Friday 4 March 2016

Humne chaha jisko dil se - Shikha


Humne chaha jisko dil se,
Kyu na vo hume jaan paya.
 
Humne jisko apna banaya,
Fir bhi vo humara ban na paya.
 
Hume apna banakar bhi usne,
Harpal hume begana hi bana diya.
 
Jo pal humare saath bitaye,
Vo pal vo aise hi bhul gaya.
 
Jitna pyar humne unko diya,
Vo pyar humara vo pahechan na paya.
 
Humne chaha jisko dil se,
Kyu na vo hume pahechan paya.
 
Shikha

No comments:

Post a Comment

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...