Thursday 24 May 2018

Na jaane vo kaun sa khubsurat mitha sa pal tha - Shikha



Na jaane vo kaun sa khubsurat mitha sa pal tha,
Jis din tumne apna dil mere haatho mai diya tha.

Yakin nahi ho raha tha muje meri  kismat pe yaara,
Jis din tumne apni saanso ko mere naam kiya tha.

Waqt ret ki tarah haatho se fisalta hi jaa raha tha,
 Humare khwabo ne apna naya jahan bana liya tha.

Khwabo ke sang humara rasta tay hone hi laga tha,
Na jaane tabhi zindagi mai ye kaisa mod aaya tha.

Hum dono ki zindagi mai ek naya sa gul khila tha,
Maa shab ke ehesas ko jee bharke dil se jeeya tha.

Zindagi ka ye hasin safar tere saath yu bitta gaya,
 Bhagwan ne mano hume aapke liye hi banaya tha.

Shikha


Viraji suno ek vinanti - jain stavan


Ye ishq na jaane kaise rang hai dikhaye - Shikha



Bavra ye man mera teri or hi kyu bhage,
Mujpe chada ye nasha chahat ka kaise 
Tu hi kyu har pal mere dil ko hai bhaye,
Ye ishq na jaane kaise rang hai dikhaye.

Tere khayalo mai kaha kaha chal du,
Har rah pe sang tere masti mai zum lu,
Baaho mai teri mai khud ko yu kho du,
Ye ishq na jaane kaise rang hai dikhaye.

Naam se tere hi mai nikhar nikhar jau,
Sapno ko tere mai palko mai chhupa lu,
Nazar na lage tumhe aise mai chhupa du,
Ye ishq na jaane kaise rang hai dikhaye.

Shikha

Bread katori chat by shilpi


Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...