Friday 5 December 2014

Sheesha ho ya dil ho - shikha


Tu pyar hai - shikha





Tu Pyar hai mera ya vafa meri hai,
Ya Tu hi vo manzil meri hai.


Tu khwab hai mera ya faisla mera hai,
Ya Tu hi mere ehesas ka aashiyana hai.


Tu pyas hai dil ki ya dariya hai,
Tu patazad hai ya sawan ki khushbu hai.


Tu dil ki kashish hai ya jahan mera hai,
Tu mera hi hai ya koi sapna hai.


Mai diwani hu teri ya ye tera diwanapan hai,
Jaise sanse meri tham si gayi hai.


Tu hi mera rat-din ka har lamha hai,
Ya unhi lamho ka maheman tu hai.


Tu bazigar hai ya manmeet mera hai,
Ya mere hi in alfazo ka sundar geet tu hai.


Shikha

Bhai bahen ka video song - shikha


Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...