Tuesday 13 September 2016

Maa - Shikha


Aurat ke kai kirdar hai. Jaise ki beti , bahen, dost, premika , patni , maa, par in sab mai Maa ek aisa kirdar hai jisme sampurnta, pavitrata, tyag , mamta, pyar sabkuch niswarth hota hai. Shayad hi duniya mai dusre koi rishte aise hote hai jisme ye sari khubiya hoti ho. Bachpan se hi maa ke liye jab bhi humari kalam ne likhna shuru kiya likhte hi gaye. kabhi kalam ruki hi nahi. Aisi hoti hai maa.

Bachha chahe jaisa bhi ho par vo apni maa ka hraday hota hai jisko khush dekhkar maa ke dil ki dhadkan chalti hai. Apne bachho ke liye humesha kuchh bhi karne ko taiyar hoti hai maa chahe uski tabiyat bhale hi thik na ho. Vo humesha yahi sochti raheti hai ki mera beta ya beti khush to hai na? use koi dikkat to nahi? Agar bachhe thode se bhi pareshan lagte hai to vo kitni baar ye janne ki koshish karegi ki aisa kya hua hai ki jisse tum itne pareshan lagte ho. Aap puri duniya se apne gum chhupa lo par apni maa se aap kabhi apni pareshani nahi chhipa paoge.

Maa ki ungli pakadkar school jaane se lekar shadi ho jaane ke baad bhi maa ki chinta humare liye vaisi hi raheti hai jaisi pahele hua karti thi. Har pal har ghadi maa apne bachho ki khushi or salamti ki dua ye mangti hai . Maa kitna pyara sa shabd hai. jinki god mai hume sukun milta hai. Kuchh shabd aise hi zahen mai aa gaye hai maa ke liye.
Arz karti hu , suniyega.

Maa se door hu par jab bhi mai muskurayi,
Laga aisa ki meri maa muje yaad kar muskurayi.

Mai jab bhi bahar nikli or dhup mai pareshan huyi,
Tabhi maa ki dua turant chhav banakar chhaa gayi.

Jab bhi ye ehesas hua ki maa ne muje yaad kiya,
Call kiya, yakin bhi hua ki tabhi itni thi hichki aayi.

Jab bhi raato ko nind nahi aayi or parehsan huyi,
Maa ki lori dhire se kano mai Shikha ko di sunayi.

Ek chhoti si kahani hai jo kai logo ne suni bhi hogi.
Ek samay ki baat hai. Ek bachhe ka janam honevala tha. janam ke kuchh pal pahele vo bhagwan se kaheta hai ki muje dharti pe mat bhejo. kaun mera itna khayal rakhega? muje to kuchh bhi nahi aata. kaun muje sab sikhayega. tab bhagwan kahete hai mere paas bahot farishte hai jisme se ek ko maine sirf tere liye chun ke rakha hai. vo tumhara bahot hi khayal rakhega.

Fir vo bacha kaheta hai ki yaha to mai sirf gata or muskurata hu jisse mai khush hu vaha kaun mere liye gayega or  muskurayega?
Tab bhagwan kahete hai tumhara farishta tumhare liye gayega, muskurayega or tum uska prem mahesus bhi karoge or khush rahoge.
Fir bacha kaheta hai ki mai uski bhasha samjunga kaise?
Tab bhagwan kahete hai ki vo tumse itne pyare or sundar shabdo mai baate karega or tumhe bhi bolna sikhayega.
Fir bacha kaheta hai ki jab muje aapse baat karni hogi to kya karunga?
tab bhagwan kahete hai ki vo farishta tumhe haath jodkar prarthna karna sikhayega jisse tum mujse baat kar skte ho.
Fir bacha kaheta hai ki dharti par to bure log bhi hai to use muje kaun bachayega?
tab bhagwan kahete hai ki tumhara farishta khud ki jaan khatre mai dalkar bhi tumhari raksha karega.
Fir bacha puchhta  hai ki ab mera jaane ka waqt ho gaya hai aap kupa karke us farishte ka naam bhi bata dijiye . tabbhagwan kahete hai farishte ke naam ka koi mahatav nahi hai par tum use maa kahekar pukaroge.

Maa jisse khud bhagwan ne bhi maa ke pyar ko pane ke liye dharti pe janam liya. Maa Mahan hai jiski tulna kisike saath bhi nahi ki jaa sakti. duniya mai aise kai log honge jo mandir mai maa ke naam se kitna dan dete honge par unki khud ki maa ghar ke kisi kone mai aansu bahati hogi dekhi jayegi ya fir kisi vruddhasharm mai paayi jayegi. Aise pakhandiyo ko samajne ki jarurat hai . Jis maa ke darshan ke liye mandir jaa rahe ho uski bajay apni khud ki maa ke hotho pe sirf hansi lane ka prayas karo, sirf do min. uske paas baitho or puchho maa tu kaisi hai. sirf aisa karne se aapko maa ke darshan ho jayenge. ek maa ko dukhi karke dusri maa ke darshan ke liye jaana ye kaha ka insaf hai?

Kuchh panktiya aaj duniya ki sabhi maa ke naam karti hu. mana ki ye mere bas ki baat nahi fir bhi thodi si koshish karti hu.

Maa pyara sa sanvedan hai,
Maa jivan mai phoolo ki khushbu hai,
Maa rote huye bachho ka parna hai,
Maa jivan mai mitha sa zarna hai,
Maa lori hai , geet hai, pyara sa sangeet hai,
Maa puja hai, prarthna hai,
Maa aankho ki roshni hai,
Maa mamta ki dhara hai,
Maa khud bhagwan ka duja savroop hai,
Maa tyag , tapsya, or seva hai,
Maa zindagi ki dhup mai shital chhaya hai,
Maa ke bina is surshti ki kalpana hi adhuri hai.
Maa sa duja duniya mai koi nahi,
Aaj kuchh panktiyaa maa ke naam karti hu,
Or duniya ki sabhi maa ko shatshat naman karti hu.

Dear friends, vo log bade kismat vale hote hai jinke paas uski maa hoti hai ...aap sabse haath jodkar gujarish karte hai ki plz apni maa ka khayal rakhna, unki aankho mai kabhi aansu mat aane dena. or yahi aapki puja archna hogi.

Shikha














kala chashma


hoth thi hoth male - gujarati ghazal


Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...