Hello Friends, Read my shayari collection.....and i promise ..you will all enjoy my creativity! Shayari Shikha me aap sabka swagat hai...Is site ke liye sabse pahele hum humare Raj ka shukriya ada karte hai..jinhone hume encourage kiya...saath diya...or humara honsla badhaya ki ab bhi hum kuch likh sakte hai.... Readers.....Shayari humare jivan se aise judi hai jaise ki saanse...Jo baat hum shabdo se baya nahi kar paate...use hum shayari se bakhubi baya kar dete hai.
Wednesday, 8 June 2016
Mere haatho ki lakiro mai - Shikha
Mere haatho ki lakiro mai chhipe hai kuchh jazbaat mere,
Teri tasvir se sajaye maine vo jazbaat ke ehesas sunhare.
In aankho ne jo dekhe hai khwab usko haqiqat hai banaye,
Kuchh is tarah se sajaye maine alfaaz shayari mai mere.
Na jaane kyu ye duniyavale humare pyar ko na samaj paaye,
Par humare sachhe pyar ne har kagar par imptehan diye,
Maine apne dil ke jazbaat sari duniya ke samne kahe diye,
Kuchh is tarah se milan ko mahesus kiya dil ne mere.
Koi to hoga kahi pe jo samjega sachhe pyar ko humare,
Berang si zindagi mai bhar diye tumne vo rang sare.
Ab tum bhi sanam Ishq e Izhaar kar bhi lo humse,
Kuchh is tarah se sajaye maine shabd shayari mai mere.
Shikha
Sirf ek tera vajud - Shikha
Sirf Ek tera vajud jo mere labo ki hansi hai,
Sirf Ek tera aks jo meri aankho mai basa hai,
Yahi to mere jeene ki ummid bante hai,
Jis pal mai tu saath mere hai,
Us pal mai zindagi meri khwabo se saji hai,
Jis pal mai tu saath nahi mere,
Lagta hai jaise mera koi astitav hi nahi hai.
Muje nahi likhni meri muhobbat ki kahani,
Muje to tere saath har pal zindagi jeeni hai.
khwabo se saji us dahelij par kadam rakhna hai,
Jiske bhitar humari pyari si duniya basi hai.
Shikha
Ek saathi mil gaya - Shikha
Kuchh saal pahele zindagi mai hum tanha the,
Fir ek din achanak door se ek saathi mil gaya.
Saath chalne laga humare vo kuch aise ki,
Sari khushiyo se daman hamara sajta gaya.
Haatho se fisalti ret ki tarah din gujarane lage,
Dil ko jaise apna manzil e karva mil gaya.
Fir ek din achanak aandhi aayi kahi or se,
Saathi humara humse bahot door chala gaya.
Na kuchh bhi smaaj mai aaya ki hua ye kaise,
Par zindagi ka rasta fir se aaj viran sa ho gaya.
Shikha
Subscribe to:
Posts (Atom)
Palko ko maine - Shikha
Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai naina tere ...
-
Sukhe patto ki tarah bikharati chali gayi thi mai, Tumne aag lagayi to jaana kaun apna kaun begana. Shikha
-
Lekhak ki Ahemiyat Dosto, aapko lag raha hoga ki ye kaisa topic hai , right? Ek Lekhak apne zahen se alfazo ke zariye chun chun k...