Showing posts with label * Dard Shayari. Show all posts
Showing posts with label * Dard Shayari. Show all posts

Thursday, 19 May 2016

Yaad teri satane lagti hai - Shikha


Miss you so much  my Bhai....


Raherahekar yaad teri satane lagti hai,
Aankho mai meri nami aane lagti hai,
Na bhul paate hai tuje ek pal bhi bhai,
Kaisa mod hai jo teri kami si lagti hai.


Shikha



Saturday, 23 April 2016

Yaad aapki bahot satati hai - Shikha

 
Yaad aapki bahot satati hai Bhai,
Aankho se ashq bahati hai Bhai.
 
Na socha na jana bas aap to chale gaye,
Sare bandhano se jaise bahot door chale gaye.
 
Kya kare ab hum jab yaad aapki dil ko sataye,
Baato ko aapki hum kaise bhula paaye.
 
Intezar kar rahi aapki ye bahen sari aaj bhi,
Lautkar aaja ek baar paas aaj bhi.
 
vida ho rahi hai ab aapki ardhangini ,
Jaa rahi hai door aapki sari nishaniya.
 
Kaise is dil ko hum roke itna to batao aap,
Bhai ek baar fir se paas aa jao na aap.
 
Bikhar gaya jaise sabkuch ghar mai humare,
Aap kya gaye suna ho gaya aangan ghar ka.
 
Mana ki zindagi nahi rukti kabhi kisi ke jaane pe,
Par mum dad kaise rahenge akele ye na socha aapne.
 
Aaj fir se ek baar shikayat us rab se hai,
Kyu tune muje beta banake na bheja hai.
 
Kahena hai aaj tujse bas itna hai Bhai,
Jaha bhi rahe tu par paas har pal humare hai.
 
Shikha
 
We miss u so soooooo much Bhai...
Love you always.....
 
 
 

Sunday, 3 April 2016

Kismat se meri mila muje tha - Shikha

 
Kismat se meri mila muje tha aap jaisa Bhai,
Ab kaha jakar dhundhu mai aapko mere Bhai.
 
Na jaane kaun si duniya mai chale gaye ho aap,
Aaj bhi yaado mai meri har pal rahete ho mere Bhai.
 
Har pal hansta hua sa hota tha aapka chahera,
Yaad jab bhi karu or naaz hota hai aappe mere Bhai.
 
Jante hai ab lautkar nahi aaoge kabhi aap,
Fir bhi aaj bhi intezar karta hai ye dil mere Bhai.
 
Aaj bhi hansi mai Shikha ki kahi rahete ho aap,
Sirf aapko zinda rakhne ke liye hansti hu mere Bhai.
 
Shikha
 
 

Wednesday, 20 January 2016

Bhai aapki yaado ne - Shikha

 
 
Bhai aapki yaado ne aaj hume ghera hai kuch aise,
yaad aaya vo bachpan jo saath gujara tha.
 
kabhi yaad aaye khushi ke vo khubsurat pal,
To kabhi aapke na hone ke ehesas se dil bhar aaya.
 
Yaad aaya vo aapka gana jise sunakar
Aap hum sabko sulaya karte the.
 
Yaad aaya vo aapka masum sa pyar,
Jisse aap hume humara homework karaya karte the.
 
Yaad aaya vo pyara sa mausam,
Jisme aap humare Bhai ke saath pyare se dost bhi bane.
 
Yaad aaya vo suhane har pal,
Jisme kabhi humare teacher bhi bante the.
 
Aapki har baate, aapki masumiyat ,
Ab aapki yaad aane par bahete hai sirf aansu.
 
Kyo chale gaye Bhai aap hume chhodkar,
Zindagi mai sabse badi kami ho gayi aapke bina.
 
Kabhi kabhi sochte hai ki Bhai ke bina bhi kaise jee liya ...itne din
To kabhi sochte hai Bhai ka pyar to aaj bhi basa hai humari yaado mai.
 
Yahi zindagi hai shikha ye dil ne kaha hai,
Bhai ki yaado ke sahare hi to jeena hai ye jan liya ab humne hai.
 
Shikha
 
Humare pyare Bhai ko samarpit
 

Thursday, 30 July 2015

Jab se aap gaye ho - shikha


Na jane kyo Bhai hum sabse door chale gaye ho,
Humari zindgi mai ek kami si chhod gaye ho,
Jis pal se aap chale gaye ho is duniya se door,
Sab bahot miss karte hai jab se aap gaye ho.
 
Shikha

Sunday, 28 June 2015

Zindgi mai jab kuch pal - Shikha

 
 
Zindgi mai jab kuch pal mil jate hai,
Pichhe mudkar dekh liya karte hai.
 
Kis tarah se apno se bichhad jate hai,
Ye dekhkar dil mai durd ho uthta hai.
 
Raste or manzil dono badal jate hai,
Nahi badlati dil mai jo tasvir chhipi hoti hai.
 
Dil sunahari yaado ki parchhayi mai vahi raheta hai,
Jane kyo nahi badalta jab taqdir bhi badal jati hai.
 
Aankho ki nami ko palko mai chhipa lete hai,
Jane kyo labo pe muskurahat rakh lete hai.
 
Apno ki khushi ke liye hum kya kya kar lete hai,
Jane kyo andar or bahar fiza e badlati raheti hai.
 
Zindgi se door koi is tarah se ho jate hai,
Jane kyo haatho ki lakire yu badal jati hai.
 
Shikha

Thursday, 28 May 2015

Kyo kuch kami si hai - Shikha

 

 
 
 
 
 
 Sab kuch to mila hai hume zindgi se,
Fir bhi aaj kyo kuch kami si hai.
 
Beshaq zindgi rukti nahi humare chahne se,
Fir bhi aaj kyo jaise thami si hai.
 
Muskura rahe hai aaj lab ye khushi se,
Fir bhi aaj kyo dil mai koi durd ki parchhayi hai.
 
Koi bula raha hai dhire se door se,
Fir vo or koi nahi humara pyara Bhai hi hai.
 
Jane kaha chala gaya hai vo hai kaun se desh mai,
Fir bhi har aahat pe kyo usiki aahat sunayi de rahi hai.
 
Shikha kaheti hai aaj apne Bhai se,
Plz laut aao Bhai ye dil aaj bhi intezar kar raha hai.
 
Shikha

Friday, 10 April 2015

Bhai-Bahen ki prit - Shikha



Baya kar sake hum aapke pyar ko Bhai
Vo alfaz hum laye to kaha se laye Bhai,
Yu to har rishte ki tarif karna aasan hai,
Par Kar sake Bhai - bahen ke prit ki tarif
Vo andaz-e-shayari Shikha kaha se laye Bhai.
 
Shikha
 
Bhai ...ko samarpit....

Thursday, 9 April 2015

Palko ko bichhaye baithe hai - Shikha


Humare pyare Bhai ko samarpit....jo bhagwan ke paas chale gaye hai fir bhi uska humare paas hone ka ehesas hota hai...
 
 
Bhai....ab to kuch bhi thik nahi lag raha aapke bina,
Ye suraj ki paheli kiran se sham tak intezar karte rahete hai.
Dekhkar humari udasi door door se aasman bhi hansta hai,
Fir bhi hum aapke intezar mai apni palko ko bichhaye baithe hai.
 
Shikha


Tuesday, 9 December 2014

Aapke ghar - shikha



Aapke ghar hum aaye hai bhai,
Aankhe dhundh rahi har pal aapko hai,
Aapki hansi ko mante hai hum bhi zindgi Apni,
Tabhi to sabko sambhale Huye hum hai.


Sunday, 23 November 2014

Suraj uge. Chhe -shikha

Suraj uge chhe na aankho ughade chhe bas ek j a asthma,
Human maro bhai aavine mane bolavshe e j vicharma,
Ek var farithi bhai tu avail jab amara jivanma,
Hu tane kya jaine shodhu Mara vira,
Ek var to Bol ne Mara vira....ek var to Bol......

Picha: Suraj uge chhe na aankho ughade chhe bas ek j a asthma,
Human maro bhai aavine mane bolavshe e j vicharma,
Ek var farithi bhai tu avail jab amara jivanma,
Hu tane kya jaine shodhu Mara vira,
Ek var to Bol ne Mara vira....ek var to Bol......

Saturday, 8 November 2014

Tab dil ka durd aansu Mai chhalak jata hai

hello readers......is page mai hum jo bhi likhenge vo humare bhai ko samarpit hai......
humara pyara sa bhai..hum char baheno ka ladla bhai , humare mum dad ki aankho ka tara ...ek pyari si ladki ka hasin khwab...chhoti chhoti masum princess ka sabkuch.....vo ab is duniya ko chhodkar chale gaye hai....par dil hai na..bahot hi pagal hai..vo aaj bhi kahi na kahi ye ummid lagaye baitha hai ki humara bhai ek din jarur lautkar aayega....
bhai se hi to bahen ki nirmal kahani hai....bhai se hi to bahen i suhani yaade hai....ab bhai ke bina hum kya karenge....aankho se ashq tham nahi rahe the...dil mai bas ek hi sawal tha or shikayat thi us rabse kyo usne humare bhai ko humse door kar diya....
readers....din bitte gaye...par yaade kabhi saath nahi chhodti...aaj humare bhai ko 10 din ho gaye hai or humne bhi unse baate karne ka naya tarika dhundh liya hai....hum yaha pe unke liye kuch na kuch likh diya karenge...

Ye tasvir humare pyare bhai ki hai...jinhone har mod par hume saath diya...kabhi roye to hume hansaya bhi, kabhi ruthe to hume manaya bhi, kabhi danta to pyar se samjaya bhi, kabhi dost banakar , to kabhi teacher banakar, har mod par humara saath nibhaya...


Jab bhai bahen se door ho jata hai
Tab dil ka durd aansu Mai chhalak jata hai
Jo humesha muskuraye raheta tha
kaise vo aaj sabko rulaye jata hai.

Ye nazar talash bhai aapko barbar karti hai
aapki aawaz sunne ko bekarar raheti hai.
kaise bahelaye khud ko ki bhai ab nahi is duniya mai
ye shikha aapse Milne ki aaj bhi ummid karti hai.

Bhai aapke chale jane se humara pyar kabhi kum nahi hoga,
aapko yaad na karu aisa to ek bhi pal nahi hoga.
Bhai -bahen ka rishta kitna atut hota hai ye hum dikhayenge,
aap jaha bhi gaye ho muskurate rahena yahi humara pyar hoga.

Prakash ki bahen kahekar kisike bulane par naaz hota hai hume,
Door hokar bhi aap aaj door nahi hai ye hota hai ehesas hume.
zindgi ke ab tak ka safar aise saath milkar humne jo bitaya tha,
aap kahi se bhi bas aa jao fir  raheti hai ye ummid hume.
Umarbhar saath nibhane ka wada aapne jo kabhi kiya tha,
par har aahat pe aaj sirf aapki hi aawaz sunayi deti hai hume.
Jis lok mai aap gaye ho vaha se aaj tak koi nahi vapas aaya hai,
fir bhi lagta hai ki aap aayenge or ye aash raheti hai aaj bhi hume.

Hum kabhi bhai se khafa ho nahi sakte,
bhai-bahen ke rishte bewafa ho nahi sakte,
aap bhale hi chhodkar chale gaye ho hume,
hum aapke bina bhai rahe nahi hai sakte.

Mat samjana bhai ki hum jee lenge aapke bin,
aapke intezar mai yu hi palke bichhaye baithenge hum.

Chand se jab mulakat hoti hai,
aapke hi baare mai baat hoti hai bhai.
vo kaheta hai humare paas bahot sunder sitara hai,
humne kaha , vo sitara hi to humara pyara bhai hai.

Jis din humari zindgi se yu ozal ho gaye ho bhai,
aapko khokar tanhaiyo mai kho gaye hai bhai,
aapki yaado se lipatkar ashq bahate rahete hai,
aapke intezar mai aaj bhi palke bichhaye baithe hai bhai.

Rishta hai humara bhai-bahen ka,
to ise har haal mai nibhayenge hum.
Har pal mai aapko yaad karenge,
yaad karke aapko vapas bulayenge hum.
Pata nahi kis lok mai aap baithe honge,
aankho se ashq bahate bahate yaad kiya karenge hum.

Chandni ko khud pe itna gurur na hota,
Agar chand uske sath na hota.
Hawa mai kabhi itna nikhar na hota,
Agar fiza ka mausam uske saath na hota.
Shikha ka bhi shayarana andaz na hota,
Agar aap jaisa bhai ab tak uske saath na hota.

Humari shayari ke jazbbat sirf jakham baya kar sakta hai,
Jo humne apne bhai ko khokar ke mila hai.
Humari shayari ke alfaaz sirf dil ka durd baya kar sakta hai,

Jo humne apne bhai ki judai se mila hai. 

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...