Wednesday 27 April 2016

The heart wants - love quote

 
The heart wants what it wants. There's no logic to these things. You meet someone and you fall in love and that's that.

Vahala Aadinath - jain stavan


Yaad karke ek baar fir - Shikha

 
Aaj is dil ne fir se kisiko yaad kiya hai,
Yaad karke ek baar fir se roya bhi hai.
 
Aaj bhi yaad hai vo masum sa chahera ,
Jinme sirf or sirf pyar hi dikhai deta tha.
 
Ek pal mai hi mila or jaise bichhad bhi gaya,
Ek khwab ki tarah vo ozal bhi ho gaya.
 
Par na jane kaise ye dil unke saath chala gaya,
Kitna sambhala par vo na humse sambhla.
 
Pyar ki dastan na shuru huyi na khatam,
Par dil mai pyar aaj bhi dhadkta hai.
 
Kaisi Shikha ke pyar ki dastan thi yaaro,
Na kaha na suna fir bhi Pyar ho hi gaya.
 
Uski yaado se hi apna aashiyana saja diya,
Uski yaado se hi ye jivan bitta gaya.
 
Na jana usne kabhi pyar use bhi koi karta tha,
Aankh or palko ke bich pani baheta gaya. 
 
Shikha

Tu jo ho saath mere - Shikha

 
Tu jo ho saath mere to sab kuch pyara lagta hai,
Bin tere mere dil ko sukun kaha mil pata hai.
Tum hi to ho mere dil ki har dhadkan ki ravani,
Bin tere mere dil ka dhadkana bhi kaha ho pata hai.
 
Shikha

romantic songs


Duniya se mai hara - Jain stavan


Sabkuch bhul jati hu - Shikha

 
Tere paas jo baithu mai sari duniya ko bhul jati hu.
Pyari Hansi ko teri dekhke sab kuch bhul jati hu.
 
Tu jo pakde haath mera aaj bhi sharma jati hu,
Hotho pe hansi aaye or tujme hi simat jati hu.
 
Tu jo chhuye galo ko mere aaj bhi nikhar jati hu,
Nazro mai teri mai aaj bhi tere pyar mai kho jati hu.
 
Aaye mushkile teri or sab meri or mod leti hu,
Kanta bhi na chhu paye tuje pyar itna tuje karti hu.
 
Shikha kaheti e sun sajna baat meri aaj jaan le tu,
Tera pyar hi hai mera shringar ise na kum hone dena tu.
 
Shikha
 
 
 
 

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...