Wednesday, 28 September 2016

Yu hi chalti rahi - Shikha


Zindagi ki raaho mai bas mai chalti rahi,
Subah hoti rahi or sham bhi aati rahi,
Mai bas chalti rahi or yu hi chalti rahi.

Raste mai kai rishto ki bandishe aati rahi,
Pathrili rah pe kai mushkile bhi aati rahi,
Par mai bas ruki nahi or yu hi chalti rahi.


Aisa bhi nahi ki durd ki parchhaiya na rahi,
Thaheri rahi kisi raah pe or koi raah na rahi,
Par mai bas ruki nahi or yu hi chalti rahi.

Thakti rahi, ladkhadati or fir bhi uthti rahi,
Ek nayi ummid se manzil ki talash karti rahi,
Par Mai bas ruki nahi kahi or yu hi chalti rahi.

Ishq ki wafa e humesha mere saath rahi,
Haatho mai mere unki lakire  saath rahi,
Shikha ruki nahi kahi or yu hi chalti rahi.

Shikha


Mahakali nonstop garba


Jivan ki chah - Shikha



Mere rang be rangi jivan ki chah bas itni chhoti si thi,
Kuchh sapne ko manzil tak pahunchane ki tamnna thi,
Tum mile to jaise sapno mai khone lagi thi,
Ummido ke pankh liye udne lagi mai thi,
Par shayad har chah kaha puri hoti hai?
Maine tumhe bhi to dil ki gaheraiyo se chaha tha,
Dil se tumhare saath mera har pal gujarna chaha tha,
Kyu tune pyar ko mere kabhi  pahechana nahi tha,
Ek hi pal mai jaise sabkuch bikhar sa  gaya tha,
Tere hi aaspaas mere khwabo ko naya aasma mila tha,
Tab bhi to vahi kiya tha maine jo tumne chaha tha.

Shikha


Socha na tha - Shikha


Teri chahat ko lafzo mai is tarah baya karungi kabhi socha na tha,
chahat ki roshni ke baad teri dosti milegi ye kabhi socha na tha,
Tere dil se mera ye dil is tarah jud jayega kabhi socha na tha,
Humari ruh aise mil jayegi ye kabhi Shikha ne socha na tha.

Shikha



Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...