Kaun se shabdo mai kare teri prashnsa,
Nari tum hi ho sabki nirmal aasha.
Jab tu hoti hai chhoti,
Pyari pari ka roop hai tu.
Ghar aangan ko hai mahekati,
Suraj ki roshni hai tu.
Ma saraswati ka roop hai tu,
Ma laxmi ka swaroop hai tu,
Badhta jaaye jab atyachar,
Ma durga ka avatar hai tu.
Kaun se shabdo mai kare teri prashansa,
Nari tum hi ho sabki nirmal aasha.
Mamta ki pahechan hai tu,
Sanskaro ki jaan hai tu.
Sneh pyar or tyag ki,
sirf or sirf pahechan hai tu.
Kabhi najuk si komal phoolo si,
Kabhi Shakti ka bhandar hai tu.
Kabhi andhero mai diyo si roshni hai,
Nari tere roop anek or har roop mai hai tu sayani.
Kaun se shabdo mai kare teri prashnsa,
Nari tum hi ho sabki nirmal aasha.
Shikha
No comments:
Post a Comment