Wednesday 31 May 2017

Mat ghabrana kisi bhi rah pe - Shikha


Mat ghabrana kisi bhi rah pe tu e mere yaara,
Tumhare saath rahekar har rah aasan karenge.

Tumhe koi bhi gam na sataye kabhi zindagi mai,
Is tarah se tere labo ki hansi bana hum karenge.

Paa liya hai jab humne aapke pyar ko Sanam,
Is waqt ko hum sambhalkar rakha karenge.

Ummid hai yahi ki ab na kabhi hum door honge,
Is tarah se tere pyar ko hum dil mai rakha karenge.

Shikha

Duniya mai aane par - Shikha


Duniya mai aane par jisne hume apna naam diya hai,
Dekar apni ungli jisne hume chalna sikhaya hai,
Kadam bhatke jab bhi humare sahara hume diya hai,
Jab bhi ruk gaye naya rasta hume dikhaya hai,
Zindagi ke har mod pe jisne hume sambhala hai,
Har tufan ko harakar ke jina hume sikhaya hai.
Apne harday se lagakar jisne pyar ka ehesas dilaya hai,
Nadiyo ke kinaro ki tarah jisne jivanbhar saath nibhaya hai,
Jivan ke har mod ko aasan jisne bhanaya hai,
Kaise shukriya karu mai us pita ka,
Jinhone humare jivan ko sanwara hai.

I Love You Papa

Shikha

Best english love songs


Dada teri tasvir sirhane - jain stavan


Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...