaye huye har halat ka samna kiya or apne harsh ko kabhi bhi apne se door nahi hone diya. Vo humesha het ke dil ki baat uske bina bole hi jaan leta hai. uske kadmo ki aahat harsh ko ye ehesas dila deti hai ki vo aa rahi hai...harsh ka dil jab bhi use yaad karta hai usi waqt vo uske samne hoti hai....

Harsh-Het ka pyar to sirf is janam ka nahi raha janmojanam ka ho chukka hai....Harsh ne het ke jivan mai aakar pyar ki vo kashish dikhayi jismai het khud diwani ho gayi. harsh ke pyar ke aage use sabka pyar fika lagta hai....bahot khush hai het oe uska pyara sa parivar.

Yahi hai Harsh-Het ke pyar ki kashish.....Bhagwan kare in dono ka pyar aise hi bana rahe...


Khushbu tere pyar ki kagaj par utar aati hai,
Sochti hu ki ruk jau kalam badhti hi jati hai..

 Shikha





 
Sharing Story...but really it's heart touching...











 
एक बार एक लड़का था ! जो एक लड़की को अपनी जान से भी ज्यादा प्यार करता था !
उसके परिवार वालो ने भी उसका कभी साथ नहीं दिया ,फिर भी वो उस लड़की को प्यार करता रहा लेकिन लड़की कुछ देख नहीं सकती थी मतलब अंधी थी !
लड़की हमेशा लड़के से कहती रहती थी की तुम मुझे इतना प्यार क्यूँ करते हो !में
तुम्हारे किसी काम नहीं आ सकती में तुम्हे वो प्यार नहीं दे सकती जो कोई और
देगा लेकिन वो लड़का उसे हमेशा दिलाषा देता रहता की तुम ठीक हो जोगी
तुम्ही मेरा पहला प्यार हो और रहोगी फिर कुछ साल ये सिलसिला चलता रहता है
लड़का अपने पैसे से लड़की का ऑपरेशन करवाता है लड़की ऑपरेशन के बाद अब सब
कुछ देख सब सकती थी लेकिन उससे पता चलता है की लड़का भी अँधा था तब लड़की
कहती है की में तुमसे प्यार नहीं कर सकती तुम तोह अंधे हो.में किसी अंधे
आदमी को अपना जीवन साथी चुन सकती तुम्हारे साथ मेरा कोई future नहीं है
..तब लड़का मुस्कुराता है और जाने लगता है और उसके आखिरी बोल होते है take
care of my eyes. this is a real love....

Cute love story.......Sharing
Boy: Kya Main Tumhen Payara Lagta Hun?
Gal: Nahi
Boy: Kya Tum Mere Sath Rehna Chahti Ho?
Gal: Nai
Boy: Aagr Main Marr Jaun To Tm Ro Gi?
Gal: Nai

Larka Bohat Udas Ho Gya Use Boht Dukh Hua Or Woh Rone Lga

Larki Ne Use Apne Qareb Kiya Or Kha-
Tum Piyare Nai Bohat Khobsorat Ho
Me Tumhare Sath Rehna Nai Balke Jeena Chahti Hun
Agar Tumhe Kuch Ho Gya To Me Roun Gi Nai Mar Jaun Gi

Sweet Love Story





Ek ladka or ek ladki ekdusre ko bahot hi pyar karte the. Dono ka pyar jaise sare shaher mai fail chuka tha. Fir un dono ne tay kiya ki apne apne gharvalo ke saath vo baat kare. ladka or ladki dono hi acchhe ghar se the, cast same thi to kisike ghar mai se koi problem nahi thi. dono gharvale shadi ke liye man gaye. sagai huyi. dono bahot hi khush the. parivar ke log khush the. ki achanak ladki bimar huyi...or dawa karne par bhi kuch furk nahi ho raha tha. kitne doc. ko dikhaya..ladki ke mata pita pareshan ho gaye. fir ek acchhe se doctor ko dikhane le gaye. doc. ne kaha ab waqt nahi. ladki ki maa achanak hi kisiko bataye bina ladki ko lekar America chali gayi. Ladka or uske gharvale pareshan ho gaye. aisi kya baat ho gayi ki achanak vo chali gayi ...shadi najdik aa rahi hai..kya kare..kisiko kuch samaj nahi aa raha tha.
din bitte gaye..ladki cancer ke last stage mai thi. kuch aash nahi thi. uski maa ka bhi bahot bura haal tha. Doc. ne kaha ab koi ummid nahi...ye kuch dino ki maheman hai. ladki ki maa unhe khush rakhne ki koshish karti, unki har tamnna vo puri karti . ladki jab aakhri saase le rahi thi tab usne bahot sochkar apni maa se ek vada liya...ki vo ladke ko meri marne ki khabar nahi degi. vo nahi jee payega maa,  vo mar jayega. aap unse itne hi kahena ki America mai green card vale ladke se maine shadi kar li. kum se kum meri bewafai se use durd to bahot hi hoga par vo jeeyega to sahi. ladki ki mum ne use promise kiya.
Or sari vidhi karke apni beti ko alwida karke vo vapas aa gayi. ladkevalo se or ladke se news bhijva diye ki ladki ne vaha hi kisise shadi kar li hai. vo tumse pyar nahi karti thi. Sab ko shock ho gaye. ladke ne kaha aisa ho hi nahi skta. vo muje bahot hi pyar karti hai. situation bilkul badal gayi. shadi ki taiyariya ruk gayi. ladka paglo ki tarah firne laga. Ladki ki yaad mai pagal sa ho gaya. Din bitte gaye, par uska yakin nahi tuta. vo man hi man sochta tha ki vo aisa kar hi nahi skti. muje vishwas hai uske pyar par. par kisse baat kare.
Fir ek din achanak hi raste mai use ladki ki maa mil gayi. Ladke ne unse puchha ki plz. hume such batao ki aakhir kya hua hai...vo mere saath ais anahi kar skti. bahot rone laga...uski ye halat dekhkar ladki ki maa ne use kaha, beta..shant ho jaa. tera pyar succha hai, tera vishwas such hai. usne tuje koi dhoka nahi diya. par uski tabiyat thik nahi thi , or din b din bigadti jaa rahi thi..doctors ne nidan kiya ki vo cancer ke last stage pe hai..jald se jald uska ilaj karao. or mai use lekar America chali gayi. par vaha ke doctors ne bhi haar man li or vo bhagvan ko pyari ho gayi par usne jane se pahele mujse ye wada liya tha ki mai tuje ye baat na batau...jisse tu apni zindgi mai aage badh sake. Ladka bahot hi rone laga...vo bola ..ek baar bhi muje ye baat nahi batayi usne. mai uske bina nahi rahe sakta. ab vo nahi to uski yaade hi sahi...jiske sahare mai apni puri zindgi gujar lunga. ladki ki maa unse mafi mangti hai or chali jati hai....
Ladka us ladki ki yaado ke sahare apni zindgi gujar  ne ka nirnay leta hai.....par pyar dono ka kitna succha or pavitra tha ki dono ekdusre ki kitni parvah karte the. pyar ka ye roop bahot kum dikhne ko milta hai.
Readers, such to ye hai ki ye kahani likhte waqt humari aankho se bhi ashq bahe gaye ......pyar kya aisa bhi hota hai?
Shikha

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...