Hello Friends, Read my shayari collection.....and i promise ..you will all enjoy my creativity! Shayari Shikha me aap sabka swagat hai...Is site ke liye sabse pahele hum humare Raj ka shukriya ada karte hai..jinhone hume encourage kiya...saath diya...or humara honsla badhaya ki ab bhi hum kuch likh sakte hai.... Readers.....Shayari humare jivan se aise judi hai jaise ki saanse...Jo baat hum shabdo se baya nahi kar paate...use hum shayari se bakhubi baya kar dete hai.
Showing posts with label * Gazal. Show all posts
Showing posts with label * Gazal. Show all posts
Tuesday, 22 May 2018
Saturday, 7 October 2017
Tuesday, 6 December 2016
Wednesday, 30 November 2016
Likhungi Chand tujko - Shikha
Likhungi chand tujko chandani mai khud ban jaaungi,
Ek tere naam ke siwa or na kuchh mai yaad rakhungi.
Tuje hi saanso mai basakar bas mai jeete jaa rahi hu,
Tere deed ko dekhkar subah ko mai uth jaaya karungi.
Preet humari ye nirali kare hum dono ko duniya se door,
Tujpe hi ghazal likhenge or tuje hi gungunaya karungi.
Janti hu ki Ishq e samunder mai dubna nahi hai itna aasan,
Par ek teri khatir mai har pal isme dubna pasand karungi.
Tuje is kadar pyar karna kare duniya se begaani Shikha,
Par sirf ek teri khatir sanam tere har naaz mai uthaungi.
Shikha
Tuesday, 11 October 2016
Tuesday, 6 October 2015
Yaad Aa Gaya - Gazal
Aaj achanak se kuchh yaado ne gher liya hume,
Yaad aa gaya vo shama jo saath bitaya humne.
Rah mai mile the kuchh is tarah se vo hume,
Paheli nazar mai hi dil mai basa liya humne.
Dil pe likh diya naam unka bade pyar se humne,
Kaise humari saanso ko unki saanso se jud liya humne.
Yakin nahi ho raha tha kismat pe apni e sanam,
Ishq e samundar mai duba diya hai khudko humne.
Shikha
Tuesday, 12 May 2015
Zindgi ki kitab - Shikha
Rimzim si barish ki bund ko dekha,
Or zindgi ko jaise palat ke dekha.
Dil ne socha kyo na kuch naya likha jaye,
Zindgi ke pahelu ko kuch naya roop diya jaye.
Aaj zindgi ko nazar mai rakhakr ek kitab likhenge,
Usme sari khushiya or gum bhi likhenge.
Pyar ka vo gujra sunhara waqt likhkar,
Chahat ke mausam ko bemishal likhenge.
Mile the hum tumko kis tarah se,
Zindgi kaise pal mai badal gayi thi ye likhenge.
Apni khawaisho ko naya aasman dekar,
Naam tumhara har jagah likhenge.
Tera pyar hai kitna anmol kaheti hai ye shikha aaj,
Tere har pahelu ko hum zindgi ki kitab mai likhenge.
Shikha
Sunday, 22 March 2015
Vo pagal sa ladka - Shikha
Bahar se nafrat thi,
Par dil me wo mere basta tha !
Wo pagal sa ek ladka,
Jo dekh ke mujhko hansta tha !!
Kyun thukraya ? mang ko uski,
Soch ke ab pachhtati hu !
Dil ke badle dil manga tha,
sauda kitna sasta tha !!
Kisse puchhu ? kaise puchhu ?
Kyun nahi deta ab dikhayi !
Roz guzarta tha wo idhar se,
Uska yahi rasta tha !!
Dard chhupa kar jeena uski,
bahut purani adat thi !
Bheetar-bheetar rota tha wo,
bahar-bahar hansta tha !!
Written and Sent by Neelam Sharma
Sunday, 1 February 2015
Choota Jo Tera saath - shikha
Choota jo tera haath to hum toot ke roye,
Tum jo na rahe saath to hum toot ke roye,
Tum jo na rahe saath to hum toot ke roye,
Chahat ki tamanna thi aur zakhm diye tum ne,
Paayi jo yeh saughaat to hum toot ke roye,
Paayi jo yeh saughaat to hum toot ke roye,
Imkaan na tha door talak tajdeed-e-talluq ka,
Dekhe jo yeh halaat to hum toot ke roye,
Dekhe jo yeh halaat to hum toot ke roye,
Anjaan they hum ab tak dard ki surat se,
Huyi jo mulaqaat to hum toot ke roye,
Huyi jo mulaqaat to hum toot ke roye,
Logon se bohat poocha sabab veerani ka,
Jo soojhi na koi baat to hum toot ke roye,
Jo soojhi na koi baat to hum toot ke roye,
Thi dhoop bohat taiz har simt judayi ki,
Barsi jo na barsaat to hum toot ke roye,
Barsi jo na barsaat to hum toot ke roye,
Din bhar to rahe chup ke duniya ki nazron se,
Bheegi jo seyaah raat to hum toot ke roye,
Bheegi jo seyaah raat to hum toot ke roye,
Samjha tha sadaa tujh ko apna hi ik hissa,
Tukrron main batti zaat to hum toot ke roye,
Hum karte rahe kyun uss chaand ki khawhish,
Yaad aayi jo aukaat to hum toot ke roye..
Yaad aayi jo aukaat to hum toot ke roye..
Unknown
Friday, 19 December 2014
Pyar se tere - shikha
Pyar se tere saji har shaam hai
Tere siwa ab kaha khushiya hai.
Gum ko jaise chhua tune mere
Har gum khushiyo mai tabdil hai.
Jo shaam kabhi andhero se thi ghiri,
Aaj vo hi shaam roshni se ujagar hai.
Pyar ke sahare kat jayegi ye umar
Pal pal jaise haath se fisal raha hai.
Tumse milne se pahele pata nahi tha
shikha ko
Zindgi itni pyari or suhani hoti hai.
Shikha
Friday, 12 December 2014
Zindgi Mai - shikha
Zindgi mai jo rishta sabse karib hoga vahi to tutega,
Har raste par koi na koi apna rutha hi karega.
Na rakh kisike saharo pe ye zindgi apni,
Ye karva bhi to adhure safar mai hi tutega.
Tere sine mai jo dil hai na samaj use ek shisha,
Ye sirf ek bar nahi baar bar tut jaya karega.
Nahi hai gum muje ye chhoti si zindgi ka,
Apno se pyar ye bar bar kiya karega.
Bula lo kisi sare apno ko or bitha lo aaj ghar pe,
Suna hai aaj koi lutara ye shaher hi lut jayega.
Shikha
Wednesday, 3 December 2014
Mahebub - Shikha
E Mahebub aaj jine ki ummid muje dubara de do,
Dubti kasti ko meri aaj kinara hi dedo.
Durd ke samunder mai dub rahi hu aaj mai,
Apni baaho ke haar se fir muje sahara de do.
Teri zindgi mai bhar dungi khushiya mai,
Apni pyar ki kahani ko ek baar fir mauka de do.
Mere ghar mai hai aaj na jane kyo andhera bahot,
Apni roshni se usme aaj ujala bhar do.
Kuch lamhe tere saath bitana chahte hai mahebub,
maine ye to nahi kaha ki apna pura waqt de do.
Shikha
Subscribe to:
Posts (Atom)
Palko ko maine - Shikha
Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai naina tere ...
-
Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai naina tere ...
-
dil hi to hai meraa, main isko manaaun kaise nasamajh hai yeh, main isko samjhaaun ka...
-
Sukhe patto ki tarah bikharati chali gayi thi mai, Tumne aag lagayi to jaana kaun apna kaun begana. Shikha